Koi sunne ko awaaz bhi hai!
Yeh kaisi aahein bharta hun
Yeh kaisi fughahein karta hun
Jab dost hi hogaye dushman apne
Phir kyun mein jiya karta hun!
Gham ke andhere baadal ki
Barish mein bheega beitha hun
Jab fasal hi hogayi barbaad apni
Kyun barish ki tamanna karta hun!
Patthar ki lakeerein kehti hain
Yeh hashar bhi tera hoyega
Dushman toh Dushman hoga hi
Par dost bhi dushman hoyega!
Dharti pe zamin ki beitha hun
Par chaand ko dekha karta hun
Jab taare saare toot gaye
Kyun chaand ko dekha karta hun?
Dhadkan hai dil par bojh bani
Awaaz zuban ki chup chup hai
Duniya ki haalat dekhne ko
Khamosh nigahein rakhta hun!
Kehne ko hai baat bahut
Par kehna bhi paana mushkil hai
Hum khaamosh zuban se kehte hain
Par tumko samjhana mushkil hai!
Duniya ki udhed-bun mein khoya
Bas apne ooper hansta hun
Duniya ke diye in zakhmon ko
Inaam banakar rakhta hun!
Kismat ke kiye in sitamon ki
Kismat se shikayat karta hun
Aankhon se hamesha hansta hun
Par dil mein roya karta hun!
Gar zakham diye the mujhko yeh
Kya inka koi ilaaj bhi hai
Ek pal baazigar hai woh
Dooje mein mohtaaj bhi hai!
Yeh mana humne bhi hai khuda
Par ismein chupa ik raaz bhi hai
Masjid ke khaali darichon mein
Koi sunne ko awaaz bhi hai!
Apni duniya mein hun bas
Apni duniya mein rehta hun
Sabse hanskar milta hun
Par tanhayi mein rota hun!
- Khan M. Asim...30-03-2004...4:30PM... Well thought to post one of my old poem as nowadays i hardly write, well, its not here for critical review as i wrote it long back, and is in very childish language but won't edit it as i have some memories behind these lines, editing lines in the poem means erasing old memories!
2 comments:
pensive.. work at a small age
Keep it up.. m fond of your work
nice.. never thought you had so much going on in your head at that time
Post a Comment