Recent single couplets
Dekh dil hai tarazu ka na pansa koi,
Jis taraf bojh ho uth jata hai! ASIM
-------
Maraz bhi mohabbat hai ilaaj bhi mohabbat hai
kya karein kuch samajh nahin aata? ASIM
-------
Ishq jungle hai, na bhatko kahin, kho jaoge
Mere tinke jodte tum apna jahaan lutwaoge! Asim
-------
Palkon pe bithaoga toh sir pe chadke naachenge
Yeh duniya hai har ik sheh ka zarf tola jayega! ASIM
--------
Maa ki aankhon ke ho taare
Behna ke ho raaj dulaare
Dilbar ko ho jag se pyaare
Phir kaise Asim haal tumhare? ASIM
--------
Harf ba harf lehja ba lehja jo kabhi kuch khaas tha
Yun toota apna bharam sab lagta hai bakwaas tha! Asim
--------
Ik laher hai samandar ka jigar chaak kiye
Tere hote bhi na mil paaye hum khaak jiye! ASIM
--------
Aise hi nahin aap ke qaabil hain
Bahut se aizaz humko haasil hain! ASIM
--------
Waqt ke haath agar shahenshai hai
Apne andar bhi khoob tawanai hai! Asim
--------
kya zaroorat hai muskurane ki???
jab aansuon se sukoon milta hai! Asim
--------
a poem too -
Jab paas hote hain toh kehte hain ke door jao..
Jab door hote hain toh kehte hain yaad bahut aate ho...
Aur jab milna chahte hain toh kehte hain waqt nahin hai..
Kambakht dil na hua azaabe-rooh hogaya,
Saans lein toh bhi dikkat na lein toh jaan jaati hai! ASIM
---------
Ishq nahin bas vehshat hai
Har jaanib ik dehshat hai
Kaun kare yan pakka souda
Doob chuki har maishat hai! Asim
---------
Woh roshni phir chup gayi
Phir aasmaan ghaafil hua! Asim
---------
Tum mujhe kaam do....
Mein tumhe kaamiyaabi dunga! Asim
(inspired by Bose)
---------
- Khan M. Asim... here are some of my recent single couplets!
2 comments:
kya poem likhi hai apne bahut hi badiya shabo kaa priyog kiys hai bahut hi acche najaz se
Thanks Jyoti!
Post a Comment