Yeh soche jaata hun...!
Kuch likh nahi paata hun
Yeh soche jaata hun...
Tu kaise hansti hai
kaise muskaati hai
Mujhe pyaar se bole hai
Mujhe prem sikhati hai
Kuch likh nahi paata hun..!
Baahon ke aangan mein
Ik phool hai mehka sa
Yaadon mein deep jale
tera chehra chehka sa
Tujhe isse ziyadah ab
Aur kahan likh dun???
Anbar ke har jaanib
Teri khushboo aati hai
Mein bol nahin paata
Yeh soche jaata hun...
Kuch likh nahi paata hun..!
Milne ki tammanna hai
Ik roze qayamat si
Ho ichcha meri poori
Kuch teri inayat si
Tujhe dekhke chup na sakun
Kuch aisa manzar de
Andar hi andar na
Paapi ko marne de
Tu kaise bulati hai
Yeh soche jaata hun...
Kuch likh nahi paata hun..!
Andhkaar khatam kyun hai?
Yeh prem nagar hai kya???
Aankhon mein teri aankhein
Baahon mein teri baahein
Ab door nahin rehna
Yeh aahein kehti hain
Tu kaise saanson se
Kab saans milati hai
Yeh soche jaata hun...
Kuch likh nahi paata hun..!
- Khan M. Asim...03/11/2008...2:10PM...Train..only4u, love u:)
3 comments:
'Yeh Soche Jaata hoon', I cn clearly see ur beautiful thoughtsm very well knitted here. Achchca to aap likhte hi hain..ye kuch alag hai, shaayad kisi khaas ke liye khoobsurat khayaal, soch hai...
It's a lovely piece of writing. All d bst...
Tumhari Shairy achchhi shairy hai.
ise jaari rakkho.
Fikrmand hone ki zaroorat naheen.
paani raasta bana hi leta hai.
obaid azam azmi
Post a Comment