Jannat
In nigahon se jaam peene de
Yeh lamha mujhko jeene de
Abhi waqt hai…tere sanwarne ka khil-khilane ka…
Meri baahon mein muskuraane ka…
Tarasti ghaans par oas ban ja
Jala de dasht ko apne sholon se…
Rakh abhi baat apne honton pe
Sochne de mujhe tu bhi soch…
Yun taqabbur tu na kar mujhpe
Abhi kinare kinare chalta hun
Abhi mojon mein tu utarne de
Raahe dil se abhi guzarne de…
Nikammapan, nakaargi nahin hota
Nakamiyaan kaghazon mein roti hain
Kaamiyaabi dhoop mein nikharti hai…
Ik tu hai tera jalwah hai,
Ik mein hun tootta taara…
Zindagi hosh-ruba apni
Ik tilism mein qaid,
Tu hai ke jaadugarni si
Mein hun ke khoya bachcha sa…
Abhi na rok mujhko peene se
Abhi na tok mujhko jeene se
Mujhko sholon mein aaj jalne de
Apni saanson mein yun tadapne de
Samandar mein ghota khaane de
Haan mujhko doob jaane de
Zara apne paas aane de
Haan mujhko muskuraane de…
Teri baahon ki sabz chaon mein
Pyaar ka geet koi gaane de…
Jo mar gaya toh mujhko dafna de,
Apni pyaari pyaari aankhon mein…
Inhin masgaan tale qabar ho ik,
Kutba ho in nigaahon mein…
Farishton ka gar guzar bhi ho
Teri palkon ko choo ke aayen woh…
Meri jannat sanam tujhi mein hai
Mujhko jannat muqaam rehne de…
Aise khaamosh tu na kar mujhko
Abhi honton pe naam rehne de…!
- Khan M. Asim…21/05/2008…2:33PM…Train…
No comments:
Post a Comment