Monday, July 30, 2012

Tauheed..!



Tauheed ke kalme ne iss dil ko sanbhala hai
Tu rabbe Mohammed hai Teri zaat aala hai! 


Koi Tera humsaaya, na hum-asr Tera koi
Tu harfe muqarrar hai, badi shaan wala hai! 


Bhatkon ko zamane ke bakhshe hai man o salwa
Bas ek tu hi raaziq, tu deta niwala hai! 


Ghaffar Tu hi to hai, Jabbar Tu hi to hai
Tu malike yaum-uddeen Tu hi bakhshne waala hai! 


Ghaffar Tu hi to hai, Jabbar Tu hi to hai
Tu malike yaum-uddeen Tu hi bakhshne waala hai! 


Har seemt Tera ghalba har dil mein basera hai
Tu hi karta andhera hai Tu hi bakhshe ujaala hai! 


Hai kaun zamane mein, Jo Tere muqabil ho 
Bin Teri razamandi, lamha bhi muhala hai! 


Asim Tera Banda hai Tu bakhsh bhi de isko
Bas tujhse dua-go hai, deta Tu akela hai! 


Khan M. Asim... 30/07/2012... 11:20 PM... Thanks to Allah for the 450th Meri Shayeri post here on this blog!

Saturday, July 28, 2012

Munfarid Ash'ar..!

Chale jao, ke ab nahin laut ke aana
Mera aitbaar khatm mera intezaar khatm ! Asim



*****************************


Badi dikkat, badi mehnat, sabhi kuch hai sar aankhon pe 
Khuda ne jo bhi bakhsha hai bahut hi khoob bakhsha hai! Asim



******************************


Teri yaadon ki mitti yeh bahut zarkhez hai saathi
Jahan bhi Teri yaad aayi wahin pauda ubharta hai! Asim



******************************


Mujhe koi tamanna bhi nahin hai
Tumhari chahat bhi bahut hai
Abhi waqt hai chalo udd chalein hum
Nigahon mein hararat bhi bahut hai! Asim



******************************


Khoobsoorti jab door ho azaab banjati hai! Asim


******************************


Kaarobaare duniya belagaam chal raha tha
Koi khuda majazi koi naam kar raha tha
Jab use paak zaate aqdas ne tumko banaya
Yaad rahe woh tum hi thin..! Asim
Tides will turn soon :)



******************************


Dard ka tujh se bhi hai gehra rishta
Tere har harf pe aah kia hai meine! Asim



******************************


Tujh se milna aur Tera ho jaana
Khwab hi khwab hai tabeer kahan hai iski! Asim



******************************


Yeh ishq kahan se aaya
Yeh ishq mujhe na bhaya
Hai jitni isme raahat
Utna zulam hai dhaya...
Yeh ishq kahan se aaya! Asim



******************************


Ik aashiq naame Asim bood
Aur uska saathi zalim bood
Woh Ishq sikhata tha sabko
Aur uska saathi aalim bood
Woh ishq mein pal pal jalta
Aur uska saathi salim bood! Asim



******************************


Phir yeh paigham de raha hai
Dil Tera naam le raha hai! Asim



******************************


Ek sada hai ek laher hai
Door disha mein uska ghar hai
Toot na jaye saans ka bandhan
usko dhoonde meri nazar hai! Asim



******************************


Kaise manaon samajh mein nahin aata
Koi hai mein jis pe jaan deta hun! Asim



******************************


Woh aagaye hain intezaar tha jin ka
Mere ruh ki taskin, khayal ka zewar! Asim



Aaftaab ka noor, chaand si soorat
Aasmaan ki jaan zameen ka mehwar! Asim



*****************************************


Dawai kyun di zaher khila dia hota
Iss nashe se toh maut behter hai! Asim


**********************************


Do kadam chal na sake jo raasta katwane ko
Lakdiyan le aaye woh aashiyaan jalane ko! Asim


***********************************


aise toota soviet Russia waise toota mera dil
Tukde tukde hogaya dil tukde tukde hogaya dil! Asim


