Manzil
Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun
Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun
Jo duniya ki chahat mein tujhko bhula de
woh khudgarz aashiq nahin hun nahin hun!
Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun
Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun..!
Samandar kinara, woh lamhon ka dhara,
kabhi nazrein jhukti kabhi dil hamara,
kabhi banta aanchal mohabbat ka parcham,
kabhi dard se toot jaata sitara,
mahek gesuon ki mein bhool nahin hun,
Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!
Woh honton ki narmi woh gaalon ka challah,
Mera dil gaya yun arrey hai allah...
Numaish mohabbat mein karte nahin par
Tumhi se hai ulfat kasam allah allah
Woh baaghe baharan mein bhoola nahin hun
Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!
Likha naam tera hai dil ki zamin par
Rahega azal tak yahin par yahin par
Nahin mit sakegi hamari kahani
Farishta yeh kehta hai arshe barin par
Khuda ki khudai ko bhoola nahin hun
Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!
Khan M. Asim 30/10/2010... 1:06 AM..!
1 comment:
Post a Comment