Friday, March 30, 2012

Mujhe khwab yeh saare dedo..!

Kya hua?

Jo sooraj doob raha hai!

Andhera hoga...

Chaand niklega

Taara chamkega

Jugnu timtimayega

Abhi bahut se afsaane baki hain

Raat bhar sitaron se baat hogi

Khwabon se apne mulaqat hogi

Yeh darr, yeh khauf, yeh dehshat

Yeh nafrat , yeh wehshat

Yeh ik daur hai

Guzar jayega!

Din ko duniya dikhai deti hai

Raat ko poori kainaat

Mujhe duniya se kya matlab

Mein kainaat ka talib hun

Meri kainaat mujhe pukarti hai

Jo kisi sher mein

Kisi band mein

Kisi nazm mein

Nihaan bhi hai

Numayan bhi!

Tum rakho din ka sooraj

Mujhe raat ke taare dedo

Tum rakho zindagi

Mujhe khwab yeh saare dedo..!

- Khan M. ASIM... 30/03/2012.. 05:42 PM!

Thursday, March 29, 2012

Zindagi bala hai ik..!

Kaise hosla ho ab

Zindagi bala hai ik

Dard aur aansoo ka

Daur bas chala hai ik..!

Aadmi kya samjhega

Aadmi kya jaanega

Har taraf andhera hai

Har diya dhuan dega

Raat si kahaani hai

Khauf bas chala hai ik

Dard aur aansoo ka

Daur bas chala hai ik..

Kaise hosla ho ab

Zindagi bala hai ik..!

Har yaqin bharam apna

Jhoota har karam apna

Maal aur daulat kyun

Ban gaya dharam apna

Apni aasteeno mein

Saanp bas pala hai ik

Kaise hosla ho ab

Zindagi bala hai ik..!

Gar teri adalat mein

Ishq sab se aala hai

Tu ne hi mohabbat ko

Haan dilon mein daala hai


Hum ko phir mohabbat mein

Hijr kyun mila hai ik

Dard aur aansoo ka

Daur bas chala hai ik
Kaise hosla ho ab

Zindagi bala hai ik..!

- Khan M. Asim... 29/03/2012... 01:31 PM!

Wednesday, March 28, 2012

Munfarid asha'ar..!

