Munfarid Asha'ar..!
Qadar o manzil na mili jab johiriyon ke shaher mein
Hum ne khud ko beich daala kodiyon ke daam mein! Asim
***************************************
Kood jaon dhum se marun
Ek chashme num se marun
Sum se marun bum se marun
Teri zulf-e-khum se marun! Asim
****************************************
Kismat bhi maherbaan hogi, haalaat badal jayenge
Har mausam mein jaaneman hum pyaar ka naghma gayenge! Asim
****************************************
Taareekh ke har baab ko masmaar kiya jaaye
Majnoo ko magar phir bhi giraftaar kiya jaaye! Asim
Tareekh - History, Baab - chapter, Masmaar - demolish
****************************************
Sang utne bhi sangdil toh nahin
Jitney sangeen mizaaj tere hain! Asim
****************************************
Rang utne bhi rangeen toh nahin
Jitney rangeen mizaaj mere hain! Asim
****************************************
Sab se ruswa hun aur pashemaan khud pe
Mere haalaat mujhe jeene ki ijazat nahin dete! Asim
****************************************
Hindu-Muslim bhai bhai
Qatal karte laaj na aayi
Modi ne talwaar uthayi
Atal bhi langdi chaal chale tab
Abdul Kalam sadar bane jab
Ajab samay hai yeh dosti ka! Asim
- A few lines of my 2003 poem... Remembering Gujarat riots, politics and Narendra Modi!
******************************************
Bhrihashtachaar badhane ko
Attiyachaar badhaane ko
Kya huwa azaad hai Bharat
Balaatkaar badhaane ko???
Phoot rahi hai nayi umang
Aao tum bhi mere sung
Chal rahi hai aaj bhi
Aazaadi ki dusri jung! Asim
******************************************
Tere kajal ke ra'd saaye mein
Zindagi phir pukaar leti hai! Asim
******************************************
Phir wahi ik subah
Maili si, kuchaili si! Asim
******************************************
Kya zaroorat hai muskurane ki
Jab aansuon se sukun milta hai! Asim
******************************************
Paon ghiste hi Ismail ke nuzool hua tha zam zam
Dekhte hain kismat mein kya likha hai Asim! Asim
******************************************
Mushkilon ka daur mukhtasir hai
Tumhare hoslon pe munhasir hai!
Tumhe bas haath se likhna padega
Kaamiyaabi khud hi muntazir hai! Asim
******************************************
Tum khwabon mein chali aana mere aaj ki raat
Aaj ki raat mubarak hai mohabbat ke liye! Asim
*****************************************
Kaise uljhi rehti hai, khamoshi se beithi hai
Zindagi ek sundar ladki bin piya ke rehti hai! Asim
*****************************************
Teri rehmaton pe yaqeen hai tere sab hai ikhtiyaar mein
Haath mein kaasa liye nikle hain phir bazaar mein! Asim 12.12.12!
*****************************************
Bahut beqaraar hun, Khud se faraar hun
Nakamiyon tumhara mausam bahaar hun! Asim
*****************************************
Khud ko rehbar maan liya khud se rehnumai ki
Kutton se hai badtar dekho haalat Asim Bhai ki! Asim
*****************************************
Hazaar logon mein muntakhib karke
Hum ne qismat sanwaar di teri! Asim
*****************************************
Agar mein mar jaon toh muaf kar dena
Yeh nigahein janaab qatil hain! Asim
*****************************************
Huwe iss qadar beparwah lage poojne sanam ko
Na wujoode aabidi hai na sujood bandagana! Asim
*****************************************
Yaad har dum karun usko
Ya Khuda kya kahun usko
Phool shabnam tamam uske hain
Sochta hun junun kahun usko! Asim
*****************************************
Zindagi mein junoon tujh se gehra na tha
Bewafa Tu magar phir bhi mera na tha
Din kahin kho gaya Teri zulmaat mein
Dhundlakon mein kahin bhi sawera na tha...
