Nirvaana
Apni adaa ka usne deewaana kar diya
Lafzon ka jaam dekar paimaana bhar diya
Mujhko nahi shikayat uske dayaar se
Usne mujhe jalakar parwaana kar diya
Farmaane aabidi mein yeh bhi tha ek kaaj
Usne mere ghamon ko shaahaana kar diya
Khud se kahan chupi hai khudki hi koi baat
Usne mujhe hi khudko nazraana kar diya
Maanga kabhi jo vaadah meine haan pyaar se
Usne mere bharam ko faqiraana dhar diya
Aata hai yaad mujhko abru ka paich o kham
Jo muskuraa ke usne rafiqaana kar diya
Kaisi khushi kya ghum hai ASIM kya zindagi hai
Usne tujhe bashar se nirvaana kar diya
- Khan M. Asim...02/02/2009...7:50 PM...Train
2 comments:
In dinoN Urdu Shairy meiN jo chand Naujawaan apni jaanib logoN ki tawajjoh babzool karaane meiN Kaamiyaab nazar aate haiN un NaojawaanoN meiN Asim Khan aik achchhe aor suljhe huey Shair haiN. unki Shairi achchhii aor sachchi Shairi hai.Is ka isteqbaal kiya jaana chaahiye.
Obaid Azam Azmi
Mumbai - India
08/02/2009
Urdu Poetry in Mumbai/Bombay India:
In dinoN Urdu Shairy meiN jo chand Naujawaan apni jaanib logoN ki tawajjoh Mabzool karaane meiN Kaamiyaab nazar aate haiN un NaojawaanoN meiN Asim Khan aik achchhe aor suljhe huey Shair haiN. unki Shairi achchhii aor sachchi Shairi hai.Is ka isteqbaal kiya jaana chaahiye.
Obaid Azam Azmi
Mumbai - India
08/02/2009
Post a Comment