***********************************


My pain and fever are Godly rewarded
Though soul is intact, body is retarded! Asim


***********************************


Uske teer o tarkash saare dheele dheele hain
Yahi wajah hai aazu bazu sab rangeele hain! Asim


***********************************


Khudaya sakhti kum karde mere tu chaahne waale pe
Kahin pe woh pareshaan hai mujhe yaan dard uthta hai! Asim


***********************************


Baat meri bhali lagegi phir
Zara apna samajh ke dekho toh! Asim


***********************************


Ishq bas aashiq o mashooq ka rishta nahin 
Baat kuch toh ghar pe honi chahiye! Asim


***********************************


Jee chahta hai aaj phir dedun mein jaan yeh
Phir sochta hun jaan ke badle mein kya mile! Asim


***********************************


Sochta hun lafzon ko tarashun phir se
Phir tera khayaal mujhe tod raha hai! Asim


**********************************


Utha ke noor ko aankhon mein jazb karti hai
Phir apni chashm se duniya ko tu chalati hai! Asim


*********************************


Barsaat mein bheegay bahut baah unki thaamkar
Behro saba jhume bahut rangeen meri shaamkar
Asim bahut jazbaat hain kaise karein unko bayaan
Mar jaayein hum geele yunhi umr unke naamkar! Asim


**********************************


Mausam badal gaye lekin sanam nahin
Unke siva kisiko zamane mein ghum nahin! Asim


***********************************


Saath chalti hai qismat bhi meri
Baat banti hai, bigad jaati hai! Asim


***********************************


Kitni muddat intezaar mein taki hain raahein
Zulf har shaam sanwaari, kabhi tu aaye! Asim


***********************************


Muttafiq tha mizaaj se apne
Baat phir bhi juda juda nikli! Asim


**********************************


Usse ghuroor hai mein laut kar wahin aaonga
Mujhe yaqeen hai, mera zameer zindah hai! Asim


**********************************


Kaisi chaadar, kaisi dargah, kaise Baba vaba 
Dhool ati hai masjid gunbad, masjid laage dhaba! Asim


**********************************


Makhmoor ho ke jug se mafroor hogaye
Mehdi Hasan ghazal se mashhoor hogaye! Asim 
Rest in Peace Ustaad ji... hearing rafta rafta... and you are truly... hasti ka saamaan hogaye!


**********************************


Tumhare hone se kya nahin hota, zakhm phir bhi sulagta hai
Baat sirf hosley ki nahin hoti, waqt udaan mein bhi lagta hai! Asim


**********************************


Kaisi uljhan hai naye sitaaron ki
Aasmaan hai, chamak nahi sakte! Asim


**********************************


Kiss ko bakhsha hai zamaane ke khuda ne ASIM
Zulm jab had se guzarta hai insaaf ban jaata hai! Asim 
I protest for Qateel's murder!


***********************************


Sooraj se hi, hello hojana chahiye
11 baje hain ab toh uth Jana chahiye 
Juma ka din hai aaj Asim utho janab
Tayyaar hoke masjid ko Jana chahiye! Asim


**********************************


shayeri tanhayi mein sharaab se ziada nasha deti hai! Asim


***********************************


Usko nahin padi barish, bahaar ki
Pamaal kardi izzat us ne pyaar ki! Asim


***********************************


Musibat hai badi tauba ishaq bas shab ki bedaari
Beichaini ragon mein aur lahu jalta Jun chingari
Haan Asim muaf kar do ab na hoga ab yeh kaarobaar
Sahein kab tak sitam unke rakhein kisse hum dildari! Asim


***********************************


Nazare na dekho isharon ko dekho
Dil mein khili in baharon ko dekho
Maloom hogi tumhe apni haalat..
Nainon mein jagte sitaron ko dekho! Asim


***********************************


Usse hai shoq dil todne ka mera
Mujhe hai zid ussi se pyaar karun! Asim


***********************************


Tera dil bhi kare aah toh waah bane
Yun mohabbat mein akele nhi jiya jata! Asim


**********************************


Chaman mein jab gaye hum kal woh bulbul hum se sharmaya
Qafas mein phir jo aaya toh bahut pehle woh ghabraya
Kaha bulbul ne phir hum se, mohabbat jaante ho kya..?
Mohabbat naam sarmaya mohabbat dhoonp mein saaya! Asim


**********************************


Iss shahere natamam mein tamam bhi hai
Mushkilon ke darmiyaan tera naam bhi hai! Asim


************************************


 Uske honton ki baat hai gehri
Aarzoo ishtihaar dhunde hai! Asim



*******************************************


Muddat hui hai sher ko saanche mein dhaal ke
Aaye hain phir se laut kar hum apni dukaan pe! Asim



*********************************


Hata do raat ke pehre yahaan se
Mohabbat jaagti hai karwaton mein! Asim



********************************


Woh sun raha hai duayein teri ASIM 
Jiske haath mein hikmat pul-e-siraat ki hai! Asim



*****************************************


Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Mein tumhein dekh kar muskurata rahun! Asim


******************************


Tumhein hum se shikayat hai
Humein tum se shikayat hai
Mohabbat gum kahan jaana
Shikayat bhi mohabbat hai! Asim


******************************


Ada mein tum ho sada mein tum ho
Nazar mein meri, dua mein tum ho! Asim


***************************


Farhate rooh mili uski qurbat jo rahi 
Hum talabgaar andaaz kiye beithe hain
Usko paana hai har haal mein Asim humko
Dil ke bazaar mein neelaam huwe beithe hain! Asim


***************************


Meer ab na aayenge ghazal hui jawan hai
Sarparasti ab nahin ab baladasti chahiye! Asim


************************************

Friday, July 27, 2012

Kyun aksar aisa hota hai..!

Kyun aksar aisa hota hai
Hum sapne bunte rehte hain
Sapnon mein mahu hojate hain
Khud ko bhi kho dete hain
Kyun aksar aisa hota hai..!

Maazi bhi gaya behaal hain hum
Gulshan mein be-daal hain hum
Kya hoga kisko hai pata
Taal mein bhi betaal hain hum
Kyun aksar aisa hota hai
Hum khud se jhagadte rehte hain
Kyun aksar aisa hota hai
Hum sapne bunte rehte hain..!

Soojhe na koi rasta hum ko
Hai naag koi dasta humko
Na khud ki khabar hi koi hai
Na Manzil ka hi pata humko
Kyun aksar aisa hota hai
Hum chup chup rote rehte hain
Kyun aksar aisa hota hai
Hum sapne bunte rehte hain..!

Tum jeevan ki dhara ho
Toofaan mein ek kinara ho
Ujde hum kitne saathi
Toote dil ka sahara ho
Kyun aksar aisa hota hai
Hum tumse ladte rehte hain
Kyun aksar aisa hota hai
Hum sapne bunte rehte hain..!

Yeh maana bahut nayaab ho tum
Kismat se mile kum-yaab ho tum
Yeh baat bhi aur kitni hai ayaan
Tum hi saba ho, aab ho tum
Kyun aksar aisa hota hai
Hum milte bichadte rehte hain
Kyun aksar aisa hota hai
Hum sapne bunte rehte hain..!

- Khan M. Asim... 27/07/2012... 12:07 PM! (Pic : Nadir Aziz)

Wednesday, July 25, 2012

itna manoos hai dil..!

Itna manoos hai dil rukh se uske
Dar o diwar mein khinche hai naksha uska!
Saans chalti hai ussi ke dum se
Aur nazar takti hai Rasta uska!
Jannatein uska vasal khuld sarapa uska
Hoor o ghilman se uncha hai darja uska!
kaun Theodore kahan misr ki malka
koi aake zara dekhe jalwa uska!
Uske dum se hai chaman mein zeenat
Phool bhi uska, patta uska!
Hoke maghroor chale hain lamhe
Kaam bhi uska, khadsha uska!
Uska hone ko hai machalta ASIM
Hai aadmi uska, bachcha uska!
- Khan M. Asim 25/07/2012.. 03:42 AM!

