Friday, February 24, 2012

Uski ek nazar..!

Uski ek nazar...

Jo deewana bana deti hai

Kabhi sote jaga deti hai

Kabhi rote hansa deti hai

Kabhi hanste rula deti hai...

Uski ek nazar...

Jo kabhi marham ban jati hai

Aur kabhi teer kamaan!

Kabhi kisi aag ko janam deti hai

Kabhi khaamosh samandar ban jati hai

Sab sochte hain woh kya hai

Sab chaahte hain woh mil jaaye

Magar kahan naseeb kisi ko...

Uski ek nazar...

Jo deewana bana deti hai!

Woh sab kuch jaanti hai...

Aur nazrein churati hai

Kabhi dhaal dikhati hai

Kabhi nashtar chalati hai

Ab bhala koi usse pooche,

Aisa bhala yeh kyun?

Woh saaf kahegi,

Aisa sawaal kyun?

Kuch baat na banegi!

Hum bahut kuch keh sakte the

Magar khamosh rahe

Bas uss ada ki khaatir

Jo sirf usme hai...

Woh jo bayaan nahin ho sakti

Kisi qalam ki siyahi se,

Jo kisi aur ke hisse nahin

Wahi maalik, wahi paikar

Wahi qaatil, wahi munsif

Abas yeh dil tarasta hai

Tadapta hai... phadakta hai

Kaash humein mil jaye woh

Uski ek nazar...

Jo noor hai,

Jo suroor hai...

Jo chahat bhi hai

Qayamat bhi hai

Uski ek nazar...

Jo deewana bana deti hai..!

- Khan M. Asim... 13/3/2004... 12:05 AM... Finally posting an old poem!
 



No comments: