Saturday, April 09, 2011

Jab woh roonth jaati hain..!


Jab woh roonth jaati hain mein ghazlein khoob likhta hun

Bhala kaise kahun unse, nasha bas roonthne mein hai!

Tadakh jaati hain sab aahein tadapti ruh hai bheetar

Chatakhti sang nazron se, maza bas tootne mein hai!

Koi qaatil bana hoga, kisi ke husn ki khaatir

Yahan bhi dard hai uthta shagufa phootne mein hai!

Kahan rakhein chupakar ab, khazana husn ka unke

Kisey hai chaah daulat ki, maza bas lootne mein hai!

Dabi hai haath mein kismat, bhala phir aah o zaari kyun

Chali aao ohh dilbar tum ke lamha chootne mein hai!

Kisey hai khauf duniya ka, yahaan hain shaan se jeetey

Maza toh asal mein ASIM, zamaana kootne mein hai!

- Khan M. Asim..09/04/2011.. 2:42AM!

2 comments:

Danish Reyaz said...

Jab wo rooth jati hai to main bhi rooth jata hun,
na wo hi pass aati hai aur na hi main pas jata hun

Magar duniya ki gadi aise kaise chal bhi sakti hai,
to phir koi paas aata hai aur ham sab ko manata hai

magar abki zulum aisa hua ki kah nahi sakta,
jo rutha main to ruthi wo,magar koi na aaya....aur zingai..............

Asim Khan said...

Shukria Danish Bhai.. aur zindagi ke aage kya???