Deewaron ghoor lo jitna rang hai tum mein
Yeh berangi meri tumko na ziyada raas aayegi! Asim
**************************************
Chand saansein bhar raha hai
Koi mujh mein mar raha hai! ASIM
************************************
Muntazir hi raha dil mera ab talak
Khatm hoga mera intezaar kab talak? ASIM
***********************************
Kaaghaz aur qalam ka hai janmon ka bandhan
Utna achcha sher hai banta jitna ho manthan 
Jaise tara door gagan mein aur phool chaman mein 
Tere haath mein pyaara laage utna hi kangan! ASIM
*************************************
Bahut himmat se yeh jeet ka chashma utara hai
Lo meine seekh liya haar ko tasleem karna bhi! Asim
**************************************
Tu bata kidhar Jaon
Ghar rahun ya mar Jaon! Asim
***************************************
Sulag rahi hai mann ke andar
Dil ka dhuan dikhai na dega! ASIM
**************************************
Mumkin bahaar aaye magar sochta hun mein
Jo jhad gaya khizaan mein kya dost tha mera! Asim
**************************************
Filmy naghmein bhool chuka hun
Kab tak dukh ki ghazlein gaon 
Tu hi bata ab saathi mere 
Kya samjhun aur kya samjhaon! ASIM
************************************
Mustaqil yaas hai ghere humko
Ya khuda kuch karke tasalsul toote! Asim
***********************************
Hum ne ishq kiya, hum ne zulm sahaa
Tum mein taaqat hai agar aake waar karo! ASIM
***********************************
Lahoo bahaya, rooh ko beich dia
Zeest naaseh Tera bayaan nahin! Asim
**********************************
Chandarma tod diya jisne ik ishaare se
Bargazidah hasti ke hum huwe diwaane hain! ASIM
***********************************
Chand taare raat jugnu sab gaye
Khumaar dil se utarta kyun nahin! ASIM
************************************
Tujh ko tanha nahin rehne denge
Hum tujhe umar bhar satayenge 
Tere daaman ko berang nahi rehne denge 
Rang Holi ka hum lagayenge! ASIM
** Happy Holi**
 **********************************
Khud ko shama bana kar mehfil mein rakh dia
Roshan toh hosake na par jal rahe hain hum! ASIM
**********************************
60 saal jeena hai kaam kar ke marna kya
Araam se khao piyo zindagi se darna kya! ASIM
************************************
Mera falak meri zamin mera jahan
Kya hua agar isko banaya tu ne! ASIM
************************************
Na yaaro mujhko kum aanko zara tum ghor se dekho
Balaa ka zarf rakhta hun badey andaaz waala hun! ASIM
*************************************
Khud se chupkar pada hun qabar mein
Maut phir bhi magar nahin aati! ASIM
*************************************
Puraana ghum be-dum nahin hota
Naye ghum se mein rishta jodta hun 
Yeh but toh bewafa hai kuch nahin dega 
Kahan aakar mein maatha phodta hun! ASIM
************************************
Muqaddar chaak hogaya Khaaksaar khaak hogaya
Iradah aazmaaney ka tha Magar naapaak hogaya! ASIM
************************************
Husn mange chahne wala
Ishq mange dil jiyala 
Raat kaali, din ujala 
Bhook mange bas niwala! ASIM
--
Beauty seeks for admirer
Love looks for braveheart 
Dark night, enlightened day 
Hunger demands only morsel! ASIM
*************************************
Khud pe taqabbur kijiye, hum se bhi ulfat kijiye
Husn yeh kuch bhi nahin apni mohabbat ke siwa! ASIM
***************************************
Na chaand sa rukh hai tera na raat teri zulf hai
Mujhse khafa hogi agar toh husn sab bekaar hai! ASIM
*****************************************
Saathi ek mastana dede
ASIM sa deewana dede! ASIM
****************************************
Ab na shiddat se yun aitraaz karo
Kisi ka ishq bano kisi ko pyaar karo! ASIM
*****************************************
Zaroori toh nahin ke ittefaaq bhi ho
Khayaal apna hai pervi karo na karo! ASIM
--
Its not necessary that we agree
Thought is mine, follow or don't! ASIM
***************************************
Mein dagar hun mein bhanwar hun mein samandar hun
Mein hun dariya mein hun lashkar mein Sikandar hun! ASIM
**************************************
Mere din raat doobe hain mohabbat ki tsunami mein
Andhheron ki hukumat hai ujaale hain ghulami mein! ASIM
****************************************
Mein bhi naaseh tu bhi naaseh
Kaisa yeh rishta anjaana 
Zaahid teri baat mein aakar 
Tod dia hum ne butkhaana! ASIM
*****************************************
Ek akela mein deewana
Khud se hi ab hun begana! ASIM
**************************************
Aasmaanon pe chadh nahin sakta
Waqt manzil ka badh nahin sakta 
Saara jaadoo utar gaya hai ab 
Ab mein khudse bhi ladh nahin sakta! ASIM
****************************************
Khudi mein doobna chaahta tha zarbe kaleem ki khaatir
Na Musa ko samajh paaya sanam ko mein khuda samjha! ASIM
*******************************************
Junun mein hadd ho toh junun nahin rehta
Sukun mein hadd ho toh sukun nahin rehta! ASIM
*******************************************
Jawaani kat rahi hai shaan se aaraam se
Bachana mujhko ya Allah faqat rizqe haraam se! ASIM
********************************************
Ab toh khud pe bhi aitbaar nahin
Kaise keh dun ke tujhse pyaar nahin
Saari sardi guzaar di tanha
Poochte ho ke intezaar nahin
Hum ne gham ko piya hai har lamha
Phir bhi ranjish koi pukaar nahin! ASIM
********************************************
Ek dariya hun par piyaas bujhti nahin
Mar chuka hun magar saans rukti nahin
Uss ne toda humein aur toote bhi hum
Jhuk gaye hum magar woh kyun jhukti nahin? ASIM 
********************************************
Hum na honge toh hamari waah waah hogi
Poochenge log tum se yeh sher kis ka hai! ASIM
********************************************
Zindah hi aaon tujh mein ya murda bata lahed
Murdon ke iss shaher mein jeena muhaal hai! ASIM
******************************************
Ab itna shikwa bhi na karo hum se
Bewafa hain, ghaddaar nahin hain! ASIM
‎(Don't complaint so much to me
I may be unfaithful but not a traitor! ASIM)
****************************************
Garam dimaagh thanda mausam
Dil kyun uthaye koi jokham! ASIM
*****************************************
Husne paikar chaand si soorat ho tum
Sach kahun bahut khoobsoorat ho tum! ASIM 
--- 
"You are embodiment beauty, looks like moon 
Really... you are very beautiful! ASIM"
*****************************************
Sunna na chaahe gar mera girya-e-ishq woh
Khuda hai nahin sanam ke karein ibadat huzoor ki! ASIM
(If beloved doesn't wish to hear pray of my love
She is not God that i start worshiping her! ASIM)
******************************************
Bikhri zulfein, ujla chehra kispe tumhara raj nahin
Muskaate yeh nein tumhare kajal ke mohtaj nahin! ASIM
*******************************************
Kisi se pyaar karein kisi ka dil toote 
Koi hai khush koi badguman hota hai 
Kisi ka dil ka suroor kisi ka ghum peham 
Koi hai naaseh koi badzuban hota hai! ASIM
*********************************************

