Monday, October 06, 2008

Khabar..!

Ya apne qalam mein jaan nahi ya dil mein hi imaan nahin

Koi toh baat hai yaaro jo apni koi pehchaan nahin

Gheiron se shikayat kya karni jab khud par hi dhiyaan nahin

Chup chupkar jo hai waar kare woh buzdil koi insaan nahin

Dehshat aur zulam hai har janib har janib aag ki laptein hain

Nafrat ke beej jo boye hai woh beshak musalmaan nahin

Tumko hain sunate qisse woh aayat ko jhutla jhutla ke

Ae logon jung o jadal karo rabb ka yeh farmaan nahin

Wehshat o junoon ka gar koi ae logon prachaar kare

Mujrim beshak woh qaari hai yeh paigham e quraan nahin

Usne bhi kiye hain vaade kai jinka usse hai paas nahin

Daure par jaane waale tera hum par koi ehsaan nahin

Yaktarfa khabrein chalti hain sachchai inko raas nahin

Khamosh magar yun beithe rahein yeh ASIM apni shaan nahi..!


- Khan M. Asim...06/10/2008...7:45 PM..!

No comments: