Wednesday, February 29, 2012
Monday, February 27, 2012
Naghma..!
Yeh kaisi kashmakash hai
Yeh kaisi uljhan hai
Bezarar, behis
Bezaar zindagi!
Kabhi dil sahemta hai
Kabhi rooh kaanpti hai
Anokhi, nirali
Anjan zindagi!
Yeh kaisi mosiqi
Kaisa sangeet hai
Kabhi woh geet gaa kar
Mujhe sulati hai
Kabhi mein, Naghma bankar
Poori raat jagta hun!
- Khan M. Asim... 27/02/2012... 02:05 AM..!
Well, it was a long poem when i wrote it, as i directly started writing poem on mobile window, i typed it for more than 20 minutes, as then i was posting it via mobile but by mistakenly i clicked on delete button instead post, and hence lost entire poem... These are the some of the lines i could recollect so presenting them!
Posted by Asim Khan at 11:15 PM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Saturday, February 25, 2012
Wehshat..!
Tujhe dekha aur tere hogaye hum
Ab apne aap se wehshat hui hai
Zara si baat ki aur kehne lage woh
Mujhe tum se mohabbat hui hai
Nigahe naaz se kaante chubhe hain
Woh kehte hain ke ulfat hui hai
Hum se baat kare hamara naam le
Kisey itni yahaan fursat hui hai
Samandar aaj phir roya hai khud mein
Badi hi bewafa qudrat hui hai
Najaane aaj kyun sehmi hain saansein
Bahut badli si yeh fitrat hui hai
Kahan tak dosh hum unpe lagayein
Kahin hum se bhi ghaflat hui hai
Chalo ASIM ke chod dein duniya
Hamare vaaste hi jannat hui hai!
- Khan M. Asim... 25/02/2012... 5:58 PM!
(talking about the selfish world, not to be interpreted otherwise)
Posted by Asim Khan at 6:04 PM 0 comments
Labels: meri shayeri...
Friday, February 24, 2012
Uski ek nazar..!
Jo deewana bana deti hai
Kabhi sote jaga deti hai
Kabhi rote hansa deti hai
Kabhi hanste rula deti hai...
Uski ek nazar...
Jo kabhi marham ban jati hai
Aur kabhi teer kamaan!
Kabhi kisi aag ko janam deti hai
Kabhi khaamosh samandar ban jati hai
Sab sochte hain woh kya hai
Sab chaahte hain woh mil jaaye
Magar kahan naseeb kisi ko...
Uski ek nazar...
Jo deewana bana deti hai!
Woh sab kuch jaanti hai...
Aur nazrein churati hai
Kabhi dhaal dikhati hai
Kabhi nashtar chalati hai
Ab bhala koi usse pooche,
Aisa bhala yeh kyun?
Woh saaf kahegi,
Aisa sawaal kyun?
Kuch baat na banegi!
Hum bahut kuch keh sakte the
Magar khamosh rahe
Bas uss ada ki khaatir
Jo sirf usme hai...
Woh jo bayaan nahin ho sakti
Kisi qalam ki siyahi se,
Jo kisi aur ke hisse nahin
Wahi maalik, wahi paikar
Wahi qaatil, wahi munsif
Abas yeh dil tarasta hai
Tadapta hai... phadakta hai
Kaash humein mil jaye woh
Uski ek nazar...
Jo noor hai,
Jo suroor hai...
Jo chahat bhi hai
Qayamat bhi hai
Uski ek nazar...
Jo deewana bana deti hai..!
- Khan M. Asim... 13/3/2004... 12:05 AM... Finally posting an old poem!
Posted by Asim Khan at 2:32 AM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Wednesday, February 15, 2012
Ek akela mein deewana..!
Ek akela mein deewana
Khud se hi ab hun begana
Ghalti meri zaahir shahid
Lekin mera haal na jana
Sangparast ki baat mein aakar
Tod dia dil ka meikhaana
Buland imarat dil ki kar ke
Rezah rezah khud hojana
Neend ganwai sehro shab ki
Choda apna thor thikana
Sab ko bhaye bas woh lamha
Uss ka aana apna jaana
Uska dushman saare jug mein
Bas mein yakta ek yagana
ASIM chodo uski baatein
Chedo naghma koi purana!
- Khan M. Asim... 15/02/2012... 1:55 AM!
Posted by Asim Khan at 2:08 AM 1 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Tuesday, February 14, 2012
Shar pasandon ki sarparasti mein..!