Saturday, March 24, 2012

Life..!

Life takes many turns... when we decide somethings, a few happens few evaporates. Sadness brings its on toll on senses. Neither we contemplate anything nor things occur on their own. The world seems dark, selfish, greedy and treacherous. We look at things blindly, perceive them according to our ideas and get satisfied. And we think, we are the so-called intellectual, poet and philosopher, in a way believe self as the Master of the World.

When we look at the reality, world appears as cruel as a butcher. And the fantasy world disappears. Ego-clashes, struggle for honour and respect begins here. Why I am writing all this crap in this box? Because I am sad, unhappy, not liking the current happenings and somewhere struggling for my self respect. Since teenage am taking my own decisions. Some decisions wrote a success story some ended in failures and blunders.  Same happened in certain recent cases too.

I don't claim that I am Alexandra and want to conquer world within a few years. But i do dream, desires to become master of my own world. It may be a massive blunder that i try many things at the same time. I know sailing into two boats never takes you anywhere. But am confuse, destination is success, to be rich, be respected, but have no ideas about the paths. There is no guide, no godfather to bring me to esteem.

I do have short term, long term goals but for all that I need money. And its really a sorrow state that i hardly have a few penny with me. Friends, I respect your advices, I am taking all your suggestions, hearing them, trying to get them with positive spirit, fighting with the egoist inside to curb his fantasies. I know life is not a fairytale that life will change with a magic wand. Nor its poetry where we talk her smile is the world to me. Definitely, smile can only come with a filled belly an empty stomach can just give acidity.

I planned for business and now dropping the idea for a while. It doesn't mean i suck. Its just that i need money. May be a job can help me. I reached up to this decision not by own instincts but i really pondered upon all of yours suggestions. I know am not that good at responding when you suggests. May be i can't act or the man inside doesn't allow me to do so. At the core am a countryman. Who is straight, blunt and can never be diplomatic.

Recently, I was so frustrated that i decided not to write any poem, if writing not to post on blog or on Facebook. But poetry runs in my blood. This is something i can't live without. I feel i write. In between I warned myself, Asim no more poetry, but words did reveled to me but i didn't pen them. Then she asks write some poetry for me, and the bird flies.

Although, am slogging at the moment but still patterns are changing, earlier saddened clouds are slowly disappearing, whether its in the case of academics or professional life. Delivered my last lecture at S.N.D.T yesterday. The only place where i behave as a king, ofcourse, a teacher is always the ruler in his class. I don't know if i will be teaching to the next batch, as a job may not allow me to do so.

Well, its 2:34 AM now, though am not that sleepy but its better to stop here. Because my story is too boring, and has no melodrama. Intend to write a few couplets, the only way i release the frustration.  And make other realise that am a real fool. Who is never going to take his life seriously. Yup, a countryman, an ignoramus and a fool, as i believe like Ibn-e-Safi's Imran, a wise fool.   

So, guys do pray for me. I will revert with the same. Love :)                     

Sunday, March 18, 2012

Phir ek awaaz Daba di gayi!

Iski bhi suni 
Uski bhi suni 
Jisne bhi kaha 
Uski hi suni 
Dil ki na suni 
Dil ki na suni 
Phir ek awaaz Daba di gayi! 
Baadal bhi rahe 
Saawan bhi rahe 
Garje bhi bahut 
Barse bhi bahut 
Aankhon so piye 
Tishna bhi rahe 
Mausam ki suni 
Gul ki bhi suni 
Dil ki na suni 
Dil ki na suni 
Phir ek awaaz Daba di gayi!
Raaton mein Jale 
Pehron mein dhale 
Toofaan mein pale 
Lehron mein dhale 
Mehfil ki suni 
Sahil ki suni 
Dil ki na suni 
Dil ki na suni 
Phir ek awaaz daba di gayi!
Aate bhi rahe 
Jaate bhi rahe 
Hanste bhi rahe 
Gaate bhi rahe 
Rindi the faqat  
Rindi hi rahe 
Ab zeest ke naale gaate hain 
Iski bhi suni 
Uski bhi suni 
Jisne bhi kaha 
Uski hi suni 
Dil ki na suni 
Dil kil na suni 
Phir ek awaaz Daba di gayi 
Phir ek awaaz daba di gayi..!
- Khan M. Asim... 17/03/2012... 4:50 PM! 

