Wednesday, February 29, 2012

Mein nahin..!

Na koi haadi
Na koi rehbar
Ajnabi manzil
La-haasil taameer
Izmehlaal, khumaar
Yeh kaun hai?
Jo mujh mein hai
Magar,
Mein nahin..!
La-talluk, ghair-muaiyyan
Bina kisi siyaaq o sabaaq ke
Ek ghaazib,
Matlaq-ul-inaan,
Hijaab mein bhi
Be-hijaab bhi,
Ek sang-dil
Tang-nazar
Tund-rou toofan...
Pehlvi, saanvi
Saare mayaar
Tehas nehas
Chahat parvaaz ki,
Magar
La-chaari, bebasi
Na par hain
Na aasmaan
Charkhe gardun
Surkh, lahoo
Kaamiyaabi
Benaam, bezaabta
La-makan, la-rabta
Na taskeen
Na ramaq
Sirf karvatin, silvatein
Aahein, karahein
Umeed o beem sa manzar
Intezaar bhi
Aas bhi,
Aur yaas bhi..!
Nazron se ojhal
Khud mein samaya
Aaina bhi, Insaan bhi
Sab kuch ba-kuf,
Tasveer bhi, taqdeer bhi
Tabeer bhi, tadbeer bhi
Phir kyun???
Yeh mann ka shor
Aur khamushi dar-utaaq..!
- khan M. Asim... 29/02/2012... 01:51 AM!
Haadi - Mentor, Rehbar - guide, Ajnabi - Stranger, Manzail - destination, La-haasil - unaccomplished, Tameer - build, Izmehlaal - depression, khumaar - intoxication, La-talluk - distanced, ghair-muaiyyan - undecided, siyaaq o sabaaq - context, ghaazib - usurper, Matlaq-ul-inaan - Anarchist, Hijaab - veil, Be-Hijaab - unveil, sangdil - stone-heart, tang nazar - narrow minded, Tund-rou - Speedy, Toofan - Hurricane, Pehlvi - first, saanvi - second, Mayaar - standard, Tehas nehas - destructed, chahat - desire, parvaaz - to fly, La-chaari - helplessness, Bebasi - powerless, par - feather, Aasmaan - sky, Charkhe gardun - Atmosphere, surkh - red, lahoo - blood, Kaamiyaabi - Success, Benaam - Anonymous, Bezabta - unlawful, La-makan - deserted, la-rabta - out of touch, taskeen - satisfaction, ramaq - spark, karvatein - disturbed sleep, silvatein - creases (bed), Aahein, karahein - hue and cry, umeed - hope, beem - hopelessness, manzar - view, Intezaar - wait, nazron - sights, ojhal - concealed, khud - self, samaya - lost, Aaina - mirror, Insaan - Human, Ba-kuf - within palms, Tasveer - picture, Taqdeer - destiny, Tabeer - interpretation of dream, tadbeer - tactic, mann - within-self, shor - noise, Khamushi - silence, Dar - in, utaaq - room! ASIM

No comments: