Shab-e-Furqat
Yeh kya kia tum ne!
Yeh haq bhi cheen lia...
Ab aansu bhi ghulam hain goya
Hukum se behte hain
Hukum se thamte hain...
Yaadein,
Zahen ko majhool kar rahi hain
Tumhare saath beeta har pal
Tumhari muntazir har saa-at
Sapnon ka maayajaal
Har dor apni jaanib kheenchti
Na ankhiyan mein neend
Na dil ko qaraar
Sunna chahta hun wahi izhaar
Tumko mujhse pyaar hai
Aur kya kahun tumse
Ab toh ikhtiyaar nahin
Muskurahat naapeid ho goya
Diwaana dil maghroor tha
Magar,
Meelon ki doori
Yeh shabe furqat
Zameen pe le aayi...
Kaash tum sun sakti
Jo mein tumse kehna chahta hun,
Mein jaanta hun
Do aankhein,
Andhere mein ghoor rahi hain..
Dil beqaraar yahan hai
Toh chein wahan bhi nahin hai
Ishq pe meri ijarahdaari nahin...
Tum bhi wahan jaag rahi ho...!
- Khan M. Asim...24/09/2009...1:40AM... missing you alot!
1 comment:
Bachcha sab hoga ACHCHA... :)
Post a Comment