Monday, December 31, 2012

Munfarid Asha'ar..!


Qadar o manzil na mili jab johiriyon ke shaher mein
Hum ne khud ko beich daala kodiyon ke daam mein! Asim

***************************************

Kood jaon dhum se marun
Ek chashme num se marun
Sum se marun bum se marun
Teri zulf-e-khum se marun! Asim

****************************************

Kismat bhi maherbaan hogi, haalaat badal jayenge
Har mausam mein jaaneman hum pyaar ka naghma gayenge! Asim

****************************************

Taareekh ke har baab ko masmaar kiya jaaye
Majnoo ko magar phir bhi giraftaar kiya jaaye! Asim 
Tareekh - History, Baab - chapter, Masmaar - demolish

****************************************

Sang utne bhi sangdil toh nahin
Jitney sangeen mizaaj tere hain! Asim

****************************************

Rang utne bhi rangeen toh nahin
Jitney rangeen mizaaj mere hain! Asim

****************************************

Sab se ruswa hun aur pashemaan khud pe
Mere haalaat mujhe jeene ki ijazat nahin dete! Asim

****************************************

Hindu-Muslim bhai bhai
Qatal karte laaj na aayi
Modi ne talwaar uthayi
Atal bhi langdi chaal chale tab
Abdul Kalam sadar bane jab
Ajab samay hai yeh dosti ka! Asim 
- A few lines of my 2003 poem... Remembering Gujarat riots, politics and Narendra Modi!

******************************************

Bhrihashtachaar badhane ko 
Attiyachaar badhaane ko 
Kya huwa azaad hai Bharat
Balaatkaar badhaane ko??? 
Phoot rahi hai nayi umang 
Aao tum bhi mere sung 
Chal rahi hai aaj bhi 
Aazaadi ki dusri jung! Asim

******************************************

Tere kajal ke ra'd saaye mein
Zindagi phir pukaar leti hai! Asim

******************************************

Phir wahi ik subah
Maili si, kuchaili si! Asim

******************************************

Kya zaroorat hai muskurane ki
Jab aansuon se sukun milta hai! Asim

******************************************

Paon ghiste hi Ismail ke nuzool hua tha zam zam
Dekhte hain kismat mein kya likha hai Asim! Asim

******************************************

Mushkilon ka daur mukhtasir hai
Tumhare hoslon pe munhasir hai! 
Tumhe bas haath se likhna padega
Kaamiyaabi khud hi muntazir hai! Asim

******************************************

Tum khwabon mein chali aana mere aaj ki raat
Aaj ki raat mubarak hai mohabbat ke liye! Asim

*****************************************

Kaise uljhi rehti hai, khamoshi se beithi hai
Zindagi ek sundar ladki bin piya ke rehti hai! Asim

*****************************************

Teri rehmaton pe yaqeen hai tere sab hai ikhtiyaar mein
Haath mein kaasa liye nikle hain phir bazaar mein! Asim 12.12.12!

*****************************************

Bahut beqaraar hun, Khud se faraar hun
Nakamiyon tumhara mausam bahaar hun! Asim

*****************************************

Khud ko rehbar maan liya khud se rehnumai ki
Kutton se hai badtar dekho haalat Asim Bhai ki! Asim

*****************************************

Hazaar logon mein muntakhib karke
Hum ne qismat sanwaar di teri! Asim

*****************************************

Agar mein mar jaon toh muaf kar dena
Yeh nigahein janaab qatil hain! Asim

*****************************************

Huwe iss qadar beparwah lage poojne sanam ko
Na wujoode aabidi hai na sujood bandagana! Asim

*****************************************

Yaad har dum karun usko
Ya Khuda kya kahun usko
Phool shabnam tamam uske hain
Sochta hun junun kahun usko! Asim

*****************************************

Zindagi mein junoon tujh se gehra na tha
Bewafa Tu magar phir bhi mera na tha
Din kahin kho gaya Teri zulmaat mein
Dhundlakon mein kahin bhi sawera na tha...
Hum ne tera junoon darguzar kar Lia
Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia! Asim

*****************************************

Tufaili chaand phir maghroor ho raha hai
Tumhare husn se aagaah nahin hai! Asim

*****************************************

Tufaili chaand phir itraa raha hai
Tumhare husn se waqif nahin hai! Asim

*****************************************

Uske honton pe jo mera naam aaya
Jhoomta abr se mausam bahaar aaya! Asim

******************************************

Phir wahi rahat wahi roohani suroor
Uske jalwe se taskeen mili hai dil ko! Asim

******************************************

Tere muntazir hain yeh shab ke afsaaney
Teri umeed khud subah ka sooraj hai! Asim