Shar pasandon ki sarparasti mein
Aa gayey hum ussi ki basti mein
Koi kum-zarf, qaatil lootey na
Ched karne lage woh kashti mein
Tha pukara unhein bhi wehdat ne
Doobte reh gaye jo masti mein
Khaak dekhenge woh bulandi se
Bhooley atvaar bala-dasti mein
Jisne todaa ghuroor Kisraa ka
Qaum kitni hai aaj pasti mein
Raat guzri yeh sochtey ASIM
Kaun beitha hai apni hasti mein!
- Khan M. Asim... 14/02/2012... 3:05AM!
Posted by Asim Khan at 3:24 AM 0 comments
Labels: america, asim khan, islam, meri shayeri..., terrorism
Monday, February 13, 2012
Munfarid Asha'r
Junun mein hadd ho toh junun nahin rehta
Sukun mein hadd ho toh sukun nahin rehta! ASIM
***************************************
Tanhai hai nemat rabb ki...
Bhai apna apna naseeb hai! ASIM
****************************************
Jawaani kat rahi hai shaan se aaraam se
Bachana mujhko ya Allah faqat rizqe haraam se! ASIM
(The adolescence is comfortable and lavish
O Allah just save me from illegitimate food! ASIM)
*****************************************
Ab toh khud pe bhi aitbaar nahin
Kaise keh dun ke tujhse pyaar nahin
Saari sardi guzaar di tanha
Poochte ho ke intezaar nahin
Hum ne gham ko piya hai har lamha
Phir bhi ranjish koi pukaar nahin! ASIM
*******************************************
Ek dariya hun par piyaas bujhti nahin
Mar chuka hun magar saans rukti nahin
Uss ne toda humein aur toote bhi hum
Jhuk gaye hum magar woh kyun jhukti nahin! ASIM
******************************************
Ab itna shikwa bhi na karo hum se
Bewafa hain, ghaddaar nahin hain! ASIM
(Don't complaint so much to me
I may be unfaithful but not a traitor! ASIM)
*********************************************
Garam dimaagh thanda mausam
Dil kyun uthaye koi jokham! ASIM
***********************************************
Husne paikar chaand si soorat ho tum
Sach kahun bahut khoobsoorat ho tum! ASIM
---
"You are embodiment beauty, looks like moon
Really... you are very beautiful! ASIM"
*************************************************
Sunna na chaahe gar mera girya-e-ishq woh
Khuda hai nahin sanam ke karein ibadat huzoor ki! ASIM
( If beloved doesn't wish to hear pray of my love
She is not God that i start worshiping her! ASIM)
***************************************************
Bikhri zulfein, ujla chehra kispe tumhara raj nahin
Muskaate yeh nein tumhare kajal ke mohtaj nahin! ASIM
****************************************************
Kisi se pyaar karein kisi ka dil toote
Koi hai khush koi badguman hota hai
Kisi ka dil ka suroor kisi ka ghum peham
Koi hai naaseh koi badzuban hota hai! ASIM
*****************************************************
Badi hasti, bada rutba, bada hi naam wala hai
Khuda dene pe aaye toh chappar phad deta hai! ASIM
(Great personality, great stature, he has a great name
When God comes on blessing he enrich miraculously! ASIM)
********************************************************
Hamari saltanat ke baadshaah hum
Tumhara zarf bhi dekha hai hum ne! ASIM
(I am the king of my kingdom
I have seen your stature too! ASIM)
********************************************************
Ab ke agar bijli giri saath hi dharti phategi
Tanha bas meri nahin tanha teri bhi kategi! ASIM
********************************************************
Khud dard ki dawa ho jaon
Sochta hun bewafa ho jaon! ASIM
***********************************************************
Bhala kis mein hai jurrat ke humko cheen ley tumse
Muqaddar aazmaane ko muqaddar bhi zaroori hai! ASIM
(Who can dare to snatch me from you
To try luck, one has to have luck first! ASIM)
***********************************************************
Tumhare paas kaam hai
Mere paas aaraam hai! ASIM
*********************************************************
Jab dard hua unko humdard bane tab hum
Hum dard mein beithe hain humdard nadarad hain! ASIM
(When they had pain i shared it...
