Monday, June 28, 2010

Seene se lag ja mere


Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Mujhse hain keh rahin

Saanson ki beicheniyaan

Beh ja tu iss reile mein

Hone de athkheliyaan

Kaisi yeh sharam o haya

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Duniya ke iss kone se

Duniya ke uss kone tak

Sooraj tulu hone se

Raaton ke dhal jaane tak

Shamma ke dhal jaane se

Shamma ke jal jaane tak

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun...

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

Aakhir kyun yeh dooriyan

Kyun na mita dein inhein

Mausam hai barsaat ka

Ji bhar ke bheega karein

Boondon ki har ik ladhi

Paighaam yeh de rahi

Seene se lag ja mere

Aa mein jahan waar dun

Jitna koi na kare,

Utna tujhe pyaar dun!

- Khan M. Asim...28/06/2010...7:20PM...Millenium park, nerul!

Saturday, June 26, 2010

Ishq


Aaye jo yaad unki, raahe faraar kis ko

Vaade pe kyun nazar ho ab aitbaar kis ko

Nazrein bula rahi hain saansein pukarti hain

Aahon mein jal raha jo mein dun yeh pyaar kis ko

Aisi bhi kya nadamat bin jaye na bane jo

Gustakhiyon pe apni ab ikhtiyaar kis ko

Hum sa koi kahin hai ae aaine bata de

Jalwe jamaal ka ab intezaar kis ko

Khud zoq khud taba hain hum jaante hain isko

Par maraze aashiqi mein ASIM qaraar kis ko!

- Khan M. Asim...26/06/2010...7:50PM...Millenium Park, Nerul!

Wednesday, June 16, 2010

Kabhi-kabhi

Kabhi khamosh beithe hain kabhi woh gungunate hain

Kabhi khud door jaate hain kabhi hum ko bulaate hain

Woh hanste hain woh rote hain kabhi daaman churate hain

Kabhi shikwa jataate hain kabhi sab bhool jaate hain!

Hijir ki bheegi raaton ka nasha kuch aisa hota hai

Kabhi unko yaad karte hain kabhi unko yaad aate hain

Bigad kar tooti nindya se yun ajnabi ho jaate hain

Kabhi humko jagaate hain kabhi humko sulaate hain

Garam apni salahon par, woh yun taane sunaate hain

Kabhi woh dil jalaate hain kabhi hum ladkhadaate hain

Na maa-ash hai na zariya hai, hue kuch yun apahaj hain

Kabhi dhadkan thaherti hai kabhi woh maar jaate hain

Thaher ja zindagi ab toh ke ab hum chal nahin sakte

Kabhi hum ilteja karte kabhi woh daud jaate hain!

-Khan M. Asim...15/06/2010..1:45PM to 16/06/2010... 10:05 AM..! please ignore the changing pattern in the poem from romantic to sarcastic as its swung by my mood, the difference in lines is due to change in winds in my life since yesterday till now!

Monday, June 14, 2010

Life

Tensed, Stressed, Frustrated, Disturbed, nervous and many more words, all applies to me these days. Tired of calling and pleading to people, looking for some real solution and needs just peace of mind. Loosing old friends and making new friends, don't know whats happening but am not enjoying it!

I always admire those who stood by me in my struggling period, some friends made it to the flowers and few went futile. Now i can just see them through memory lanes. Those days are gone and now am just an unemployed soul. And most of the times abusing myself for being so short tempered and sometimes recieving the same from other ends too. Money was never an issue for me, I earned I spent but now its a big issue, no penny, nothing works then. Huh!

Every another man come and starts giving lectures on professionalism to me, some say you will get a good job some say market is down, wait for a while, some try to make me laugh some are just interested in getting their work done. Nobody wants to spent money all want me for free, from all those stupids few encourages me but most of them demoralises. I can say am selfless but I too have big ego issue with my inner self! Can't take these things for granted, they can't do this to me.

Mom is still not keeping well, having above 400 diabetic level. Now she is on three times insulin a day. I fear alot these days. Scared of unseen cruel moments, can just feel it can't express, hope everything goes well!

No home in Mumbai yet, and have to shift again.. tired of shifting every two year. But what to say, when life is so wicked i can just try to laugh. I know its sheer madness, but yes i am!

There is nothing new on your front as well, all same we fight, we console, we cry we laugh but but but.... What to say, you know all, am just lonely, unable to share certain thoughts with you as well. Haah!

I just need a good job, where i can do what i wanted to. may be a good job is a solution and may not be a solution at all as am more loosing on heart front then the professional. Hmm, can't eloborate anymore on this here.

Well, all the best Indrakshi for a happy married life. I hope efverything goes well between you and Rakesh. And yes, you also Pray the same for me and Her. Look am still caged, can't take your name openly. Hope you make me free soon from this bounding and take my name publically.

