Mein Aur Mera Aks...!
Ek hi sikke ke do pehlu
Mein aur mera aks
Jab bhi apas mein takrate hain
Ek-doosre mein kami paate hain
Usko mujh mein sirf khaami nazar aati hai
Aur mujhe usmein koi khoobi nazar nahin aati
Mein udaas, duniya se bezaar
har jazbe se bezarar
Carter Road ke saahil par beitha
Apna tajziya karta hun
Kya mein bilkul chughad hun?
Aakhir mujh mein itni khaamiyan kyun?
Kya mein achcha insaan nahin?
Mein bhi ussi khaak se bana hun
Jisse aur log,
Toh phir itna farak kyun?
Mera aks jawab deta hai
Jo ke ab lehron mein bat chuka hai
Woh mujhe yaad dilata hai...
Woh anjaani ghaltiyaan
Jinko mein nazar-andaaz karta hun
Aur dujon ki nazar se gir jaata hun,
Phir mein sochta hun
Yeh doosre meri shakhsiyat mein kahan se aaye?
Kya mein tanha nahin ji sakta
Aks jawaab deta hai...
"Abe bevakoof..!
Tu tanha akela kya karega?
Apne liye na sahi, samaaj ke liye to ji
Woh bhi zara dhang se..."
Uski yeh kadvi kasili baatein
Mein sun leta hun...
Phir woh bhayanak si hansi
Aur woh lehron mein bat jaata hai
Magar...
Zahen mein ik naya khayaal janam leta hai...
Samaaj seva se mujhe kya milega?
Jab mujh mein khaamiyan thin
Isne mujhe thukra diya...
Kya samaaj sirf achchai ka naam hai?
Yeh toh iski khudgarzi hai
Khudko achcha kehelwaane ke liye
Achchon ko talaash karta hai...
Toh phir...Hum jaison ka kya?
Mein yeh sochkar mutnaffur,
Khudko be-yaar-o-madadgaar mehsoos karta hun
Phir samaaj se bezaar hojata hun...
Woh phir bhayanak si hansi ke saath aata hai
Phir wahi takrao...
Uska wahi lecture,
Aur Mein...
Paththaron se usse bhagane ki koshish karta hun...
Magar woh phir bhi haqeeqat keh jata hai
Mein phir isi jhooti duniya mein kho jaata hun
Apne zameer ki talaash mein...
Aur woh lehron mein muskurata hai
Hain toh hum ek hi sikke ke do pehlu,
Magar ek doosre se juda juda,
Woh mashriq to mein maghrib!
-Khan M. Asim...20/07/2004...Afternoon...Carter Road, Bandra...
No comments:
Post a Comment