Monday, October 31, 2011

Maza aata hai!


Roz milte the koi baat na banti apni

Ab bichad jaane mein maza aata hai

Bheed badhti hai aabaad rahe jab duniya

Haan ujad jaane mein maza aata hai

Ishq dasta hai, rista hai lahu ishq

Dil nichad jaane mein maza aata hai

Kaun bhoolega woh tabassum-hai fareb

Yun ukhad jaane mein maza aata hai

Khuloos dekar ke mila dard sada

Par akad jaane mein maza aata hai

Dil rakho saath farebi bhi karo

Kuch pakad jaane mein maza aata hai

Khud ko behlaane mein maza kya ASIM

Uss ko tadpaane mein maza aata hai!

- Khan M. Asim... 31/10/2011... 2:34 AM!

Thursday, October 27, 2011

Jab diwali mein diya usne jalaya hoga..!


Jab diwali mein diya usne jalaya hoga

Khayaal kuch toh mera usse aaya hoga

Baat karna bhi mera usko giran jo guzra

Har diye ke aansoo nikal aaya hoga

Usney koshish toh ki hogi bhula de mujhko

Haan kisi baat pe qissa nikal aaya hoga

Mujhko kajal se jab usne chupaya hoga

Aina dekh ke yun sharmaya hoga

Bhool kar jab usne phone uthaya hoga

Ek do baar number bhi ghumaya hoga

Usne socha ke chatt se pukaare mujhko

Phir kisi ne usse neeche bulaya hoga

Jab bhi zulfon ka koi jooda banaya hoga

Har taraf mujhko khada hua paaya hoga

Usne ASIM jo sach-much hi bhulaya hoga

Deep ke Saath dil ko bhi jalaya hoga!

- Khan M. ASIM... 27/10/2011... 3:50AM!

Wednesday, October 26, 2011

Diwali Mubarak


Aman ki wahan pe fiza ho

Roshan jahan bhi diya ho

Kisi ko na koi shikayat

Kisi ko na koi gila ho

Ziyada kahin na dhuan ho

Na oonchi zara si sada ho

Rahein saath milkar sabhi hum

Na phir maa se koi juda ho

Kahin naam aaye na gham ka

Khushiyon se daaman bhara ho

Mitey sab ameeri ghareebi

Ke har ek ka yaan bhala ho

Phale pyaar poore chaman mein

Har simt gul yaan khila ho

Miley Ram ki sab ko shakti

Na Raavan se koi dara ho

Diwali mubarak ho sab ko

Mubarak hamesha sada ho

Dua jitni maangi hai ASIM

Insha-Allah sab ata ho!

- Khan M. Asim... 25/10/2011... 04:45 AM... Happy DIWALI!

Monday, October 24, 2011

Jihad against America!

Losing my mental balance whenever I see mutilated clips of Gaddafi's body... A man ruled for 40 years, did everything for his people from education to employment… Nourished his nation... America declared him inhuman, wicked... and murdered him..!

Since my childhood, I am hearing America is a peace-keeper, US send its troops wherever there is violence. It’s a human friendly nation, sympathises with the victims. It did not indulged into World Wars until its mainland wasn’t attacked. The Atom Bomb attack on Japan was in retaliation and part of strategy to end the war soon. I began believing it there was no reason to doubt on it for a school kid.
Today, for all the believed bull shit I have only two words, “nice propaganda”.

Being a Muslim, we do think of a world of Muslims (I don’t think it is wrong), to have Khilafat back or rather say to have world ruled by Muslims. Any religious person would think of it. Let it be, Hindu, Muslim, Jew or Christian. The history of religion is as old as the human history. From the primitive times to the modern age the world has been ruled by the religious polity. With the passing time the new religions evolved, the past one vanished or continued with a struggle. Take more than three thousand year old history of Judaism, 2000 years history of Christianity and the long history of Zoroastrianism and Hinduism, whenever a new religion developed the old one began atrocities to sabotage it. When Christianity emerged Jews crucified Jesus, when Buddhism or Jainism evolved Hinduism targeted it.

If we look back in the history 1400 years ago, when Islam came into existence we may find the same scenario. The Islam arrived and the war for religious hegemony began, because new versions mostly have the well developed and improved equipments and gadgets. From Caesars to Khusrou’s all the major powers targeted Islam. The religion which illuminated in Arabian Desert soon began spreading and then a time came when Muslims had a huge empire from Alexandria to Constantinople, Jerusalem, Baghdad, Gibraltar, Tehran and Indus. But during the medieval period the old religions twisted their strategy of war. They knew it that it is almost impossible to finish Islam in battlefield. Then they forwarded their best orientalists, writers and thinkers, and what began then brings what we have today. A defamed Islam, where peace is interpreted as piece and the religion is synonym to terrorism. The propaganda that began in 17th and 18th century had such a huge impact that Khilafat had its last breath in 1924. Since then the Islamic world is struggling again for its survival. But this time the enemy was not in battlefield. They were sitting right at their homes. The old Abrahmic religious nations came together and strengthen each other more. The Muslim world by then had developed many ailments. The religion of Avicenna was contracting in science. The western world with French revolution had found a new way of life. Now, Islam had to face new facade of Christianity and Judaism in the form of Imperialism and colonialism.

With time US of America emerged as a super power moving ahead of its counterpart the communist USSR. The Islamic world which was already victim of colonization and imperialism had a new challenge. The western propaganda spread with the western education. Today, more than half of the world is westernized, and some are still shaping up in accordance.

With the emergence of new technology, the dehydrated desert became an oil well. Every developed nation wanted to grab it. We heard a lot about Muslim Brotherhood during Egypt revolution, the so-called organization which dethroned Hosni Mubarak. But the organization is more than 7 decades old. It did struggled in 1940-60’s when Jamal Abdul Nasser became the President of Egypt and the revolutionary thinker, whom America never liked Sayyad Qutb was executed.

With time some of the Muslim nations began developing and an Islamic World again began emerging on the World map. Which included, Arabian Peninsula, Iraq, Iran, Egypt, Libya, Pakistan and the Taliban ruled Afghanistan.

It was a major threat to the Imperialists or let us put it in the words of George W. Bush a threat to Christian world. Prior to his tenure in 1991 his father had already attacked Saddam Husain’s Iraq but he could not defeat the lion of the desert. The conspiracy of 9/11 gave the western world two major opportunities, one to attack Islamic nations and second to declare Islam as terrorism. As part of strategy US with UN and NATO forces invaded into Afghanistan, exiled Taliban and captured the Uranium, Thorium ores (Which it really wanted for nuclear weapons). The Western powers sent more troops there in the name of peace-keeping. Bush had to fulfill his father’s dream of devastating the Saddam’s Baghdad and he as a sincere son waged war on Iraq in the name of WMD’s. And in the December of 2006 they executed Saddam. Now, they had more targets in mind, but as such had no reason to show for beating up the kids. Used old strategies provoked the citizens with the help of their agents, within span of four years Tunisian, Egyptian and Libyan powers vanished. There next target are Syria, Iran and Pakistan. They don’t have to attack Saudi Arabia as it is already their mental slave. American forces are present there 24X7.

So, the developing Islamic world has again disappeared from the world map. The West hardly have threats in the form of Iran and Pakistan, but little difficult to take over them as they have pacts with North Korea and China respectively. The Muslims’ around the world are striving for their survival, term Jihad has turned evil and became terror. So, the Crusade of West is better than Jihad of Islam as they are ruling the world. The misconception of Jihad and sword among the Muslims has developed up to an extent that they feel shy saying I am Muslim. The cowards have taken refuge in the name of secularism. It is assumed if you are secular, you will talk against Islam.

The Islamic world needs to strengthen their root which is very much available in its history, the philosophy of Islam needs to be published and spread. The strategy should be same as the western world used in medieval ages or may be better than that. America needs to be taught a lesson and proved to be an evil power and mass murderer. Otherwise, the UN, NATO the puppets of the so-called super power will keep devastating the Islamic World in the name of peace-keeping. George Bush’s Crusade has to be answered. There is a definite need of Jihad against America!

Few new couplets..!

Unke kehne se koi farak nahin padne waala

Dost ban-kar jo basti mein laga aag gayey

Mere ahbaab tareeki mein huwe yun roshan

Waqt padne pe ujaalon ki tarah bhaag gaye! ASIM

‎(It does not matter what they say...
Those who became friend and burnt the town...
In darkness my friends came into light...
When time needed they disappeared like sunshine! ASIM)

*********************************************

Waqt ne kar li bahut rang-railiyaan

Ab koi lamha sukhan-war chaahiye! ASIM

*********************************************

Raasta ulfat ka hamwaar nahin hai

Saath hai woh lekin dildaar nahin hai

Uss se shikweh toh bahut hain lekin

Kambakht abhi dil bezaar nahin hai

Chubhta toh usse hoga boya huwa kaanta

Kitna hi mukar jaaye ke pyaar nahin hai

Ik arz pe jeete hain yahan doobne waale

Lehron mein kare chaak manjhdaar nahin hai! ASIM

*********************************************

Aashqi pyaas kabhi bujhne nahin deti

Teri tasveer mujhe jeene nahin deti! ASIM

*********************************************

Dil kisi ka hochuka hum kisi ke ho chuke

Ab nahin hum ko pata aarzu dil ki hai kya! ASIM

*********************************************

Dil pukare hai raat bhar jinko

Ishq unko bhi kaash ho jaaye!

Saara mausam mera masiha ho

Saath mere woh kaash ho jaaye!

Khoob sajdey karunga rozana

Baat apni si kash ho jaaye! ASIM

**********************************************

Aaj barsaat bhi thi

Khoob bheegey bhi

Magar...

Ishq kahin gum tha! ASIM

***********************************************

Bahut hogayi dosti mehmaan nawaazi

Jo jaisa hai waisa hi humein paayega

Maidaane jung bana li hum ne duniya

Ab jo aayega sar tan se juda jaayega! ASIM

‎(It has been enough friendliness and hospitality...
Now they will find me same as they are...
I have turned my world into a battlefield...
Whosoever will come now would go beheaded! ASIM)

**************************************************

Teri sheerini raat par rahi haavi

Neend din per karegi ab ghalba! ASIM

**************************************************

Phir koi jaame mohabbat nigaahon se pilaya usne

Muddaton baad saaqi ko rahem aaya mujh pe! ASIM

***************************************************


Going through Qahet-ul-Ashaar!

Qahet-ul-khayaal, qahet-ul-sawaal, qahet-ul-misaal

Qahet-ul-ifkaar, qahet-ul-ista'ar, Qahet-ul-Ashaar! ASIM

.........

(Going through Famine of Poetry)

(Scarcity of ideas, Lack of questions, Dearth of examples...

Shortage of thoughts, Crisis of metaphors, Famine of poetry! ASIM)

****************************************************

Meri hamdard, meri hamraaz kya kahun tujh ko

Tu hi duniya tu hi aakhir tu hi meri mohabbat hai! ASIM

*****************************************************

Ab tishnagi labrez horahi hai

Saaqiya awaaz suna de apni! ASIM

(Now the thirst is spilling out...
Sweetheart make me hear your voice! ASIM)

*****************************************************

Fajr tak kya pata hum rahein na rahein

Raat ki iss paher pyaar kar lene do! ASIM

*****************************************************

Sarkar nemat martaba mere khuda mere khuda!


Kirdar mein woh kehkashan sarkar ka jalwa juda

Dil huwa unn pe fida mere khuda mere khuda

Maana hum se door hain dil mein magar maujud hain

Sarkar dikhein har jaga mere khuda mere khuda

Jab se dekha meine unko dil hai mera gumshudah

Sarkar mere dilruba mere khuda mere khuda

Saath gar unka miley kisey chahiye phir yeh jahan

Sarkar nemat martaba mere khuda mere khuda

Sarkar bin jeena kahan unki qurbat marge jaan

Sarkar pe mein mar gaya mere khuda mere khuda

Sarkar hain meri zameen sarkar mera aasmaan

Sarkar bas meri duniya mere khuda mere khuda

Sarkar meri neikiyan sarkar meri khoobiyan

Sarkar bas meri jaza mere khuda mere khuda

Sarkar meri aarzoo sarkar meri justujoo

Sarkar bas dil ki dua mere khuda mere khuda

Sarkar hain ishqe butan sarkar khalis gulfishan

Sarkar-e-ASIM marhaba mere khuda mere khuda!

- Khan M. Asim... 24/10/2011... 01:50 AM!

Sunday, October 23, 2011

Marte marte ko jilana usse aata hai!


Marte marte ko jilana usse aata hai

Sukhe sehra mein pilana usse aata hai

Mein toh thak haar ke beitha tha yunhi

Murjhe murjhe ko khilana usse aata hai

Gham ne aankhon pe bahut naksh bithaye lekin

Rotey rotey ko hansana usse aata hai

Jitni aandhi thi muththi mein daba li usne

Ujde ujde ko basana usse aata hai

Usse milkar ke miley hum khud se

Bichde bichde ko milana usse aata hai

Uski tasveer hai taskeen bala ki deti

Haan nigaahon se bulana usse aata hai

Jab bhi takleef padi hai usse paya hai

Sara gham dard mitana usse aata hai

Kitna masroor hua dil jab yeh jaana ASIM

Chup chupa ke awaaz sunana usse aata hai!

- Khan M. Asim...23/10/2011... 01:25 AM!

Wednesday, October 19, 2011

Ishq ki hai dua aye khuda aye khuda..!


Dard dil mein jaga aye khuda aye khuda

Ishq kar de ataa aye khuda aye khuda

Yeh kahe hum se woh hum tumhare sanam

Baat aage badha aye khuda aye khuda

Maanga kuch bhi nahin mangte hain yeh bas

Ishq ki hai dua aye khuda aye khuda

Maana hun matlabi baat apni hi ki

Dil se nikle sada aye khuda aye khuda

Koi uljhan na ho koi tashweesh na

Hum pe ho woh fida aye khuda aye khuda

Rukh se chilman hata ishq kar yun ayan

Dil se parda utha aye khuda aye khuda

Ab rahein na juda aisa kar mojaza

Yaare ASIM mila aye khuda aye khuda!

- Khan M. ASIM... 19/10/2011... 2:20PM!

Be-qadar hum ko teri nazar chahiye ..!


Be-qadar hum ko teri nazar chahiye

Dilruba hum ko teri khabar chahiye

Justuju ho chuki koshishein ki bahut

Ab duaon mein hum ko asar chahiye

Tujh se milte rahe shaam dhalti rahi

Baat karne ko fursat se ghar chahiye

Tere hokar bhi rehte hain anjaan se

Hosla hum ko ab be-khatar chahiye

Jis pe chal ke milein hum ko dono jahan

Hum ko aisi khudaya dagar chahiye

Samar jis ke rahein sheerin sheerin sada

Aisa pur-zaiqa woh shajar chahiye

Dardmand na raho pyaar tum na karo

Saath hum ko tumhara magar chahiye

Hum ko parwa nahin log kehte hain kya

Haan zamane ko bas mal-o-zarr chahiye

Khirad mushtaq hai qalb betaab hai

Hum ko jalwa tera har paher chahiye

Mana dilkash hai yeh zindagi ka bhanvar

Paar kar de jo hum ko laher chahiye

Umr utni nahin jitni tashweesh hai

Waqt ASIM zara be-fikar chahiye!

- Khan M. Asim... 19/10/2011...02:15AM!

Thursday, October 13, 2011

Ishq


Ishq raat bhar jaga ishq se subah jaagi

Ishq mein jawan din hai ishq mein rawan din hai

Ishq jaame jamshedi ishq dil ka hai bhedi

Ishq gar yeh hojaye jaane phir kahan din hai

Ishq kohe seena hai kaaf ki haseena hai

Ishq se hai tareeki ishq se jahan din hai

Ishq se munawwar hai bargazidah sultaani

Ishq ki zamin dekho saara aasman din hai

Ishq har kali mein hai ishq gul shagufta hai

Ishq ke chaman se hi jannate numan din hai

Ishq se sawakib hain ishq se kawakib hain

Ishq mojazah hai yeh saari kehkashan din hai

Ishq naame mehboobi ishq naame ASIM hai

Ishq hai humein pyara dil jigar yeh jaan din hai!

- Khan M. Asim... 13/10/2011...12:47PM!

Saturday, October 08, 2011

Munfarid Alfaaz

Hum na honge toh hamari wah wah hogi

Puchenge log tum se yeh sher kis ka hai! ASIM

******************************************

Tujhe garchey mujh se wafa nahi

Zara khauf kuch toh khuda ka kar! ASIM

******************************************

Kabhi zahid ka waaz suna aur kabhi suna dil ka peyaam

Sab baaton se bas yeh jaana azeem hai Allah tera naam! ASIM

*******************************************

Aye mere maalik mushkil kusha

Siraate mustaqim mujhko dikha! ASIM

********************************************

Facebook pe teri khaamoshi se

Ab yeh gulshan ujaad lagta hai! ASIM

*********************************************

Zulf baadal, abru kamaan teer si nigaahein

Kya kahen hum rukh ka dil bhar raha hai aahein! ASIM

**********************************************

Kaisi haalat kardi hai

Zalim dil bedardi hai

Thaher toh jao kuch lamhe tum

Aisi bhi kya jaldi hai! ASIM

************************************************

Dil bhi tera dhadkan teri hai poora tera ASIM Khan

Baah mein bharke lab se daske lele jaana meri jaan! ASIM

*************************************************

Har baat dil ki junooni hai

Uss bin duniya sooni hai

Apni dushnaami se koi aar nahin

Uski ruswai magar khooni hai! ASIM

**************************************************

Amanaton mein khayanat ban jao

Mere har jurm ki zamanat ban jao

Dil dariya-e-ishq mein doob chuka

Haan yun karo ab zahanat ban jao! ASIM

***************************************************

Khwaab apna jaga ke dekh liya

Dard saara bhaga ke dekh liya

Badi hi khoobsoorat woh bala hai

Hum ne munh laga ke dekh liya! ASIM

*****************************************************

Azam hai phir tujh ko aye muqaddar aazmaane ka

Zamaane ke sawalon ko jawabon se mitaane ka

Badi gardish rahi dil ke sitaaron mein umeedon ki

Huwa hai waqt aye ASIM iss girhan ko hataane ka! ASIM

******************************************************

Gumraah-kun toh hai magar dushwaar bhi nahin

Khud mein yaqeen raha toh manzil qareeb hai! ASIM

(It may be deviating but not that difficult... If you believe in your self then destination is with you! ASIM)

********************************************************

Jun jun lamha bhaag raha hai

Dard pyaar ka jaag raha hai

Ang ang mein aag lagi hai

Kaath yeh kaisa naag rha hai! ASIM

*********************************************************

Duniya bhi hai mauka bhi hai dastur bhi hai yeh

Kuch wafa shuaariyon ka anjaam yun sahi

Be-ha o be-murrawat, be-zaar kar dia

Kuch aashiqi ka naam badnaam yun sahi! ASIM

**********************************************************

Na jhukao sar ko itna aajizi le doobegi

Beja tawaqqa mut rakho saadgi le doobegi

Mana qalandar dil hai par duniya badi hai matlabi

Khud pe bhi qabu rakho awaargi le doobegi! ASIM

***********************************************************

Billu habiba Billu habiba

Ban ja meri tu mehbuba! ASIM :P

**********************************************************

Kabhi unse shikayat hai kabhi khud se shikayat hai

Adavat se mohabbat hai mohabbat se adavat hai! ASIM

**********************************************************

Yaad uski mujhe aaraam nahin karne deti

Uski tasveer mujhe kaam nahin karne deti! ASIM

***********************************************************

Mehshar mein tarazu jab uthega

Jhoot usmein jamke taula jayega! ASIM

***********************************************************

Husn se sulah kar li ishq ko khuda jaana

Husn se sulah kar li ishq ko khuda jaana

Waqt bemurrawat hai itna mudda jaana

Aankh ko zamin samjha zulf ko laher koi

Taghayure zamaane ko uski hi ada jaana

Kaise tu pasheman hai dil azaab kaisa yeh

Bezarar ko phir hum ne aaj toh fida jaana

Aadmi bhala hai toh kaun si shikayat hai

Bekhirad ko khud Asim aaj to juda jaana!

-Khan M. Asim...06/10/2011... 02:30AM!

Monday, October 03, 2011

Jaane mann, jaane hayaat..!


Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana

Tadpe yeh dil, tadpe nazar jaldi se aa jaana

Raat gayi, chanda gaya, taare sabhi so gaye

Nisfe nihaar hum beqaraar pyaar jata jaana..!

Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana..!

Bhanvra yeh dil, soojhe na gul, kitna pareshaan hai

Gulshan bhi hai, mausam bhi hai sab kuch huwaidan hai

Sunbul bhi hai, nargis bhi hai, kyaari gulaabon ki...

Saara manzar, phir bhi sanam dil kyun yeh hairaan hai!

Jaane chaman, Jaane bahaar rang jama jaana

Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana...!

Das le tu hum ko lehra ke zulfein baade qaza dede

Tirchi nazar ke teer chala ke ajal-e-wafaa dede

Ban ke dua tu honton ko choole rooh muattar kar

Har ek pal ko deke tabassum apni adaa dede...

Jaane saher, jaane paher paas mein aa jaana

Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana..!

Shola-e-dil, shola badan, shola hi shola hai

Mas-hoor hum mas-hoor tum nasha kya ghola hai

Naache hai jaam, saaqi benaam haath badha jaana

Ab tere bin jeena mushkil dard yeh bola hai

Jaane paimaan, jaane mehfil pyaas bujha jaana

Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana..!

Kaisi sharam, kaisi haya sab kuch bhula do na

Ishq milan ki pyaari si koi rut tum jaga do na

Beitho na door mere huzoor baahon mein aa jao

Muska ke aise nazrein mila ke gul tum khila do na

Jaane jahaan, jaane ASIM, baahon mein aa jaana

Jaane mann, jaane hayaat jalwa dikha jaana..!

Khan M. Asim.. 03/10/2011... 3:20PM!

Sunday, October 02, 2011

Mein samajhta hun..!


Tum mahez phool ho,

Naazuk,

Narm,

Hassaas

Mein samajhta tha...!

Tum mahez rang ho

mausam ka,

nazaron ka,

Isharon ka,

Mein samajhta tha...!

Tum mahez roshni ho,

Sayaron ki,

Sawakib ki

Kawakib ki

Mein samajhta tha...!

Magar,

Aye meri jaane hayaat

Patjhad mein yun muskana

Andheron se yun lad jaana

Musibat se guzar jaana...

Batata hai mujhe itna

Tumhara wujood kaamil hai

Tum mahez, nazuk narm o hassas nahin

Tum mahez range bahaar nahin

Tum mahez roshni nahin

Tum mazboot bhi ho

Tum sanjeedah bhi

Tum mein azm hai

Tum mein istaqlaal bhi

Tum rang ho kaamiyaabi ka

Tum noor ho fatehyaabi ka

Mein jaane kya samajhta tha

Na jaane tum kahan nikli

Bahut buland,

Mere khayaalon se door

Paak o shafaaf

Zindagi ki iss thokar se

Mein masroor hun

Mein jaanta hun

Tum kabhi na tootogi,

Tum yeh jung bhi jeetogi

Tum har merka sar karogi

Tum Khizaon ko palat dogi

Mein samajhta hun..!

Tum mahez khayal nahin

Tum meri haqeeqat ho

Tum meri ada bhi ho

Tum meri dua bhi ho

Tum mera wujood ho

Tum mera ghamand ho

Mein Samajhta hun..!

Na tum sa koi aaya hai

Na tum sa koi aayega

Tum hi se hai jahaan saara

Tum hi tum ho

Tum hi tum ho

Mein samajhta hun..!

- Khan M. Asim... 01/10/2011... 3:30PM!