Raftaar
Tez raftaar zindagi,
Aur meri bepahiyon ki gaadi,
Khamosh nazron se
Bas taak raha hun,
Inn kirnon ko
Jo har patte ko sunehra kar rahi hain...
Magar iss dil mein
Sirf tariki hai...
Umeed ki lou
Aakhiri kagaar par hai
Toh yaqeen bujha hua
Be-sood, nakaam lamhe
Massarrat ka koi shaiba nahin,
Aaj Mumbai local ke,
Doosre darje mein,
Zindagi,
Teesre darje mein daakhil horahi hai,
Magar,
Kuch kar nahi sakta,
Mein haar chuka hun,
Iss raftaar se,
Na-mukammal...
Khatam!
- Khan M. Asim...1:25PM...04/01/2010..Train
1 comment:
Take it as a new start... the bad won't last long... you know that... so smile.. and get started.. :)
All the best...
Post a Comment