Monday, July 11, 2011

Husn par jab shabaab aata hai


Husn par jab shabaab aata hai

Ishq bhi be-hisaab aata hai

Ru ba ru ho kya kahein usse

Bas nigaah se jawaab aata hai

Audhni se chupayi woh zulfein

Aur badalon ko utaab aata hai

Dekhna iss taraf bhi waajib hai

Pyaar se bhi sawaab aata hai

Woh jo soye hain band kamre mein

Maano dil pe azaab aata hai

Unka kehna ke hum huwe pagal

Sapna humko kharaab aata hai

kashmakash ik labon ki junbish mein

Aur qalb mein iztiraab aata hai

Yun toh dete hain peene ko paani

Saaqi lekar sharaab aata hai

Baat karte hain hum bhi chupke se

Kuch toh humko khitaab aata hai

Warq paltein jo pichli yaadon ke

Kaaghazon mein gulaab aata hai

Mithi mithi hai raat mein sardi

Garam hum ko khwaab aata hai

Uksa chehra bana hai har kona

jaise sehra, suraab aata hai

Jab bhi aata hun paas mein uske

Darmiyaan kyun naqaab aata hai

Uska aana, shab basar karna

Jaise ghar mahtaab aata hai

Hum bane hain haan ek duje ko

Bas yeh lubbe lubaab aata hai

Uske hone se thaat yeh ASIM

Jaise chal kar nawaab aata hai!

- Khan M. Asim...11/07/2011...1:55AM!

2 comments:

Arpita Sarkar said...

Warq paltein jo pichli yaadon ke

Kaaghazon mein gulaab aata hai...

You are a TRUE genius.. Asim.. no words... Amazing this creation is.. :)

May Allah bless you .. :)

Asim Khan said...

Thanks arpi.... kisi ki aamad se dil ne jo kaha usse kaaghaz pe utaar dia... bas baat dil ki hai.. so asar rakhti hai!