Wednesday, October 27, 2010

Berozgaari


Phir wahi naakaam kahaani

Khushiyan ghayab aur viraani

Be ma-ash, bhook, berozgaari

Tauba, thuh! yeh kaisi jawani

Be-raah manzil, noor nadarad

Ghuncha ghuncha paani paani

Bas apno ko saari raahat

Khan sahab ko nahi aasaani

Kabhi do toh kabhi chaar hain

Badhti jaayein minute diwaani

Zahen faqat hichkole khaaye

Kya yahi qismat thi banani?

Manzar ASIM yahi raha toh

Ho jaayenge aanj-haani!

Khan M. Asim... 26/10/2010...8:25 PM...Train... I know it needs lots of editing work but am so tensed that cant even pen down things! I feel am a looser, am GONE!

2 comments:

Anonymous said...

Phir hogi aasan kahani
Khushiya rahat aur aasani
barkha, purwa aur hariyali
aayegi phir se mast javani
manzil roshan noor tale hai
guncha gul kya baag tumhara
apno ka sukh hi apni rahat
unka dukh apni pareshani
hichkole,dum aur sari furkat
haan yehi h zindagi ki nishani
sabar kar pyare zara sabar kar
hojaega tera anjana anjaani.

Asim Khan said...

thank u bhai sahab, magar aap ka naam toh likh jaiye!