Tuesday, January 20, 2015

Inn hasraton ka koi aasmaan bhi hoga!

Dil-e-naatwaan ka koi paasbaan bhi hoga
Inn hasraton ka koi aasmaan bhi hoga

Pur-khaar hain jo raahein gulzaar bhi banengi
Hum taajdaar honge aisa jahaan bhi hoga

Phabtiyon ka lamha, khilwat mein aah o zaari
Aur Yeh udaas lamha kabhi shaadmaan bhi hoga

Yeh dhundlakon ka saaya kaisi ajab hai maaya
Aye kaamraani Tera koi nishaan bhi hoga

Manzil ki raah dikhaye koi Khizar toh aaye
Haan sang-e-meel koi caravaan bhi hoga

Kya aasmaan yahi hai saara jahaan yahi hai
Shams o qamar ke kuch toh darmiyaan bhi hoga

Meelon Yeh chalte rehna kabhi paidaar hoga
Mumbai tere jigar mein apna makaan bhi hoga

Tehzeeb se beparwah haq baat jo kahega
Ik be-lagaam hum sa koi badzubaan bhi hoga

Ik toh gulabi sardi, tanhaiyaan bedardi
Asim koi jahaan mein hum sa jawaan bhi hoga!
- Khan M. Asim... 22/12/2014... 03:30 AM!

No comments: