!!! Dil ki saza !!!
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai
Wafa ki qasam tu dil ki saza hai
Yeh angdaiyan yeh sharara badan
Yeh aankhen nashili koi mekada hai
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai....
Yeh zulfon ki sarsar adaon ki narmi
Yeh honton ki laali yeh baahon ki garmi
Yeh masgan ka uthna yeh palkon ka jhukna
Badi jaan-leva teri har ada hai
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...
O' mehfil ki raunaq ae din ke ujale
Zara faaslon ko yahan se hatale
Hai sapnon ki duniya, yeh duniya ki jannat
Mujhe aake apne gale se lagale
Tuhi meri jannat tuhi haan qaza hai
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...
Kabhi tera hansna mujhe yaad aaye
Kabhi tera rona mujhko rulaye
Kabhi tera ladhna ghairon se mujhpar
kabhi khud hi mujhko tu ghar se bhagaye
Woh qaatil adayen mujhe yaad aayen
Tu hi raazdaan hai tu hi paasbaan hai
Wafa ki qasam tu dil ki saza hai
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...
Woh tera milana tere doston se
Woh unko jalana mere saath rehke
Kabhi unse mera parichey karana
Kabhi saath milke thahuke lagana
Woh teri mohabbat woh qaatil zamana
Tu meri kahani tu hi daastan hai
Wafa ki qasam tu dil ki saza hai
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...
Tu koi chalava tu koi ada hai
Na jannat, jahannum tu sabse juda hai
Na tu meri manzil na mera khuda hai
Tere naam se hi qalam gir raha hai
Wafa naam pe kyun mein tohmat lagaon
Na tu bewafa hai na tu bawafa hai
Wafa ki qasam tu dil ki saza hai...
-Khan M. Asim...21/11/2006...1:50 AM...
No comments:
Post a Comment