Saturday, March 17, 2012

Risk..!

Mein ahmaq hun 
Mumkin hai, 
Bahut mumkin hai... 
Abhi umar hi kya hai 
Na tajurbakar, 
Kum-umar, 
Pur-josh 
Apne khayalat mein madgham 
Kahin waqar ki zidd
Kahin aitmaad ka jhoola 
Raqs karte log 
Kabhi apne 
Kabhi paraye 
Ek siyasat, 
Apne andar 
Zahen taanashah 
Aur dil jamhoori, 
Uspe, naaseh, 
Rafeeq, rehbar, 
Tajurba maange, 
Umar daraaz 
Aur kaamiyabi 
Mehnat o himmat 
Magar, 
Waqt kiska hua hai 
Kya jaane kal kya ho 
Mein rahun 
Na rahun... 
Apne aaj ko 
Kal kar dun, 
Woh kal, 
Jo kal mumkin na ho 
Laga, yahi din hai 
Yahi waqt hai 
Nakaami tajurba degi 
Kaamiyaabi faidah 
Risk 40 mein ho 
Ke 25 mein, 
Aakhir... 
Risk ki umar kya hai..! 
Khan M. ASIM... 17/03/2012... 2:18 AM!

Friday, March 16, 2012

Anjaan musafir!

Kya kahun 
Kuch samajh nahi aata 
Khaali.. Thaali.. 
Bekaar, 
Kisi khila ki manind 
Be aab o hawa 
Logon ka hujoom 
Tapish, ghutan 
Joonjhte khayalaat 
Khud se ranjish 
Dil se shikayat 
Nakaam o namuraad 
Mann ke bheetar
Ek toofan, 
Ek ubalta aatishfishan 
Dard bhi aur 
Wehshat bhi... 
Izmehlal o tareeki 
Jung ki soorat 
Be hathiyaar 
Ek safar, Na chagal 
Na zaade raah 
Uspe khaar, 
Kohra, ghubaar 
Manzil wahi 
Magar... 
Anjaan musafir! 
- Khan M. Asim... 15/03/2012... 4:50 PM!

Thursday, March 15, 2012

Raasta..!

Raasta chal raha 
Aasmaan ki taraf 
Laage qadmon mein 
Duniya yeh dhansti Hui 
Har taraf ik dhuan 
Kuch bhi soojhe nahin
Tez raftaar hai 
Dil giraftaar hai 
Bhaagta hai phire 
Dard aahein bhare 
Yeh sisakta bhi hai 
Yeh tadapta bhi hai 
Kya Karun 
Kya kahun 
Kuch bhi soojhe nahi 
Mein bhi keh na Saka 
Woh bhi samjhe nahin 
Raah anjaan hai 
Manzil khoi Hui 
Dekhte hain kisey 
Kaamiyabi mile 
Tez raftaar ko 
Dil giraftaar ko 
Raasta chal raha 
Aasmaan ki taraf..!
- Khan M. Asim... 14/03/2012... 4:50 PM... Train!

Tuesday, March 13, 2012

Jaan..!

Ishq shiddat se Kia  
Dard se ulfat karli  
Raat aankhon mein kati 
Hum dahekte hi rahe 
Ghum ka baazaar Chala 
Muft mein hum bhi bikey 
Teri tasveer rahi 
Chaand betaab raha 
Tere aane ka bharam 
Tera milna bhi hua 
Raah jugnu ne taki 
Ashk shabnam mein dhala 
Kisi dumdaar sitaare sa 
Toota mein bhi 
Teri sargoshi rahi 
Lamhe khaamosh rahe 
Dil toh nadaan hai yeh 
Tujh se anjaan raha 
Mein tujhe jaan gaya  
Tu meri jaan hai  
Jaan ko lenewaali! 
- Khan M. Asim... 12/03/2012...11:50 AM!