******************************************

Hum pe tumhara jaadu chadha hai 
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..! Asim

******************************************

Mujhe waeez teri talab nahin
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim

******************************************

Thokaron mein padi hai kismat
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim

******************************************

Najane kitni raaton mein suroor hum pe yeh aaya hai
Aapki har baat se mausam badalte hain yahan! Asim

******************************************

Saath logon ke chala tha jaanibe manzil magar
Dil lagate reh gaye aur caravan chalta bana! Asim :P ;)

******************************************

Tere mein khwab katar dun itna kamzarf nahin
Yeh alag baat hai aasmaan bana hun tera! Asim

******************************************

Sirf alfaaz hi hote toh koi baat na thi
Dil ke arman bhi pinhan the ghazal mein meri! Asim

******************************************

Kahan talak tum jaoge, kahan sada lagaoge
Bichad gaya jo tumse mein na mujhko dhund paoge
Zindagi se roonth kar... maut ki aaghosh mein
Jo so gaya toh mujhko phir tum jaga na paoge! Asim

******************************************

Meethi meethi baaton se behlana woh seekh gayi
Bhool gayi yeh tarze tukhatub hum ne hi sikhlaya tha! Asim

******************************************

Dil teri yaadon mein ik maqbara banjayega
Mumbai bhi dekh le Agra banjayega! Asim

******************************************

Tujhko chahun toh badal sakta hun
Apne ehsaas masal sakta hun! Asim

******************************************

Maut, tu bata kya iradah hai tera
Zindagi se dil oob gaya hai mera! Asim

******************************************

Kashti meri, dariya mera 
Toofanon tum zor laga lo! Asim

******************************************

Hai re qismat ne kya kya na dikhaya hum ko
Arsh waale ne farsh dikhaya hum ko! Asim

******************************************

Imtehaane ishq hai, banda khuda se kya kahey
Mushkilein badhne lagin hain raaste dushwaar hain! Asim

******************************************

Waqte rukhsat qareeb hai zaade raah taiyaar karo
Neik bano, achche se raho, aur pyaar karo..! Asim

******************************************

Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga
Tasveeron ko teri houton se chu lunga
Tere hi chahat hai, dil mein nishan tere 
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga! Asim

*******************************************

Teri aankhon se munawwar hain diye jitne hain
Roshni in mein mohabbat ki lagi hai dil se! Asim

*******************************************

Husn waale ek baat bata
Ishq na hota toh kya hota! Asim

*******************************************

Ik laher hai samandar ka jigar chaak kiye, 
Tere hote bhi na mil paaye hum khaak jiye! Asim

*******************************************

Hum se roshan hain zamane mein sabhi deep tere
Hum na hongey toh phir kaisi yeh diwali hogi! 
Dekh in aankhon mein jalte hain diye yaadon ke teri
Tujh se har saans teri, meri hi sawaali hogi! Asim 
Happy Diwali :)

*******************************************

Yun toh qismat hi tamasha hai magar yaar mere
Tum adakaari mein ho ustaad mere! Asim

*******************************************

Aye zindagi tu suraab hai
Tera purza purza kharab hai! Asim

*******************************************

Lagi hai dil mein yeh aag kaisi
Kyun shaam guzri bahale hijraan! Asim

*******************************************

Jism pal-kar jawaan hota hai
Ruh thak kar jawaan hoti hai! Asim

*******************************************

Dil kehta hai marr jaon
Phir naam tera le leta hun! Asim

*******************************************

Ab mein itna bura bhi nahin
Ke kisi ke salaam ko tarsun
Baat karne ko mein hi kafi hun
Kyun kisi se kalaam ko tarsun! Asim

*******************************************

Khoobsoorti ki shaan hai bitya
Apne Daddy ki jaan hai bitya! Asim

*******************************************

Zindagi bhar fariyaad karte hain
Baad marne ke yaad karte hain! Asim

*******************************************

Woh toh behis hai, nahin samjhega dard ko tere
Apni fitrat ko badal ke badal de na woh saathi apna! Asim

*******************************************
Baat dil ki hai toh dil se hi kahunga
Tum apne khayalon mein humko bhi jagah do! Asim

********************************************

Khudaya kuch toh hal dede meri iss badnaseebi ka
Dher saara zar dede, ya mujhko kuch fahem dede! Asim 

Oh God! provide some solution to my misfortune
Give enormous wealth or confer me some wisdom! Asim

********************************************

Meethe khwabon ko dikhakar ke jagaya tu ne
Waah ri duniya, surabi duniya, farebi duniya! Asim

********************************************

Arsa huwa subah ka nazarah kiye huwe
Suraj meri taqdeer ka hai maand pad gaya! Asim

********************************************

Koi kaam ho toh bata zara
Warna kar de zahid bayan band! Asim

********************************************

Here Ends the year 2012 friends.... Luckily on 28th December I joined Channel One / Lemon TV News as Output Head... So a bad year finally ended with a smile! 

Sunday, December 23, 2012

Pehle tu khud badal apne mizaaj ko..!


Mein nahin maanta tere ahtejaaj ko
Pehle tu khud badal apne mizaaj ko!

Ji shaher mein ismat beti ki na rahe
Hasti se hi mita do aise samaaj ko!

Qawamiyat tumhari nazuk kalai par bas
Dariya mein gharq kar do apne rivaaj ko!

Raaton se bhi siyah kartut yeh tumhari
Ugne mein sharam aaye jin se siraaj ko!

Har ek ko yahan hai apna mufaad pyara
Paani pila rahe sab andheron ke raaj ko!

Qanoon shikni dekho qanoon-daan ke haathon
Kandha zara sa dedo laghar, mohtaaj ko!

Humein sach bata raha hai itni majaal iski
Paththar se tod daalo Asim zujaaj ko!

- Khan M. Asim...23/12/2012... 01:23 AM!

Saturday, December 22, 2012

Kabhi phoolon se pucho tum..!


Kabhi phoolon se pucho tum qayamat kis ko kehte hain
Tumhare haath mein aa kar, tumhara naam le lenge
Kabhi phoolon se pucho tum ke khushbu kis ko kehte hain
Tumhari saans mein ghul kar, tumhara naam lelenge!

Ho dariya ki ravaani tum, chaman ki gul-fishani tum
Tum hi sehra ki chahat ho, pyaase dil ko paani tum 
Tumhari aas mein beithe tumhara naam japte hain
Hamarai kaamraani tum, wujoode zindagani tum 
Kabhi moti se pucho tum nayaabii kis ko kehte hain
Tumhari aankh se gir kar tumhara naam le lenge!

Tumhara har taraf jalwa tum ladki khuwabi ho
Tumhari deed kar le jo woh bin piye sharabi ho
Tum hi se rang mehfil mein tum mausam gulabi ho
Sawali dil hamara aur faqat tum hi jawabi ho
Kabhi sub-hon se poocho tum ujala kis ko kehte hain 
Hata kar zulf chehre se, tumhara naam le lenge!

- Khan M. Asim... 22/12/2012... 12:50 AM!

Thursday, December 20, 2012

Zindagi ke pehlu mein saans lena mushkil hai..!


Jo marze maut lahaq hai aaj kyun na aa jaye
Zindagi ke pehlu mein saans lena mushkil hai!

Kya kahun sanam tujhse yeh ajab fasana hai
Guftugu toh hoti hai, baat kehna mushkil hai!

Muflisi mein aaye hain, jeib mein na dana hai 
Naukri bahut hain par kaam milna mushkil hai!

Hai ajab jahaan tera, masnui hai yaaraana
Haath sab milaate hain, dil milana mushkil hai!

Zakhm bas miley hum ko haan wafa ki raahon mein 
Dard dil mein uthta hai aur sehna mushkil hai! 

Shehsawari sab apni, aagayi thikaaney par
Saamne bhi hote hain aur ladna mushkil hai!

Maghroor haan bahut the hum qaid jab kiya tu ne
Par qafas mein ab tere saath rehna mushkil hai! 

Aatishi tere jumley, jal chukey hain hum kab ke 
Hai! dil ke chaalon ka izhaar karna mushkil hai!

Kya kahein isey ASIM, khel hai yeh kismat ka
Zindagi se roonthe hain aur marna mushkil hai!

- Khan M. Asim... 20/12/2012... 01:20 PM!

Monday, December 17, 2012

Nazar milate hi shaakhe gul se..!


Nazar milate hi shaakhe gul se
Hamare charche bade huwe hain

Unhein hai vehshat humein hai uljhan
Kyun log peeche pade huwe hain

Zara si dedo zakaat dil ki
Muadabana khade huwe hain

Kabhi toh aake pukaar lo tum
Tumhare dar pe pade huwe hain

Tum hi se milta nasha hai saara
Haan jaam saare adey huwe hain

Tumhari hasti hai koh-e-noori
Tum hi mein heere jadey huwe hain

Tumhari nazron se aake saare
Yeh teer dil mein gadey huwe hain

Tumhari hogi bas kaamiyaabi
Sitaare tum pe chadhey huwe hain

Humein hai kiska haan khauf ASIM
Peiron pe khud khade huwe hain! 

