skip to main |
skip to sidebar
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein
Dekh mujh ko bhi zara nazare karam se teri
Teri chahat mein bahut badnaam hun mein...
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Raat kyun tanha kate, dil talabgaar rahe
Teri mehfil bhi saje aur intezaar rahe
Tujhko aana hai abhi jaan le bas yeh faqat
Tujhko tarse yeh nazar dil beqarar rahe
Aarzoo teri faqat justujoo tu hai meri
Tu hai aaghaaz koi tera anjaam hun mein
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Khud se anjaaan sahi tujhpe qurbaan hun mein
Tu khazana hai mera aur nigehbaan hun mein
Waqt mutlashi tera, kyun phire door sanam
Ishq mujhse bhi tu kar dekh insaan hun mein
Kyun nahin tujh mein wafa hai kahan ishq tera
Kufr ki baat na kar dil ka paighaam hun mein
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
Lafz bande hain tere, tu ghazal ki malka
Naam jo tera liya jaam mera yeh chalka
Dil toh masoom hai yeh isko ehsaas nahin
Chot shiddat se lagi dard hua kuch halka
Aa ke tu dekh zara kitna nakaam hun mein
Dil hai bazaar koi beja neelaam hun mein
Kyun ibadat na karun kyun gunahgaar banun
Maslak-e-ishq ka imaam hun mein..!
- Khan M. Asim... 22/05/2012... 01:42 AM!
2 comments:
Geet is its best ! so is the picture... Neela aasman aur sitaara.. :)
Best Wishes.. Waiting for the book :)
Thanks for your wishes Arpita... Well the geet belongs to the one who clicked this pic... not only this poem but all my poems and imaginations are dedicated to her :) I love her the most :)
Post a Comment