When am in pain sympathizers are missing! ASIM)
************************************************************
Hai jaan-leva jaana
Tera andaaz tiflana! ASIM
************************************************************
Koi jaadoo ho jaaye koi mantar chal jaaye
Mere khuda koi karishma koi mojaza kar de! ASIM
************************************************************
Ab agar khafa honge kyun manayein unko hum
Yeh adaa puraani hai, kaam sab karane ki! ASIM
*************************************************************
Tujhe yaad karte karte tadpenge poori raat
Teri aarzoo hai zindagi tera visaal khwaab! ASIM
**************************************************************
Teri talab, yeh tishnagi rahe qaayam
Khuda kare yeh diwangi rahe qaayam! ASIM
*****************************************************************
Ishq darja rehmat to ishq muqame ibrat hai
Ishq naala bulbul ka Ishq naara shaahin ka! ASIM
(Love is not just mercy love is also a point of admonition
Love is grief of nightingale and love is the slogan of kite! ASIM)
*******************************************************************
Kuch ishq nihan bhi hai kuch ishq huwaida bhi
Kuch rang hai tera bhi Kuch rang hai mera bhi! ASIM
(Some love is hidden, some love is evident
Some color of yours some color of mine! ASIM)
*****************************************************************
Qatal jo karey hum ko woh koi masiha ho
Munkir o munafiq se marna kaisa marna hai
Baazuon mein dum na ho shaane khum rahein jiske
Uss raqeeb o dushman se ladna kaisa ladna hai
Zaat rabb ki aala hai woh hi denewaala hai
Aadmi tawangar se darna kaisa darna hai! ASIM
*******************************************************
Alfaaz dil se nikle the dost tum samjhey nahin
Haan khata apni hi thi bezarar ko likh gaye! ASIM
(Words came from heart but friend you didn't understood
Though it's my mistake wrote about a heartless! ASIM)
***********************************************************
Hosla khatam kar do sar mera qalam kar do
Maut sab ko aani hai, ek din muaiyyan hai
Jaanta khuda sab hai kaun jhuta sachcha hai
Hashr ke musannif ka faisla mutaiyan hai! ASIM
(Suppress my ambitions, behead me,
Death is certain for all, a day is fixed,
God knows all, who lied and who is true,
The final verdict on the day of judgement is already written by the author! ASIM)
**********************************************************
Uski tareef bhi ki usko apna bhi kaha
Dil se anjaan tha woh, anjaan raha! ASIM
*********************************************************
Hum se mansoob zamaane ki ravish ko karna
Hum nahin waqt ke saanche mein dhalnewale! ASIM
(Do attribute the fashion of the age to us...
We are not going to mold with time! ASIM)
---------
um se mansoob zamaane ki ravish ko karna
Hum nahin waqt ke saath badalne wale! ASIM
**************************************************************************
Mere mehboob mere naaseh na bano
Chand roz khamosh tamasha dekho! ASIM
(My beloved do not become my mentor
For few days just see the drama silently! ASIM)
***********************************************************************
Khwaab kab tak khwaab banaye rakhkhun
Yeh zindagi kyun azaab banaye rakhkhun
Mujhko tabeer ke abwaab dikha de maula
Na kahun aur ahbaab banaye rakhkhun! ASIM
***********************************************************************
Kisi ko raas aayein koi pasand karey
Koi mandi kisi bazar ka saman nikla! ASIM
************************************************************************
Dil ki mandi ka usool nirala nikla
Kharidnewala bechnewala nikla! ASIM
**********************************************************************
Chand alfaaz sikha ke farishton se kaha sajda karo
Aye khuda insaan banaya toh banaya kyun kar? ASIM
(God taught a few words to man and asked angels to obey him.
Why God, why did you create the man??? ASIM )
*************************************************************
Dil qafas, tair, takhaiyule parwaaz kare
Aasmaan utna mile jitni ki mohabbat ki hai! ASIM
(Heart cage, Bird, contemplate of flying...
Must have sky as much as he loved! ASIM)
************************************************************
Hain adab se na-balad jo woh jaanein kya qarina
Jo ishq mein hain rindi woh falak pe aafreen hain! ASIM
(Who are unaware of manners they can't understand etiquette.
Who are dissolute in love are praised in the skies! ASIM)
**************************************************************
Ab mujh se koi kaam nahin hone waala
Jitna banta hun utna hi bigad jaata hun! ASIM
****************************************************************
Jab bhi maathe pe shikan padti hai
Teri mushkil ka khayaal aata hai! ASIM
*********************************************************
Na chaaku se na khanjar se, na sum se na bum se
Marein jo nazare qaatil se maza kuch aur aata hai! ASIM
**********************************************************
Saher, jaadu, mojazah, karishma koi
Ishq keh dun toh qayamat ke siva kuch bhi nahin! ASIM
**********************************************************
Zohra, Qamar, Atarud nazrana laaya hai
Dekho tumhare dar pe deewana aaya hai! ASIM
**********************************************************
Posted by Asim Khan at 3:05 AM 0 comments
Labels: meri shayeri...
