Friday, February 29, 2008

!!! Ghazal !!!


Aaj phir ishq ghum ka hai fasana

Manzar ko mere aise darata hai zamana

Pehle hi taghaful ke sitam kum na the dil pe

Aur yeh sanam judai lagti hai qaatilana

Ustaad sikhate hain mohabbat ke gur humein

Yeh bhi nahin dekha ke beitha hai diwana

Socha karein tujhe shub o roz har paher

Saanson mein tera naam dil mein hai tarana

Tujhse tajjalli paakar purnoor hogaya

Varna kahan yeh mehfil kahan apna hai thikana

Teri zamin ko dekhkar shaadaab hogaya

Gulshan mein gul khile mausam hai modabana

Tujh-sung qamar, atarud, mirreekh jhoomte hain

Shamsi teri nazar, jalwah hai kehkashana

Inaam jo bhi de tu, de apne mayaar jaisa

Gar zindagi nahin toh ajal hai faatehaana

Makhmoor yun hai ASIM aata nahin nazar

Arpan hua hai tujhpe rehta hai Aarifana

- Khan M. Asim…29/02/2008…4:35 AM…

Wednesday, February 27, 2008

!!! Nishachar !!!


Zindagi ka khel dekho jeet bhi hai haar mein

Tu ne ujala kar diya haan mere sansaar mein...

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Lamha lamha, manzar vanzar, jhoomta saara aalam hai

Zindagi ko mod de jo aisi tu haan baalam hai

Jaadu tera aisa chala, mujhko nahin kuch bhi pata

Khoya khoya, jaaga soya, aisa mera aalam hai

Jal gaya har ek deepak aaj toh aandhkaar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Kaisa socha, kaisa paaya, mausamon ne palta khaya

khizaan mein patte jhad rahe the, phir baharan laut aaya

Bulbulon ne geet gaaye, nadaan gul phir hans pada

Bhavnre bhavnre har goshe mein abar ishq ka baras pada

Shaakhein tani gulshan mein aaj, hain phool saare qataar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

Mukhtalif baaton mein teri, mukhtalif andaaz hain

Khil-khila ke jo tu hansde bajte saare saaz hain

Tera milna aise mujhse, aisa apna qareeb aana

Ramz o kina mein kyun kahun, hum waqt ki awaaz hain

Khushbuen hi chai hain dilbar tere kirdaar mein

Chakkar hain chakkar hain teri zulfon mein guftaar mein

Haan nishachar hogaya hun jaanam tere pyaar mein...!

- Khan M. Asim...27/02/2008...5:00 AM...

Friday, February 22, 2008

Muntazir...!


Tumhari baatein naseem e subha

Woh hanste hanste kiran ka khilna

Na jane kab in sehro shab mein

Hoga tumse hamara milna...!

Aaloodgi se bhari yeh duniya

Kahin humein bhi tod na de

Isi ka darr hai jo khaaye jaaye

Kahin yeh mausam mod na de...!

Farsh pe yeh daastan hain

Arsh pe sargoshiyan

kar rahi hain buland parcham

Aaj phir khamoshiyan...!

Muntazir hain tumhare ab bhi

Saare manzar, khwaab mere

Hain shams o tariq sawaal karte

Tumhare neinun jawaab mere...!

Jo aa gayi tum kisi paher mein

Kya hamara yahan se hilna

Tumhari baatein naseem e subha

Woh hanste hanste kiran ka khilna...!

- Khan M. Asim...22/02/2008...5:20 AM...

Thursday, February 21, 2008

Diwana waar phirta hun...!


Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun

Tumhare saath rehta hun

Tumhi se baat karta hun

Girta hun, sanbhalta hun

Sanbhalkar phir mein girta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Kahin pe dard uthta hai

Kahin pe ik chubhan si hai

Yeh tanhai go qatil hai

Tumhari anjuman si hai

Tumhara naam aajaye

Sharam se aah bharta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhare raaz ko aise

Chupaon kab talak dil mein

Hazaaron haath uthte hain

Meri janib haan mehfil mein

Tumhe hai kya koi parwah?

Kyun lamha lamha marta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhi meri duaon mein

Tumhi ho shairy meri

Tumhi haan jaane gulshan ho

Tumhi se daastan meri

Mein jiss raah ko nikalta hun

Tumhi se mein guzarta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

- Khan M. Asim...21/02/2008...2:00 AM...

Wednesday, February 20, 2008

!!! Machchar !!!

Hi...This poem I wrote when i was hospitalised (Oct-Nov 2006) due to Malaria (last stage of Malaria) and everyone near & dear to me was tensed because of the dying condition. Doctors said if anything happens to me they won't be responsible and asked my father to sign an application for that. Well, Mashallah now I am fine, though recently met with an accident and received some serious back injury...well, well, well, you enjoy the poem...!

Saaqi zara mujhe bhi aisi dawa pila de

Behosh in ragon ko sote se jo jaga de

Malaria, Typhoid, Cholera ho na Dengue

Inn saale machcharon ko ghar se mere bhaga de

Na kaathen phir kisi ko na bemaar koi hoye

Bedank inko karke, langda inhein bana de

Har saal meri mehfil ujdi isi ke dum se

Awaaz bhi lage toh bemaar yeh bana de

Bijli agar gayi toh machta hai shor inka

Naala agar mile toh ghar apna yeh basa de

Hai gandagi alamat! tauba meri malamat

Achche bhale khade ko bekaar yeh bana de

Bemaare machcharon ka kuch elaaj tu bata de

Gar itna na ho sake toh itna hi kaam karde

Woh bhi teri khalaq hai, mein bhi teri khalaq hun

Insaan usse bana de! Machchar mujhe bana de!!!

- Khan M. Asim...06/10/2006...11:00 AM...

Friday, February 15, 2008

!!! Taghaful !!!


Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Yeh mausam, nazaareh sabhi jhoom jayein

Khayalon mein dilbar tere geet gayein

Tassaovurr mein tujhse hi nazrein milayein

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Yeh vaadah hamara sanam javedaan hai

Gawah hain yeh taare gawah kehkashan hai

Teri aarzu pe hai yeh zindagani

Tujhi se baharan tujhi si khizan hai

Mohabbat ka mausam jo jata rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Yeh shab ke ujale, yeh khaame ye aale

Kyun meena hai kehta uthale uthale

Yahi ishq ki haan sanam intiha hai

Ke dil bhi tera hai zahen bhi hawale

Har lamha magar humse kehta rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

Bhala kis liye zindagi hai diwaani

Abhi hai mohabbat abhi hai jawani

Aa rangeen bana dein har goshe jahan ko

Zameen ko na chodein na hade aasmaani

Tera naam arshe bareen pe rahega

Taghaful tera humko jeene na dega

Aa andaaz aise tujhe hum sikhayein

Aa gulshan mein phoolon ka ik ghar banayein...!

-Khan M. Asim...15/02/2008...3:25 AM...

Wednesday, February 13, 2008

Mein Aur Mera Aks...!


Ek hi sikke ke do pehlu

Mein aur mera aks

Jab bhi apas mein takrate hain

Ek-doosre mein kami paate hain

Usko mujh mein sirf khaami nazar aati hai

Aur mujhe usmein koi khoobi nazar nahin aati

Mein udaas, duniya se bezaar

har jazbe se bezarar

Carter Road ke saahil par beitha

Apna tajziya karta hun

Kya mein bilkul chughad hun?

Aakhir mujh mein itni khaamiyan kyun?

Kya mein achcha insaan nahin?

Mein bhi ussi khaak se bana hun

Jisse aur log,

Toh phir itna farak kyun?

Mera aks jawab deta hai

Jo ke ab lehron mein bat chuka hai

Woh mujhe yaad dilata hai...

Woh anjaani ghaltiyaan

Jinko mein nazar-andaaz karta hun

Aur dujon ki nazar se gir jaata hun,

Phir mein sochta hun

Yeh doosre meri shakhsiyat mein kahan se aaye?

Kya mein tanha nahin ji sakta

Aks jawaab deta hai...

"Abe bevakoof..!

Tu tanha akela kya karega?

Apne liye na sahi, samaaj ke liye to ji

Woh bhi zara dhang se..."

Uski yeh kadvi kasili baatein

Mein sun leta hun...

Phir woh bhayanak si hansi

Aur woh lehron mein bat jaata hai

Magar...

Zahen mein ik naya khayaal janam leta hai...

Samaaj seva se mujhe kya milega?

Jab mujh mein khaamiyan thin

Isne mujhe thukra diya...

Kya samaaj sirf achchai ka naam hai?

Yeh toh iski khudgarzi hai

Khudko achcha kehelwaane ke liye

Achchon ko talaash karta hai...

Toh phir...Hum jaison ka kya?

Mein yeh sochkar mutnaffur,

Khudko be-yaar-o-madadgaar mehsoos karta hun

Phir samaaj se bezaar hojata hun...

Woh phir bhayanak si hansi ke saath aata hai

Phir wahi takrao...

Uska wahi lecture,

Aur Mein...

Paththaron se usse bhagane ki koshish karta hun...

Magar woh phir bhi haqeeqat keh jata hai

Mein phir isi jhooti duniya mein kho jaata hun

Apne zameer ki talaash mein...

Aur woh lehron mein muskurata hai

Hain toh hum ek hi sikke ke do pehlu,

Magar ek doosre se juda juda,

Woh mashriq to mein maghrib!

-Khan M. Asim...20/07/2004...Afternoon...Carter Road, Bandra...

Saturday, February 09, 2008

Kaise? tumhe keh dun...!


Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko

Ghum ko haan chupa dun, mausam ko sula dun

Kaise koi mein yun iqraar kar lun?

Kaise koi mein han inkaar kar dun?

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Kharaman kharaman chalan apna goya

Jo gul bhi yan roya tabbussum se roya

Tumhe dhoondti hain yeh kiski nigahein

Koi kyun hai jaaga? koi kyun na soya?

