Sanglaakh..!
Mann ko todti
Iradon ko marodti
Hosle past karti
Raah dushwaar karti
Sanglaakh si duniya..!
Magar,
Yeh nahin jaanti...
Yeh sanglaakh meine chuni hai
Yeh dard meine apnaya hai
Yeh aah mujhe qubool hai
Yeh mohabbat meine ki hai..!
Iski har ataa meri
Iska har nawa meri
Iski har jaza meri
Iski har saza meri...
Yeh banjar zameen bhi hai
Yeh vaadiye seena bhi
Yeh kadwa samar bhi hai
Yeh man o salwa bhi...
Yeh sanglaakh garam hai toh
Yeh sanglaakh naram bhi hai
Yeh sanglaakh zulam hai toh
Yeh sanglaakh karam bhi hai...
Yeh mere sang hai
Aur mein iske sang hun
Na isse sang ka khauf hai
Na mujhe sang ka khauf hai
Yeh sanglaakh meri humdum
Yeh sanglaakh meri jaanam...
Duniya ki jhooti raahon se
Yeh sanglaakh meri behter
Mein iska saathi, raahi hun
Yeh sanglaakh meri rehbar...
Kuch aur agar na bhi mila
Yeh sanglaakh meri rahegi
Raaste ko chuna hai toh
Manzil bhi zaroor milegi..!
- Khan M. Asim... 19/05/2012... 04:25 AM!
Posted by Asim Khan at 4:47 AM
Labels: meri shayeri...
2 comments:
Ghazal ka bhav achcha hai..
Best wishes :)
Shukria... 5 lakh mein khareed lo... sasti hi hai... iss se kum bhav nhi hoga :P ;)
Post a Comment