Hum ne tera junoon darguzar kar Lia
Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia! Asim
*****************************************
Tufaili chaand phir maghroor ho raha hai
Tumhare husn se aagaah nahin hai! Asim
*****************************************
Tufaili chaand phir itraa raha hai
Tumhare husn se waqif nahin hai! Asim
*****************************************
Uske honton pe jo mera naam aaya
Jhoomta abr se mausam bahaar aaya! Asim
******************************************
Phir wahi rahat wahi roohani suroor
Uske jalwe se taskeen mili hai dil ko! Asim
******************************************
Tere muntazir hain yeh shab ke afsaaney
Teri umeed khud subah ka sooraj hai! Asim
******************************************
Hum pe tumhara jaadu chadha hai
Dil mein basey hain sapney tumhare
Tum hi batao ab toh sanam khud
Kaisey jiyenge hum bin tumhare..! Asim
******************************************
Mujhe waeez teri talab nahin
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim
******************************************
Thokaron mein padi hai kismat
Mujhe charahgar ki talaash hai! Asim
******************************************
Najane kitni raaton mein suroor hum pe yeh aaya hai
Aapki har baat se mausam badalte hain yahan! Asim
******************************************
Saath logon ke chala tha jaanibe manzil magar
Dil lagate reh gaye aur caravan chalta bana! Asim :P ;)
******************************************
Tere mein khwab katar dun itna kamzarf nahin
Yeh alag baat hai aasmaan bana hun tera! Asim
******************************************
Sirf alfaaz hi hote toh koi baat na thi
Dil ke arman bhi pinhan the ghazal mein meri! Asim
******************************************
Kahan talak tum jaoge, kahan sada lagaoge
Bichad gaya jo tumse mein na mujhko dhund paoge
Zindagi se roonth kar... maut ki aaghosh mein
Jo so gaya toh mujhko phir tum jaga na paoge! Asim
******************************************
Meethi meethi baaton se behlana woh seekh gayi
Bhool gayi yeh tarze tukhatub hum ne hi sikhlaya tha! Asim
******************************************
Dil teri yaadon mein ik maqbara banjayega
Mumbai bhi dekh le Agra banjayega! Asim
******************************************
Tujhko chahun toh badal sakta hun
Apne ehsaas masal sakta hun! Asim
******************************************
Maut, tu bata kya iradah hai tera
Zindagi se dil oob gaya hai mera! Asim
******************************************
Kashti meri, dariya mera
Toofanon tum zor laga lo! Asim
******************************************
Hai re qismat ne kya kya na dikhaya hum ko
Arsh waale ne farsh dikhaya hum ko! Asim
******************************************
Imtehaane ishq hai, banda khuda se kya kahey
Mushkilein badhne lagin hain raaste dushwaar hain! Asim
******************************************
Waqte rukhsat qareeb hai zaade raah taiyaar karo
Neik bano, achche se raho, aur pyaar karo..! Asim
******************************************
Teri in yaadon ko kaise mein bhulunga
Tasveeron ko teri houton se chu lunga
Tere hi chahat hai, dil mein nishan tere
Dil ki sununga mein... dil se hi bolunga! Asim
*******************************************
Teri aankhon se munawwar hain diye jitne hain
Roshni in mein mohabbat ki lagi hai dil se! Asim
*******************************************
Husn waale ek baat bata
Ishq na hota toh kya hota! Asim
*******************************************
Ik laher hai samandar ka jigar chaak kiye,
Tere hote bhi na mil paaye hum khaak jiye! Asim
*******************************************
Hum se roshan hain zamane mein sabhi deep tere
Hum na hongey toh phir kaisi yeh diwali hogi!
Dekh in aankhon mein jalte hain diye yaadon ke teri
Tujh se har saans teri, meri hi sawaali hogi! Asim
Happy Diwali :)
*******************************************
Yun toh qismat hi tamasha hai magar yaar mere
Tum adakaari mein ho ustaad mere! Asim
*******************************************
Aye zindagi tu suraab hai
Tera purza purza kharab hai! Asim
*******************************************
Lagi hai dil mein yeh aag kaisi
Kyun shaam guzri bahale hijraan! Asim
*******************************************
Jism pal-kar jawaan hota hai
Ruh thak kar jawaan hoti hai! Asim
*******************************************
Dil kehta hai marr jaon
Phir naam tera le leta hun! Asim
*******************************************
Ab mein itna bura bhi nahin
Ke kisi ke salaam ko tarsun
Baat karne ko mein hi kafi hun
Kyun kisi se kalaam ko tarsun! Asim
*******************************************
Khoobsoorti ki shaan hai bitya
Apne Daddy ki jaan hai bitya! Asim
*******************************************
Zindagi bhar fariyaad karte hain
Baad marne ke yaad karte hain! Asim
*******************************************
Woh toh behis hai, nahin samjhega dard ko tere
Apni fitrat ko badal ke badal de na woh saathi apna! Asim
*******************************************
Baat dil ki hai toh dil se hi kahunga
Tum apne khayalon mein humko bhi jagah do! Asim
********************************************
Khudaya kuch toh hal dede meri iss badnaseebi ka
Dher saara zar dede, ya mujhko kuch fahem dede! Asim
Oh God! provide some solution to my misfortune
Give enormous wealth or confer me some wisdom! Asim
********************************************
Meethe khwabon ko dikhakar ke jagaya tu ne
Waah ri duniya, surabi duniya, farebi duniya! Asim
********************************************
Arsa huwa subah ka nazarah kiye huwe
Suraj meri taqdeer ka hai maand pad gaya! Asim
********************************************
Koi kaam ho toh bata zara
Warna kar de zahid bayan band! Asim
********************************************
Here Ends the year 2012 friends.... Luckily on 28th December I joined Channel One / Lemon TV News as Output Head... So a bad year finally ended with a smile!
No comments:
Post a Comment