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Nakaamiyon ka yeh kaisa bahana

Jise pyaar karna usse bhool jaana

Nahin mujhse kehna ki taqdeer hai yeh

Muqaddar ko haathon se apne banana

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Agar tum kabhi humse iqraar kar lo

Lamha barabar hi haan pyaar karlo

Ehsaas tumko sanam tab yeh hoga

Aasaan nahin bas kaha pyaar karlo

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

Sooni, tarasti, yeh mehfil yeh shaamein

Kyun aise judai mein hum geet gaayein

Chalo tum bhi humse haan izhaar kar do

Haan duniya ko lafze wafa hum sikhayein

Jo tum keh do, keh dun mein saari hi baatein

Kaise? tumhe keh dun, nahin chahta tumko...!

-Khan M. Asim...09/02/2008...8:50 AM...

Thursday, February 07, 2008

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!


Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan

Yaadein tumhari yeh angdaiyan

jalayen, jagayen humein yun rulayen

Tumhari haan baaton ki parchaiyaan

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

Aankhon mein tum ho, baaton mein tum ho

Dhadkanon mein hamari haan saanson mein tum ho

Tumhara hi dil o zahen pe hai saaya

Tum hi tum ho har sun kitaabon mein tum ho

Yeh kaisi mili humko parchaiyaan?

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

Woh khumaari khumaari haan lafzon ka piyaala

Kaisi sharabein? kaisi madhushala?

Tum hi se munnawwar haan aalam hai saara

Tumhare hi dum se andhera ujaala...

Kyun aankhon mein aansu hain qilqaariyaan...

Mausam-e-ishq aur tanhaiyaan...!

- Khan M. Asim...07/02/2008...2:15 PM...

Tuesday, February 05, 2008

!!! Poshidah Mohabbat !!!


Kyun karte ho mujhse?

Dil phenk se sawaal...

Sawaal aise ke zalzala aajaye

Sawaal aise ke mehwar hil jaye

Sawaal aise ke aasmaan udne lage

Rehne do abhi raaz ko raaz

Karne do lamhon ko sargoshiyan

Udne do ishq ke parwaanon ko

Haan! abhi waqt hai mohabbat ka

Sama jaane do mujhko khud mein

Dhoondne do kehkashaani raaz

Iss zamaane ne kisko bakhsha hai?

Bhool jao isse,........

Hone do nasho-numa mohabbat ki...

Rakho abhi pardah kahani pe

Kahin zaad-e-safar na lut jaaye

Abhi daastaanein chalne do

Aashiqon ki mehfil mein...

Waqt ko sanwarne do, baat ko samajhne do

Abar ko barasne do, Barf ko pighalne do

Sawaal toh uthenge hi jo pardeh mein kahani hai

Poshidah mohabbat hai aur hazaar afsaane...!

-Khan M. Asim...05/02/2008....10:35 AM...

Monday, February 04, 2008

Poshida Sanam...!


Ik roz mohabbat tumse ki

So baar hamara qatal hua

Duniya vuniya hum bhool gaye

Seedha jannat mein dakhal hua!
...........,,,,,.............!

Poshida sanam poshida sanam

Chilman se zara tu jalwa dikha

Haan saamne aa tu saamne aa

Mausam ko rangeen naghma sikha

Phir bol zara tu aankhon se

Poshida sanam poshida sanam...!

Tadpan ko jaga tadpan ko mita

Koi saaz baja koi saher chala

Geesun se muattar kar mehfil

Koi noor jaga koi noor jaga

Jugnun si chamak jugnun si chamak

Poshida sanam poshida sanam...!

Ik tara falak mein jalta hai

Roshan hain jisse saare jahaan

Haan noor hai tu haan noor hai tu

Mehfil ki raunak hoor hai tu

Kyun mujhpe zulmat chayi hai?

Poshida sanam poshida sanam

Chilman se zara tu jalwa dikha...!

-Khan M. Asim...04/02/2008...2:35 PM...

Sunday, February 03, 2008

Mere jeevan ki tu doli...!


Chul-bul natkhat teri boli

Eid meri tu, tu hi holi

Tujh sang meine Sapan sajaye

Mere jeevan ki tu doli...!

Kaisi aasha kya abhilasha

Bin tere har jeet nirasha

Ban mein chirpir tere dum se

Neinun tere teri bhasha

Kathin samay hirday pe chaya

Saath nibha mere humjoli

Tujh sang meine Sapan sajaye

Mere jeevan ki tu doli...!

Bharat baasi tu bhi mein bhi

Hain na manus tu bhi mein bhi

Kyun na cheden prem sitaar phir

Prem rogi hai tu bhi mein bhi

Kaisa antar tujh mein mujh mein

kaisi urdu kya bengoli ?

Tujh sang meine Sapan sajaye

Mere jeevan ki tu doli...!

Har praani ko uska jeevan

har pakschi ko neel gagan

Har premi ko uska saathi

Kuch aur nahin toh dedo agan

Utsav, jeevan-mrityu tujhse

Tu hi jeevan ki rangoli

Tujh sang meine Sapan sajaye

Mere jeevan ki tu doli...!

- Khan M.Asim...03/02/2008...10:10 PM...