Wednesday, March 28, 2012

Munfarid asha'ar..!

Deewaron ghoor lo jitna rang hai tum mein
Yeh berangi meri tumko na ziyada raas aayegi! Asim
**************************************
Chand saansein bhar raha hai
Koi mujh mein mar raha hai! ASIM
************************************
Muntazir hi raha dil mera ab talak
Khatm hoga mera intezaar kab talak? ASIM
***********************************
Kaaghaz aur qalam ka hai janmon ka bandhan
Utna achcha sher hai banta jitna ho manthan 
Jaise tara door gagan mein aur phool chaman mein 
Tere haath mein pyaara laage utna hi kangan! ASIM
*************************************
Bahut himmat se yeh jeet ka chashma utara hai
Lo meine seekh liya haar ko tasleem karna bhi! Asim
**************************************
Tu bata kidhar Jaon
Ghar rahun ya mar Jaon! Asim
***************************************
Sulag rahi hai mann ke andar
Dil ka dhuan dikhai na dega! ASIM
**************************************
Mumkin bahaar aaye magar sochta hun mein
Jo jhad gaya khizaan mein kya dost tha mera! Asim
**************************************
Filmy naghmein bhool chuka hun
Kab tak dukh ki ghazlein gaon 
Tu hi bata ab saathi mere 
Kya samjhun aur kya samjhaon! ASIM
************************************
Mustaqil yaas hai ghere humko
Ya khuda kuch karke tasalsul toote! Asim
***********************************
Hum ne ishq kiya, hum ne zulm sahaa
Tum mein taaqat hai agar aake waar karo! ASIM
***********************************
Lahoo bahaya, rooh ko beich dia
Zeest naaseh Tera bayaan nahin! Asim
**********************************
Chandarma tod diya jisne ik ishaare se
Bargazidah hasti ke hum huwe diwaane hain! ASIM
***********************************
Chand taare raat jugnu sab gaye
Khumaar dil se utarta kyun nahin! ASIM
************************************
Tujh ko tanha nahin rehne denge
Hum tujhe umar bhar satayenge 
Tere daaman ko berang nahi rehne denge 
Rang Holi ka hum lagayenge! ASIM
** Happy Holi**
 **********************************
Khud ko shama bana kar mehfil mein rakh dia
Roshan toh hosake na par jal rahe hain hum! ASIM
**********************************
60 saal jeena hai kaam kar ke marna kya
Araam se khao piyo zindagi se darna kya! ASIM
************************************
Mera falak meri zamin mera jahan
Kya hua agar isko banaya tu ne! ASIM
************************************
Na yaaro mujhko kum aanko zara tum ghor se dekho
Balaa ka zarf rakhta hun badey andaaz waala hun! ASIM
*************************************
Khud se chupkar pada hun qabar mein
Maut phir bhi magar nahin aati! ASIM
*************************************
Puraana ghum be-dum nahin hota
Naye ghum se mein rishta jodta hun 
Yeh but toh bewafa hai kuch nahin dega 
Kahan aakar mein maatha phodta hun! ASIM
************************************
Muqaddar chaak hogaya Khaaksaar khaak hogaya
Iradah aazmaaney ka tha Magar naapaak hogaya! ASIM
************************************
Husn mange chahne wala
Ishq mange dil jiyala 
Raat kaali, din ujala 
Bhook mange bas niwala! ASIM
--
Beauty seeks for admirer
Love looks for braveheart 
Dark night, enlightened day 
Hunger demands only morsel! ASIM
*************************************
Khud pe taqabbur kijiye, hum se bhi ulfat kijiye
Husn yeh kuch bhi nahin apni mohabbat ke siwa! ASIM
***************************************
Na chaand sa rukh hai tera na raat teri zulf hai
Mujhse khafa hogi agar toh husn sab bekaar hai! ASIM
*****************************************
Saathi ek mastana dede
ASIM sa deewana dede! ASIM
****************************************
Ab na shiddat se yun aitraaz karo
Kisi ka ishq bano kisi ko pyaar karo! ASIM
*****************************************
Zaroori toh nahin ke ittefaaq bhi ho
Khayaal apna hai pervi karo na karo! ASIM
--
Its not necessary that we agree
Thought is mine, follow or don't! ASIM
***************************************
Mein dagar hun mein bhanwar hun mein samandar hun
Mein hun dariya mein hun lashkar mein Sikandar hun! ASIM
**************************************
Mere din raat doobe hain mohabbat ki tsunami mein
Andhheron ki hukumat hai ujaale hain ghulami mein! ASIM
****************************************
Mein bhi naaseh tu bhi naaseh
Kaisa yeh rishta anjaana 
Zaahid teri baat mein aakar 
Tod dia hum ne butkhaana! ASIM
*****************************************
Ek akela mein deewana
Khud se hi ab hun begana! ASIM
**************************************
Aasmaanon pe chadh nahin sakta
Waqt manzil ka badh nahin sakta 
Saara jaadoo utar gaya hai ab 
Ab mein khudse bhi ladh nahin sakta! ASIM
****************************************
Khudi mein doobna chaahta tha zarbe kaleem ki khaatir
Na Musa ko samajh paaya sanam ko mein khuda samjha! ASIM
*******************************************
Junun mein hadd ho toh junun nahin rehta
Sukun mein hadd ho toh sukun nahin rehta! ASIM
*******************************************
Jawaani kat rahi hai shaan se aaraam se
Bachana mujhko ya Allah faqat rizqe haraam se! ASIM
********************************************
Ab toh khud pe bhi aitbaar nahin
Kaise keh dun ke tujhse pyaar nahin
Saari sardi guzaar di tanha
Poochte ho ke intezaar nahin
Hum ne gham ko piya hai har lamha
Phir bhi ranjish koi pukaar nahin! ASIM
********************************************
Ek dariya hun par piyaas bujhti nahin
Mar chuka hun magar saans rukti nahin
Uss ne toda humein aur toote bhi hum
Jhuk gaye hum magar woh kyun jhukti nahin? ASIM 
********************************************
Hum na honge toh hamari waah waah hogi
Poochenge log tum se yeh sher kis ka hai! ASIM
********************************************
Zindah hi aaon tujh mein ya murda bata lahed
Murdon ke iss shaher mein jeena muhaal hai! ASIM
******************************************
Ab itna shikwa bhi na karo hum se
Bewafa hain, ghaddaar nahin hain! ASIM
‎(Don't complaint so much to me
I may be unfaithful but not a traitor! ASIM)
****************************************
Garam dimaagh thanda mausam
Dil kyun uthaye koi jokham! ASIM
*****************************************
Husne paikar chaand si soorat ho tum
Sach kahun bahut khoobsoorat ho tum! ASIM 
--- 
"You are embodiment beauty, looks like moon 
Really... you are very beautiful! ASIM"
*****************************************
Sunna na chaahe gar mera girya-e-ishq woh
Khuda hai nahin sanam ke karein ibadat huzoor ki! ASIM
(If beloved doesn't wish to hear pray of my love
She is not God that i start worshiping her! ASIM)
******************************************
Bikhri zulfein, ujla chehra kispe tumhara raj nahin
Muskaate yeh nein tumhare kajal ke mohtaj nahin! ASIM
*******************************************
Kisi se pyaar karein kisi ka dil toote 
Koi hai khush koi badguman hota hai 
Kisi ka dil ka suroor kisi ka ghum peham 
Koi hai naaseh koi badzuban hota hai! ASIM
*********************************************

2 comments:

Arpita Sarkar said...

Khazana Khan saab.. :)
Umda !!!

Asim Khan said...

Shukria Sarkar :)