Tumhi se!
Shayad tum sun rahi ho?
Mere jazbaat ko ehsasaat ko
Kisi lamhe mein yeh baat nahin khapti
Hazaar tar ke kiye tumhe bhulane ke
Magar ek dard jo ke jonk ban chuka hai
Mujhe jakad raha hai
Mein koi shayar nahin na koi majnu
Yeh kashish jo jo tum mein hai, kuch ajeeb hai
Mein hamesha ismein maani khojta hun
Magar tumhari woh khoobsurat baatein
Kho jaane pe majboor karti hai
Yeh koi shairi nahin, na meri koi ada
Yeh sarapa husn hai goya koi hoor utar aayi ho
Hazaarha iss jazbe ko darguzar kia
Magar ik kasak abhi dil mein baaqi hai
Khayalaat ke ek fauj zahen ke dareechon ko rondh rahi hai
Kabhi yeh koi deewaanon ka lashkar lagta hai
Toh kabhi tumhare neinon ka nashtar
Har jazba ek naye sooraj ki tarah tulu hota hai
Tumhara har payaam zindagi sa lagta hai
Hamari mulaqatein yeh takraar
Kisi tareef ki mohtaaj nahin
Tumhein yeh iqraar nahin aur mujhe inkaar nahin
Mein shayad hi kabhi woh dil ki awaaz sun paon
Jo har saamey ko deewana bana deti hai
Magar yeh khayaal mujh jhanjhodta hai
Aakhir Kyun?????
Tumhara har payaam apna bhi hai paraya bhi
Dil kehta hai tum meri ho, zahen iskki nafi karta hai
Tum har waqt mujhpe haavi ho magar mere qareeb nahin
Yeh suraab yeh saher kaisa hai?
Har aahat tumhari hai aur tum maujood nahin
Shayad hi kabhi mein in alfaaz ko maani pehna sakun
Hum shayad hi kabhi ek ho paayen magar ek toh hain!
Tum jaanti hi ho mere har andaaz ko
Magar tum shayad hi kabhi samajh pao
Kya tum sun rahi ho?
Mere inn alfaaz ko?
mein tumhi se goya hun...
Tumhi se!
-Khan M. Asim...November 26, 2007...2:50 AM...
2 comments:
this one is nice...but not that poetical...the thot process is awesome...
this is a poem...in urdu shairy..its called as aazaad nazam...well i dont support much to this concept..but it was easy to share feelings with these words so did it...i hv written many poems like this one...must be smwhere around 100 or more...
Post a Comment