Monday, March 12, 2012

Tangdasti..!

Dil bujh raha hai zahen pe chaya ghubaar hai
Tera khayaal dhundla sa teri tasveer geeli hai
Khumaare jaame tanhayi tasalsul ik udasi ka
Zara si tangdasti hai zara si jeib dheeli hai
Kahin nazare inayat hai Kahin pe kuch taghaful sa
Kahin hum dagmaga jaayein na yeh samjho ke peeli hai
Muqaddar hai muqaddar se koi bhi lad nahin sakta
Shikayat ab karein kisse kya khaaki hai kya neeli hai
Batayein kya sanam tumko haal dil shikasta ka 
Toote khidki darwaazeh har ik deewaar seeli hai
Kisey ilzaam dein ASIM zamaana kab hua kiska
Yeh apni karastaani hai jo haalat laal peeli hai! 
- Khan M. Asim... 12/03/2012... 2:00 AM!

Tuesday, March 06, 2012

400


Monica...

O meri Monica


Tujh se ho mera nikah


Dil kahe dil se laga lun


Tu kahan jaldi se aaa...


Monica..!


Monica O meri Monica


Monica O meri Monica..!

Tu meri hai dil-ruba

Jaanashin o jaanejaan

Iss pagal ko ab tu mut sata

Tu kahan jaldi se aaa...

Monica O meri Monica

Tujh se ho mera nikah

Monica O meri Monica


O meri Monica..!

Monica mein teri monica

Tujh se ho mera nikah

Tu mera hai dil-ruba

Jaanashin o jaanejaan

Yeh dil hai bas tujh pe fida...

Monica O meri Monica


Monica mein teri monica..!

-Khan M. Asim... 1995!


Hahahahahahaha.... lolllllzzz... I can't stop laughing after reading these lines and please don't abuse me for it. I hope miss Monica will forgive me for this. Must have grown up like me. Don't know if she is married now... When we used to stay in chembur, there was a Marwadi family residing in neighboring Sarvodya Colony. They had 3-4 girls one amongst them was Monica, i used to like her a lot... The family still stay there, for the guys from my colony, Monica's home is just opposite to our dispensary... Hahahaha... so it was childhood affair... I don't think if Monica even remembers me today... its been 17-18 years now..!

Well, Its poem number 400 on this blog so it had to be special and as usual i posted one older one, of the time when i was learning how to hold the pen! Thank you for reading it guys, i am literally sorry to Monica, if ever she comes to read it :p 

Thanks alot friends, its your love and care that made me write and i know you will also support me in future. Here i dedicate this poem to all of you and especially to My Love! Name withheld ;) Waise mein bachpan se romantic hun :P

Monday, March 05, 2012

Jeena hum ne seekh liya hai..!

Jeena hum ne seekh liya hai uski aankh ka kajal bankar
Jab se usse nein lade hain ghoom rahe hain pagal bankar
Uff yeh mohabbat challe jaisi ghoom rahe hain tishna tishna
Ishq ke banjar sehraon mein woh aati hai baadal bankar
Uski baatein mushk laher si jin se mehke saara manzar
Yaadein uski taaqat deti saath chale hain chaagal bankar
Waqt ke zaalim garm thapede deke dastak ghar ko laute
Dard ke toofaan jab bhi aayen woh rehti hai aanchal bankar
Raqs karein hain uski adayein jhoomein naachein naghma sunayein
Uske mukh ki khil khil khil khil goonj rahi hai paayal bankar
Zor se hansna khul ke jeena uska hai andaaz niraala
Asim usse kaun kahe ab hum rehte hain ghaayal bankar!
- Khan M. Asim... 05/03/2012... 1:15 AM!

Sunday, March 04, 2012

Dahek rahe hain labon pe angaare!

Jabeen pe uss ki ajeeb hai sooraj
Dahek rahe hain labon pe angaare
Dil mussavvir koi naqsh kya naape
Uchal rahe hain nason se phauvaare
Kahan gulab kahan gulab ki khushboo
Ussi jamaal se mehke phool yeh saare
Kahan hai raat kahan raat ki baatein
Ussi mein khoye hain chaand aur taare
Usse jo dekha hawaas kho beithe
Jhoomte hain nasshe mein nazzaare
Qat'l hum bhi nigaah se hain uski
Mare huwey ko maut kya maare
Koi nazeer toh uss ke qareeb ho ASIM
Dhoondte hain shaher mein bechaare! 
- Khan M. Asim... 04/03/2012... 2:30 AM!