Tuesday, November 12, 2013

Zindagi ke sang tu muskurana seekh ley..!

Zindagi ke sang tu muskurana seekh ley
Kati Hui patang ko tu udana seekh ley
Sab ko hai hasad yahan kaun chahta hai bhala
Seene pe ab moong dal, dil jalana seekh ley
Kab talak sharmayega, husn se ghabrayega
Mehluqon ki aankh se kajal churana seekh ley
Kaun jaane kya ho kal, kya pata, ho kya khabar
Bekhudi mein raqs kar, thartharana seekh ley
Raat bhar na jaag tu, khwab toh hain khwab se
Khwab jamke dekh tu aur kamana seekh ley
Jeet bas hai khauf ki ishq bhi mehkoom hai
Kaam gar nahin baney toh darana seekh ley
Koi jaa ke keh de haaye, baat Asim yeh usse
Door door reh magar paas aana seekh ley..!
- Khan M. Asim... 12/11/2013... 02:24 AM..!

Thursday, November 07, 2013

Usse ghuroor hai apni sabhi adaon pe..!

Usse ghuroor hai apni sabhi adaon pe
Humein bhi naaz hai apni sabhi wafaon pe
Usse hai zid ke mazloom banke sabr karo
Humein bhi fakhar hai apni sabhi sazaon pe
Usse hai bharam ke woh hai koi hakim
Hamara khauf hai munsalik nigahon pe
Kabhi khizaan mein milte the bahar hoti thi
Abas khizaan lipti hai ab baharon pe
Raat thi cut gayi yunhi chand bhi tanha raha
Kaun jaane kaise beeti hai inn sitaron pe
Hum se ladne ko laayi woh aag aur sholay
Koi batlaye ke yeh beasar hai khaaksaron pe
Kher, qissa yun mukhtasar Asim
Ke aata lutf hai uski sabhi jafaon pe!
- Khan M. Asim... 07/11/2013... 02:00 AM..!

Monday, November 04, 2013

!!Happy Diwali!!

Deep se deep jalao, magar dil jalao nahin
Roshni aisi ho ke aankh chundhyaye nahin
Tum ho insaan bol sakte ho sun bhi sakte ho
Shor itna ho ke koi maasoom ghabraye nahin..!

Khan M. Asim... 02/11/2013... 09:00 AM!
editor@journospy.com

Yeh jo tanhayi tu ne di hai mujhe..!

Yeh jo tanhayi tu ne di hai mujhe
Mujhko manzoor hai yaadon ke liye
Sang Tera bahut anokha tha
Yaad Teri bahut niraali hai
Shaam, badal, ghata, tareekiyan
Sab se nisbat hai tere gesun ki
Noor, roshni, ramaq, bijliyaan
Sab se nisbat hai tere nenon ki
Itr, mushq, mahek, khushbuyein
Sab se nisbat hai Teri saanson ki
Aur kis kis ko tujhse jodun mein
Tu toh yakta, nayaab, naadir hai
Teri tasveer kab se haath mein hai
Dekhta hun, takta rehta hun
Khwaab mein hota raqs Tera hai
Aainey mein bhi aks Tera hai
Yeh jo mein hun asal mein, mein nahin
Mujh mein bhi Teri shabih hai ab
Baat tere jaise hi karta hun
Raqs karta hun aur hansta hun
Sach kahun, jitni tu khoobsoorat hai
Yaad utni Teri bhayanak hai
Saans rukti hai, chalne lagti hai
Rota hun, sisakta hun aah bharta hun
Tu ne kaha tha so muskura raha hun mein
Jaldi aa ke ja raha hun mein
Jaane Kab yeh rooh parvaaz kar jaye
Yaad se bhi Teri azaad kar jaye
Sach kahun yeh qaid pyaari hai mujhe
Aaja ke tera intezaar karta hun
Haan eilaaniya yeh aitraaf karta hun
Mein sirf tujhse haan tujhse Pyaar karta hun..!

- Khan M. Asim... 02/11/2013... 12:08 AM..!

Ab tak zindah tha mein jiyunga ab..!

Jo bhi karna tha mein karunga ab
Ab tak zindah tha mein jiyunga ab

Door rehkar ke bahut dekha hai jise
Rooh ki zaat se mein milunga ab

Kitna dushwaar tha yeh marhala bhi
Dushwaar-kun se mein ladunga ab

Khoob jheley hain sitam waqt tere
Isse ziyada aur na mein sahunga ab

Tujhko milna hai to aa ke milunga ab
Muntazir aur na mein rahunga ab

Kis ne dekha hai yahan kal ka vaada
Saath chalna hai mein chalunga ab

Apni hasti bhi ajeeb hai ASIM
Khauf aur kis ka mein rakhunga ab!

- Khan M. Asim... 01/11/2013... 01:25PM..!

Zindagi ussi dehleez pe le aayi hai..!