I pleaded in my recent poem for the same old days, i want them to repeat, want to enjoy the same smile, same laugh and same love, again i say, let us get back to old days, please! keep smiling and loving to me!

Sunday, June 13, 2010

Laut aao..!


Ek ladki

Hasmukh thi, diwani thi,

Mein usko chahta tha

Woh mujhko chahti thi!

Zindagi toofaani thi

Har mauj mein tughyani thi

Raaton ki neend o sukoon

Uski baatein uski kahani thi

Har pal ik nayi kehkashan

Uske khayalaat mein janam leti

Aur mein lamehdood safar karta

Aur jab thak kar choor hota

Uski baahon mein gir jaata

Woh aksar, kuch kehte kehte ruk jaati

Aur kehti...

Simmi ninni aarahi hai

Aur isi gardan mein

Woh so jati...

Uski duniya sirf mujh tak thi

Aur mein?

Sirf uska!

Waqt badla, mausam badla

Aur manzar bhi...

Yun toh woh aaj bhi mere saath hai

Hamdard bhi hai aur humraaz bhi

Magar,

Ab lamhon mein woh taab nahin

Raatein dum ghotti hain

Unmein woh shabab nahin

Neend kahin gum hai,

Tanhai mein sukoon nahin...

Duniya tarraqqi pe hai

Aur woh bhi,

Bas kaam kaaj mein uljhi

Aur mein?

Pata nahin kahan choota..!

Iss andhere mein,

Aaj bhi unhi lamhon ko tatol raha hun

Chahta hun,

Woh phir jawan hojayein

Phir wahi kahani ho

phir lori der tak ho

phir raat wahi suhani ho

Aaj phir barsaat ho

Aur manzar uski zubani ho,

Kaash!

Magar,

Namumkinaat ka samundar

Bahut wasih hai...

Aur mein?

Doob raha hun!

Berozgaar,

Tang dast, tang dil o tang nazar

Bas tang hun aaj kal...

Woh ladki,

Ab bhi mere saath hai

Magar,

Kum muskaati hai

Har baat pe akharti hai

Umar badh gayi magar

Bachpan abhi bhi jawaan hai..

Uski khushiyan, uski hansi,

Meri zindagi!

Magar,

Inke adum se mar raha hun

Lamhe daud rahe hain

Har sa-at raftaar pe hai

Aur mein?

Unhi,

Bholi baaton, yaadon mein ji raha hun!

Ladti hai jhagadti hai,

Phir bhi meri hai...

bas yahi khayaal, saansein deta hai...

Itne peich o khum ke baad bhi

Woh mere saath toh hai,

Aur mein?

Uske!

Bas, woh din kahin gum hain

Kaash! woh laut aayein

Tum laut aao,

Aajao!

-Khan M. Asim...13/06/2010...2:15AM... Let us get back to old days, please! keep smiling and loving me!

Thursday, June 03, 2010

Beparwah Sa-at


Sharma ke hum yun aapke pehlu mein aagaye

Saanson se dhadkanon mein dil mein sama gaye

Jugnu lapak ke hum ne mutthi mein bhar lia

Neinon mein aaj taare yun tim tima gaye

Ithla ke kyun ho kehte tumhe pyaar hai nahin

Mina, sharaab, saaqi kyun tum mein aagaye

Hai dil fareb lazzat beparwah sa-aton mein

Lamhe bhi chunke aap hi qismat bana gaye!

- Khan M. Asim...31/05/2010...9:50PM..Train.. Could not continue to write it further as i lost the link in between!

Wednesday, June 02, 2010

Pyaar ka mausam hai door na raho!


Wahi karvant wahi saaya hai

Wahi mausam ne geet gaya hai

Tum hi se baharien zinda hain

Tum hi se megh chaaya hai!

Haiiii...

Pyaar ka mausam hai door na raho

Idhar dekho, idhar socho

Kuch baat toh kaho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Maan lo maan lo

Baat yeh meri tum

Pyaar se kuch kaho

Haath ko thaam lo

Pyaar do pyaar lo

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Nainon ko, jhukne do

Dil se dil, milne do

Arre har janib charcha hai

Logon ko, jalne do

Jisse dil darta hai

Woh baat na kaho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

Anbar ki yeh bhasha hai

Zara sa dil pyaasa hai

Sabhi hain muntazir ab tak

Tumhara hi dilaasa hai

Ab khamoshi se kehdo

Ke door ja raho

Ho ho ho...

Pyaar ka mausam hai door na raho!

- Khan M. Asim...02/06/2010...7:45 PM...Millenium Park, Nerul... The moment it started raining, i began writing it!