Sunday, May 25, 2008

Fitrat..!


Zindagi…

Raahe…doraahe…pagdandiyaan…

Sabhi se guzar raha hun…

Ik ajab khayaal hai…

Ik khila hai…

Na jeene ki ichcha na maut ki aas…

Yeh lamha hai, tum ho aur mein hun…

Yeh saansein, sarsarahat…

Tumhari hun haan…

Ik lafz aur hazaarha muani…

Na sukoon-e-qalb, na zahen ko aaraam…

Ik soch, ik paimaana…

Ek hi naam aur ek hi soorat,

Ajab shoq hai tum ko sunne ka…

Ajab lutf hai tumse kehne ka…

Tum ho ke bhulana chaahti ho…

Mein hun ke yaad aana…

Tarasti nigaahein o tishna lab,

Zulfon ki ghanghor ghatayein,

Kajal se se darti laakhon balayein…

Tum kehti ho aadat mut daalo…

Kya yeh aadat hai?

Tum meri ho…meri fitrat mein shaamil…

Zindagi tum, khayaal-e-maut aur har lamha…

Kya yeh mumkin hai?

Karvanton ki aadat hai, saans lena fitrat hai…

Aadatein badalti hain, fitratein nahin!

- Khan M. Asim…21/05/2008…2:00PM…Train…

2 comments:

Anonymous said...

hey asim.. happy b'day..
and your poem... khoobsurat...

Asim Khan said...

tnx arpi, its ur greatness, definately beauty lies in the eyes of the beholder, so ur eyes are beautiful...hehehe...lolzz