Zindagi ussi dehleez pe le aayi hai
Humsafar apni faqat tanhayi hai

Kisne paya hai Sahara kisi ka ismein
Umar apni bhi toh yeh harjayi hai

Tum andhero mein aazmao toh isse
Saath deti yeh kabhi parchayi hai

Mustaqil paala hai sitam ko hum ne
Ek taareeki se apni hi shanasayi hai

Tum wafaon se ishaq ka bhardo daman
Haath aati toh mahez ruswayi hai

Dil yeh kehta hai unko bhi sila aisa mile
Barg-e-gul jaise yahan murjhayi hai

Woh huwe hain kab kisi ke jo abke honge
Unki fitrat main hi Asim bewafayi hai!

- Khan M. Asim... 30/10/2013... 05:18 AM!

Kabhi yeh socha na tha..!

Kabhi yeh socha na tha...
Zindagi itni khamosh bojhal si ho bhi sakti hai
Lamhon mein udaasi bas bhi sakti hai
Pehron mein agan si lag bhi sakti hai
Kabhi yeh socha na tha...
Ke tumhare bin jeena itna dushwaar ho bhi sakta hai
Ke deewarein asdahey si lag bhi sakti hain
Ke hawayein saazishein yeh kar bhi sakti hain
Ke hum yun bekaar, bezaar ho bhi sakte hain
Kabhi yeh socha na tha...
Ke tum mujhko bhool bhi sakti ho
Iss judai ko tum gehna qubool bhi sakti ho
Ke meelon door sehra dil mein bas bhi sakta hai
Ke jeete jee yeh insaan Marr bhi sakta hai
Kabhi yeh socha na tha...
Ke sadayein aasmaan se laut sakti hain
Duayein be-asar bhi ho yeh sakti hain
Tum aise mujhse roothogi tum aise door jaogi
Mein pukarunga tumhe lekin tum na paas aaogi
Kabhi yeh socha na tha...
Kabhi yeh socha na tha..!

- Khan M. Asim... 29/10/2013... 08:30 AM..!

Aksar hi deewaanon ka yeh dekha hai anjaam..!

Aksar hi deewaanon ka yeh dekha hai anjaam
Mar jaate hain rote rote hokar woh nakaam

Jab se tumse aankh ladi hai bhoole hain anjaam
Tumko Mubarak deen tumhara humko ishq se kaam

Ab jab dil mein thaan chuke hain phir kaisa ghabrana
Mumkin hai hum kho dein sab kuch bhoolein apna naam

Itne bhi be-aas nahin hain rakhte hain imaan
Tum se bhi haan milna hoga aaogi ik shaam

Sharmaogi, ithlaogi bas hum ko dekhogi
Muskaate honton se apne dogi pyaar ka jaam

Kaanp rahi hain ab jo ungli door se hi khidki mein
Thaam ke mera haath chalogi tum bhi sare aam

Kankar patthar sab hai sehta lekar Tera naam
Asim Tera deewaana yeh phirta hai badnaam..!

- Khan M. Asim... 27/10/2013... 08:14 PM... Millennium Gardens...!

Tujhko ghazal bana ke pachta raha hun mein..!

Na hai radeef, kafiya na hai baher mein tu
Tujhko ghazal bana ke pachta raha hun mein

Musalsal pukarta hun aye but mein tujhe
Awaaze baazgasht se takra raha hun mein

Justuju mein Teri tishna mein baadgard
Bas gardishe mudaam se uljha raha hun mein

Tu ne sahi kaha tha hum toh hain saaya saaya
Tareekyon mein aakey tanha raha hun mein

Kitne hain yaan anasir, kisse karein rafaqat
Khud apne hi wujood se ukta raha hun mein

Takhreebyon se teri hua munqasim bahut
Phir bhi mere jihaad mein yakja raha hun mein

Duniya se hai jo ulfat, Asim se bas adavat
Tujhko mubarak duniya ab ja raha hun mein!

- Khan M. Asim... 24/10/2013... 11:37 AM... Train..!

Roz-e-roshan kab hoga..!

Qasam tu ne khaayi raat ki
Jab ke woh tareek ho...
Raat bhi hai tareeki bhi
Yeh zulm bata kab tak hoga...
Aksar hi takleefon mein
Mujhko sanbhala hai tu ne
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

Jo tu ne kaha woh meine kia
Kab hukum se mein munkir hun hua
Shaam saher sajdon gira
Haiyalas salah, haiyalal falah
La ilaha illalah, haq La ilaha illalah
Takbeer Teri hoton pe rahi
Ik megh mere nainon se jhada
Tadbeer bata, tadbeer bata
Kaise chategi yeh kali ghata
Roz-e-roshan kab hoga..
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

Na tu hi mujhko bhoola jab
Na mein hi tujhko bhoola hun
Phir kaisi ghum ki khaayi yeh
Kyun mein itna afsurdah hun
Tu ne khud hai hukum dia
Saail kabhi bhi tum jhidko na
Mein tere dar ka saail hun
Mein tujhse duayen karta hun
Mein naam se tere jeeta hun
Mein naam pe tere Marta hun
Kab door bhala yeh ghum hoga
Kab ishq mera peham hoga
Phir mujhko bata tu mere maula
Roz-e-roshan kab hoga..
Kab kismat degi dastak yeh
Kab noor tera afshaan hoga...!

- Khan M. Asim... 19/10/2013... 04:06 AM..!