Saturday, February 11, 2012
Pyaar..!
Pyaar kya hai?
Bahut socha...
Magar samajh na aaya...
Pyaar shayad dus rupee ka gulab hai
Ya hazaar rupee ki anguthi
Pyaar shayad Valentines' Day hai
Pyaar candle light dinner hai
Ya,
One night stand..!
Aaj ki karobari duniya mein
Pyaar bhi commercialized hogaya
Iske perahan toh hain
Magar behad maheen
Ab yeh naqaaab mein nahin rehta
Swimming costume ban gaya hai
Pyaar shayad bikni hai,
Pyaar shayad bangla hai
Pyaar shayad motor hai
Koi har din badalta hai
Koi saal che mahine mein...
Ek hai yeh aaj ka,
Commercialised pyaar
Aur
Ek woh janam janmantar ki rasam
Ek paak rishta
Ek paak lams
Ek sharam
Ek hayaa
Kisi ka hojana
Kisi pe mit jana...
Har jazbe se,
Har andaaz se munakas hota
Nigahon se muntashir hota
Ek ada, ek shua...
Pyaar mein agar pagalpan nahin toh
Pyaar nahin
Pyaar mein agar deewangi nahin toh
Pyaar nahin
Pyaar mein agar junoon nahin toh
Pyaar nahin
Pyaar mein agar chaah nahin toh
Pyaar nahin
Pyaar hai ik taire be-parwah
Jo kisi samaaj ko,
Kisi rivaaj ko nahin maanta...
Pyaar aasmaan hai
Pyaar zameen hai
Pyaar tara bhi hai
Pyaar sitarah bhi hai
Pyaar gul o chaman ka nazarah bhi hai...
Pyaar hai kisi ko toot kar chahna,
Kisi ke khayal mein kho jana...
Pyaar sirf khoobsoorti nahin
Rida bhi hai
Pyaar sirf sakhavat nahin
Neelami bhi hai
Pyaar sirf aazaadi nahin
Ghulami bhi hai...
Pyaar mazhab bhi hai
Pyaar dastoor bhi hai
Pyaar Laila bhi hai
Pyaar Majnu bhi hai
Pyaar Sheereen hai
Pyaar Farhaad hai
Pyaar aazaad hai
Pyaar aazaad hai..!
- Khan M. Asim... 11/02/2012... 11:27 AM!
Posted by Asim Khan at 11:55 AM 2 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Monday, February 06, 2012
Yeh sail-e-ravaan aakhir thamta kyun nahin?
Koi chehra nazar mein jamta kyun nahin?
Uss ki nigaahon mein shabaab toh hai
Ishq kyun nahin? mamta kyun nahin?
Kab tak jalaon mein charaaghon ko
Uffaq se sooraj ubharta kyun nahin?
Ehsaan yeh kia uspe ke chaaha usko
Wafaon ka sila mujhko milta kyun nahin?
Takhaiyul mein tasalsul se hai aamad uski
Majazi se haqeeqi mein dhalta kyun nahin?
Lamhon ki tarah usko piroya hai ghadi mein
Yaadon mein uski mein bhi nikalta kyun nahin?
ASIM usse chaah kar bhi paa nahin sakta
Dil-e-namuraad aakhir samajhta kyun nahin???
- Khan M. Asim... 13/11/2007... 03:00PM... Train!
Posted by Asim Khan at 1:39 AM 0 comments
Labels: meri shayeri...
Sunday, February 05, 2012
Meine dil se keh dia...!
Meine dil se keh dia hai
Pyaar tujhse hi kare
Jaan jaye ghum nahin
Par tere hathon se mare...
Meine dil se keh dia...!
Chalne de talwar khanjar,
Aandhiyon ko aane de
Kitna hi tezaab barse
Baadalon ko chaane de
Sar kata de ishq pe yeh
Par kisi se na dare...
Meine dil se keh dia hai
Pyaar tujhse hi kare
Jaan jaye ghum nahin
Par tere hathon se mare...
Meine dil se keh dia...!
Raat kaali dil hai jugnu
Bedhadak betaab majnu
Dil samandar dil hai tara
Dil faqat mehfil junu
Kehkashan mein aasmaan mein
Rang saare yeh bhare
Meine dil se keh dia hai
Pyaar tujhse hi kare
Jaan jaye ghum nahin
Par tere hathon se mare...
Meine dil se keh dia...!
- Khan M. Asim... 05/12/2012... 12:46 AM!
Posted by Asim Khan at 1:05 AM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic