Aazmaish!
Adhura khwaab hai koi junoon o aazmaish hai
Zahen afsurdah afsurdah masarrat ki numaish hai
Yahi hota hai aksar mein yunhi haar jaata hun
Tera milna wa na milna, gham hai na sataish hai
Yeh lamhe khoon ke pyaase, saansein jaanleva kyun
Muqaddar aazmaane ki na ab koi gunjaish hai
Wahan labreiz paimana, yahan liwaan khaali hai
Kahan rasta kahan manzil, janmon ki paimaish hai
Kabhi mumkin kabhi haasil kabhi kuch aur khwahish hai
Sanbhalo dil ko tum ASIM kahan milti aasaish hai?
-Khan M. Asim... 21/02/2011...10:20PM...Train!
Word Meanings:
junoon - passion
aazmaish - test, exam
Zahen - mind
afsurdah - Sad
masarrat - Happiness
numaish - show off
sataish - applaud
aazmaane - to try
gunjaish - expectancy
labreiz - full, up to the lips
paimana - glass
liwaan - glass
khaali - empty
rasta - path
manzil- destination, home
janmon - births
paimaish - count
mumkin - possibility
haasil - achieving
khwahish - desire
aasaish - comfort,luxury
- Hope it helps you to understand it!
1 comment:
Good one Asim... :)
Post a Comment