Monday, July 23, 2012

tum laut ke jaldi aajana..!

Dekho yeh parinda kehta hai tum laut ke jaldi aajana
Yeh mast baharon ka mausam kahin roonth na jaaye dono se!
Itni yeh ghata pehle toh na thi
Qudrat yun fida pehle toh na thi
Phir aaj baras kar megha yeh
Bas ek sifarish karta hai
Tum laut ke jaldi aajana..
Yeh mast baharon ka mausam...
dekho..!
Tum bin ghum ko sehna hai
Chup chup dil mein rona hai
muskurate huwe sab se milna
Tanha tanha kya jeena hai
khamoshi sanam yeh kehti hai
Tum laut ke jaldi aajana...
Yeh mast baharon ka mausam.....
Dekho..!
Tum hoke khafa ruk jaana nahin
Vaade se sanam phir jaana nahin
Yeh doori badi qaatil hai sanam
Tum aake yahan phir jaana nahin
Timtimaate huwe jugnu ne kaha
Saaqi ko bula saathi ko bula
Kahin dard ke sholon mein jalkar
Raakh na ho jaaye gulshan
Dekho yeh parinda kehta hai
Tum laut ke jaldi aajana
Yeh mast baharon ka mausam
Kahin roonth na jaaye dono se! - khan m. Asim... 23/07/2012... 10:17pm!

Saturday, July 21, 2012

mahwe hairat..!

Kyun darmiyan fasley hain
Tum bhi nazdiq ho
Mein bhi nazdiq hun
Sawan ka mausam bhi hai
Mauka bhi hai
Dastur bhi
Magar ishq ki duniya anokhi hai
Darmiyan fasla bhi hai
Nigahon mein khumar bhi
Behad nazdiq bhi hain
Milon dur bhi
Baahon mein hokar bhi
Juda hain hum
Kahin khayal ki ranjish
Kahin alfaaz ki khalish
Ik kharash bhi hai
Aur nazakat bhi
Judai ka khauf
Aur vasal ke lamhe jawan jawan
Aur hum mahwe hairat!  - khan m. Asim... 9:00 pm... 18/07/2012.. Train!

doori..!

Mann mein ik shararat jaagti hai
Kahin koi tamanna udd rahi hai
Tere rukhsaar se aati hawayein
Tere alfaaz mein simti sadayein
Kahin tum ho nazakat se aawezaan
Kahin pehlu badalte hum hain beithe
Kahin sorish hai darakhton aur qaba mein
Kahin sargoshiyan ghata mein aur Saba mein
Bahut napaak hote yeh takhaiyyul
Tumhari audhni ko kheenchte hain
Ajab sa shor hai aab o hawa mein
Sitaare bhi kahani keh rahe hain
Kahin toota sa taara khwab jaisa
Kahin roshan sitara aap jaisa
Kahin jhilmat hai koi zulf waali
Kahin tair koi hum sa sawali
Tumhare naaz ne toda bharam hai
Hum zinda hain tumhara yeh karam hai
Zara bakhsho Zara si dilnawazi
Zara sa mushq ka tukda humein do
Bahut lamhon se muntazir hain
Zara si aag yeh thandi Kara do
Sulagti daudti beichainiyaan yeh
Meri saanson se tum hata do
Tumhe chaha hai tumhare hi rahenge
Zamane bhar ko yeh kissa bata do
Meri jaana mere tum paas toh aao
Zara geeton ko mere gun gunao
Mujhe bhi ek mauka tum Zara do
Yeh doori badi hai jaanlewa
Yahan se faasla tum hata do
Tum meri ho bas meri ho
Yeh saare aalam ko bata do! - khan m. Asim... 11:30pm... 20/07/2012..!

Tuesday, July 17, 2012

Jaaneman tujh se hum tanha behter..!

