Jab panghat kinare jaata hun..!
Jab panghat kinare jaata hun
Mein bhi Kishan ban jaata hun
Radhika naache ban ban mein
Aur aag lage more tan mann mein
Mein kan kan mein but jaata hun
Jab panghat kinare jaata hun..!
Nishchey mein parichey karta hun
Taaron se andhyaaron se...
Dharti aur gagan ko naapu hun
Uske gali galiyaaron se...
Mein roz hi pooja karta hun
Jab panghat kinare jaata hun..!
Har ek chameli kehti hai
Mein soorajmukhi sa lagta hun
Batlaon ab unko kaise
Mein raaton ko bhi jagta hun
Mein teerath darshan karta hun
Jab panghat kinare jaata hun..!
Woh toh hai haya ki moorat si
Aur mein chabila chaila sa
Woh malika saari duniya ki
Mein qalandar ek akela sa
Mein nirvani ban jaata hun...
Jab panghat kinare jaata hun..!
- Khan M. Asim...20/06/2008...5:15PM...its all pilosophical, nothing related to religion...i m very much on n with my faith...Allah Hafiz..!
1 comment:
Hi, I came through your site , I really don't wanna sound like spam but hey, would you like to link my site maxamator.com, we are emerging SEO Specialists / PHP developer from India, I’ll show my link love to you from my Pr5 sites :)
Let me know if you are interested.
Deekay
Email: - dk@maxamator.com
Post a Comment