Saal-e-nau aur Mohabbat
Kabhi ki rok tok
Toh phir hai nok jhonk
Bani chehre pe shiknein
Dia lamhon ko thok!
Kabhi rishta jodte hain
Kabhi rishta todte hain
Kabhi chumein hain balam ko
Kabhi sar phodte hain!
Kabhi hai pukhta iraadah
Kabhi ghussa hai ziyadah
Kabhi chodein haath dono
Kabhi hai janmon ka vaadah!
Kabhi fitna yeh mehfil hai
Kabhi fitna mera dil hai
Zara sa roonth jaane mein
Na jane kya kya haasil hai!
Kahin asraar aankhon mein
Kahin taqraar baaton mein
Kahin ghanton nadaamat hai
Kahin hai pyaar yaadon mein!
Sitam aashufta karte hain
Pal bhar mein akharte hain
Hamari choti si baaton pe
Woh bante hain bigadte hain!
Kabhi yeh dil dhadakta hai
Kabhi yeh dil thaherta hai
Pashemaan ho ke rota hai
Kabhi yeh khulke hansta hai!
Humein koi shikayat hai
Na hi koi adaavat hai
Aji tum ko manana hai
Gale milne ki chaahat hai!
Saal-e-nau ki aamad hai
Khushi hai aur khushamad hai
Mohabbat apna tohfa bas
Daramad aur baramad hai!
- Khan M. Asim...31/12/2010...10:00 PM...Train! Here I raise my hand for peace and love!