Dard hi Dard Mila hai tujh se milkar
Jaaneman tujh se hum tanha behter
Ishq aawara bhi hai badnaam bhi hai
Kaam Kai aur bhi hain isse behter
Shab ki talchat mein kyun sitara roye
Naam toh aur bhi hain tujh se behter
Ek toh waqt bura uspe khuddaar hain hum
Baat kitni hain sanam tujh se behter
Vaaste tere faqat hum ne har saans kari
Shab ke hijaan se toh marna behter
Dil giraftaar hai yeh, baat Asim Tu bata
Kya nishachar se nahin murda behter!
- Khan M. Asim... 17/07/2012... 03:30 AM!  

Sunday, July 15, 2012

Khamoshi...!

Kaisa desh
Kaisi izzat
Kaisi zaat
Kahin koi kapde utarne ko betaab
Kahin kapde nochne ki hawas
Mashriq mein laaj hai
Sharam hai, haya hai
Mashriq mein tehzeeb hai
Sirf baatein
Kitabi baatein
Loole hafiz
Langde nazim
Aur andha kanoon
Mashriq ghuroob horaha hai
Tehzeeb dum tod chuki
Kitabon ko aag laga do
Desh pe mitti daalo
Sab mar chuke hain
Kabarastan ka kanoon hai
Khamoshi...
Hindustan Amar raha!

- Khan M. Asim... 14/7/2012... 03:00 PM... Train!

Friday, July 06, 2012

Bas itna karam karna..!

Bas itna karam karna tum apne deewaane pe

Naam bhi jab lena palkon ko jhuka lena

Hum samjhein razamandi kuch aisa ishara ho

Khamosh raho phir bhi nazron se bula lena...!

Bas ek tasadum hai lamhon mein fasanon mein

Har ek anasir ke badle hain iraadon mein

Dil jab bhi shikasta ho tum humko bacha lena

Dariya ko sada dena toofaan bula lena..!

Parkhegi humein duniya yeh apne tarazu se

Waqif hai nahin baatil yeh ishq ke jaadu se

Jab waqt pade hum pe tum isko dikha dena

Kohraam macha dena tum half utha lena..!

Yeh kaisa tasalsul hai anjaam sa lagta hai

Har lamha humein antim paighaam sa lagta hai

Jab ishq pareshaan ho haan naame buta'n ho bas

Tum arsh hila dena yazdaan ko bula lena..!

Bas itna karam karna tum apne deewaane pe

Naam bhi jab lena palkon ko jhuka lena..!

- Khan M. Asim... 05/07/2012.. 08:30 PM... Train!

Wednesday, July 04, 2012

Munkasim munkasim..!

Munkasim munkasim mere ehsaas hain
Ishq ki inteha mere jazbaat hain
Faasle do hata aa milo jaanejaan
Multajim multajim yeh khayalaat hain..!
Chaa rahi hai ghata kho gai hai Saba
Din hai phaila huwa phir akela huwa
Rang apna uda, dil hai bikhra huwa
Muntazim muntazim bas Teri baat hain..! 
- Khan M. Asim 03/07/2012... 01:35 PM... Train!

Tuesday, July 03, 2012

Humraahi..!

Mera badmast maazi
Woh aulade shaddadi
Aaj phir humraah hui
Raasta ek tha,
Magar,
Manzilein juda...
Na usse koi khauf tha
Na mujhe koi darr
phir bhi,
Railway station ki seedhiyan
Tey karna dushwaar tha
Darmiyan faasla
Mahez 2 fit
Magar
Ab na woh mere khwaab ki malka
Na mein uski shaam ka sooraj
Na usse meri zaroorat
Na mujhe uska intezaar
Kabhi humrah the
Kabhi nazron mein jeete the
Aur aaj nigahein jhukaye
Ek-duje se Qatrate huwe,
Ek hi raaste pe gaamzan
Chalte rahe chalte rahe
Aur
Mashriq-Maghrib ho liye!
- Khan M. Asim... 03/07/2012... 12:43 AM!