Monday, March 05, 2012

Jeena hum ne seekh liya hai..!

Jeena hum ne seekh liya hai uski aankh ka kajal bankar
Jab se usse nein lade hain ghoom rahe hain pagal bankar
Uff yeh mohabbat challe jaisi ghoom rahe hain tishna tishna
Ishq ke banjar sehraon mein woh aati hai baadal bankar
Uski baatein mushk laher si jin se mehke saara manzar
Yaadein uski taaqat deti saath chale hain chaagal bankar
Waqt ke zaalim garm thapede deke dastak ghar ko laute
Dard ke toofaan jab bhi aayen woh rehti hai aanchal bankar
Raqs karein hain uski adayein jhoomein naachein naghma sunayein
Uske mukh ki khil khil khil khil goonj rahi hai paayal bankar
Zor se hansna khul ke jeena uska hai andaaz niraala
Asim usse kaun kahe ab hum rehte hain ghaayal bankar!
- Khan M. Asim... 05/03/2012... 1:15 AM!

No comments: