Mein samajhta hun..!
Tum mahez phool ho,
Naazuk,
Narm,
Hassaas
Mein samajhta tha...!
Tum mahez rang ho
mausam ka,
nazaron ka,
Isharon ka,
Mein samajhta tha...!
Tum mahez roshni ho,
Sayaron ki,
Sawakib ki
Kawakib ki
Mein samajhta tha...!
Magar,
Aye meri jaane hayaat
Patjhad mein yun muskana
Andheron se yun lad jaana
Musibat se guzar jaana...
Batata hai mujhe itna
Tumhara wujood kaamil hai
Tum mahez, nazuk narm o hassas nahin
Tum mahez range bahaar nahin
Tum mahez roshni nahin
Tum mazboot bhi ho
Tum sanjeedah bhi
Tum mein azm hai
Tum mein istaqlaal bhi
Tum rang ho kaamiyaabi ka
Tum noor ho fatehyaabi ka
Mein jaane kya samajhta tha
Na jaane tum kahan nikli
Bahut buland,
Mere khayaalon se door
Paak o shafaaf
Zindagi ki iss thokar se
Mein masroor hun
Mein jaanta hun
Tum kabhi na tootogi,
Tum yeh jung bhi jeetogi
Tum har merka sar karogi
Tum Khizaon ko palat dogi
Mein samajhta hun..!
Tum mahez khayal nahin
Tum meri haqeeqat ho
Tum meri ada bhi ho
Tum meri dua bhi ho
Tum mera wujood ho
Tum mera ghamand ho
Mein Samajhta hun..!
Na tum sa koi aaya hai
Na tum sa koi aayega
Tum hi se hai jahaan saara
Tum hi tum ho
Tum hi tum ho
Mein samajhta hun..!
- Khan M. Asim... 01/10/2011... 3:30PM!
No comments:
Post a Comment