Thursday, February 21, 2008

Diwana waar phirta hun...!


Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun

Tumhare saath rehta hun

Tumhi se baat karta hun

Girta hun, sanbhalta hun

Sanbhalkar phir mein girta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Kahin pe dard uthta hai

Kahin pe ik chubhan si hai

Yeh tanhai go qatil hai

Tumhari anjuman si hai

Tumhara naam aajaye

Sharam se aah bharta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhare raaz ko aise

Chupaon kab talak dil mein

Hazaaron haath uthte hain

Meri janib haan mehfil mein

Tumhe hai kya koi parwah?

Kyun lamha lamha marta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

Tumhi meri duaon mein

Tumhi ho shairy meri

Tumhi haan jaane gulshan ho

Tumhi se daastan meri

Mein jiss raah ko nikalta hun

Tumhi se mein guzarta hun

Ajab halaat hain mere

Diwana waar phirta hun...!

- Khan M. Asim...21/02/2008...2:00 AM...

1 comment:

Noorjahan Momin said...

dard ko lafzo mein samo kar haste ho tum,
is muskurahat ke peeche aansoon ko doobo dete ho tum,
khoobsoorat likha hai hamesha ki tarah...