Khan M. Asim... 17/12/2012... 01:45 PM!

Saturday, December 15, 2012

Tooti hui deewar tha, tum ne bacha liya..!


Tooti hui deewar tha, tum ne bacha liya
Kaisa yeh dard dil mein tum ne basa liya! 

Tum ne nigaah mila ke baahon mein bhar liya
Chanda ne apne saath mein hum ko bitha liya!

Sehra ko dekho tum ne gulshan bana liya
Palkon ki junbishon ne jaadu jaga liya!

Tum ne yun bekason pe apni kari inayat
Jab mushkilon mein dekha dil se laga liya!

Hum ko wafa mili tum the wafa shanas
Roothe huwe sanam ko tum ne mana liya! 

Dil ko hamarey uss ne dekho chura liya
Asim haan uss ne hum ko apna bana liya!

- Khan M. Asim... 15/12/2012... 02:18 AM!

Sunday, December 09, 2012

Hui ranjishein huwaida..!


Hui ranjishein huwaida, hua saaf sara manzar
Jinhein dost keh rahe the lage aastin se dasne!

Jo shihaab koi toota, hua charkh muzmahil sa
Shab-khun hua jo dil pe lage dard saare basne!

Kahan sirate mustaqeemi,kahan manzilon ko raahein 
Mujhe mushkilon mein pa kar lage raaste bhi bachne!

Tujhe ishq gar hai mujhse kabhi daulaton mein milna
Kahan muflisi mein aa kar lage nain tere thagne!

Kabhi ghum jo timtimaya, hui aas dafne turbat
Mere saath saath jugnu lage raat saari jagne!

Na hi aarzoo koi thi, na khuwahish-e-Muwajah 
Haan tera khayal pa kar lage khwab hum bhi rakhne!

Thi fateh qaleel arsa, hua naam jo hamara 
Meri shohraton se jal kar laga shor jug mein machne!

Socha toh yeh bahut tha, paayenge sar-bulandi
Jahan aasmaan ko dekha lage hum zamin mein dhansne!

Tum se kaha kabhi jo, ahad-e-wafa karenge
Lamhe yun hijr ke phir humein aagaye parakhne!

Bade nakhuda bane the, khudi gharq kar di kashti
Hum aap hi pe ASIM lage aaj dekho hansne! Asim 

- Khan M. Asim... 09/12/2012... 03:07 AM!

Words-Meanings:
Ranjishein - strained relations, 
Huwaida - evident
aastin - sleeves
Dasne - biting
Shihaab - meteor
Charkh - Sky
Muzmahil - fatigued
Shab-khun - sniping, night attack (war strategy to attack in darkness)
Sirat- Path
Mustaqeemi - straight
Muflisi - poverty
Thagne - to rob
timtimana - twinkled 
Aas - hope
Dafn - Buried 
Turbat - grave
Jugnu - firefly
Jagne - awakened
khuwahish-e-Muwajah - Desire to confront
Muwajah - face to face
Fateh - Victory
Qaleel - Little, short
Arsa - span
Shohrat - fame
Shor - Noise
Jug - World 
Sar-Bulandi - Eminence, Exaltation 
Dhasna - to sink
Ahad-e-wafa - promise of love
Lamhe - Moments 
Hijr - Separation from beloved
Parakhne - testify 
Nakhuda - Sailor 
Khudi - Self 
Gharq - Drowned 
Kashti - boat
Hansna - to Laugh!

Saturday, December 01, 2012

Khuda jaane ke majra kya hai..!


Alal saher jo dard uthta hai
Khuda jaane ke majra kya hai

Bahut talash kari magar nahin milti
Dard-e-dil ki dawa kya hai

Junun mein hosh nahin apne hone ka
Junun magar nahin pata kya hai

Roz fursat se aah bharte hain
Kaam hum ko bata kya hai

Badi hi khoob di zindagi tu ne
Ab toh keh de kaza kya hai

Chand asha'r aur keh denge
Aur hum mein rakha kya hai

Itna aasaan nahin hai sach kehna
Humko maloom hai saza kya hai

Khoob ASIM hua hai istehsaal
Koi puchey ke ab raza kya hai!

- Khan M. Asim... 01/12/2012... 12:40 PM!