Tuesday, January 20, 2015

Maut...!

Maut...
Aakhir tu kyun nahin aati?
Zeest se hairaan
Hum tishna labon ko
Seraab kyun nahin karti?
Har jaanib...
Ik dhuwan hai
Aah hai, fughan hai
Zahen muqeed hai
Har aarzu baeed hai
Agar kuch hai toh bas
Naumeedi, yaas hai..
Zarkhez khwaabon ki
Lehlahati ta'beer
Khizaan raseedah hai
Shariyaanon mein
Laava ubal raha hai
Dil dahek raha hai
Yeh abr aalood fiza
Kabhi roshan o munawwar hogi?
Kab chatengey Yeh siyaah baadal?
Kya koi intehaa bhi hai?
Sitaare toot kar..
Gir rahe hain, mar rahe hain
Waqt, taareek azdaha
Sab kuch nigal raha hai
Ek kal hai
Aata hai, guzar jaata hai
Magar...
Kabhi na khatam hone wala
Intezaar...
Door, bahut door tak
Phaila hua intezaar..
Aur uspe,
Yeh be-asar naaley
Bemuravvat pal..
Dard ka aatishfishaan
Aur jhulasti khudi
Aakhir Yeh imtihaan kab tak?
Khatam kar de Yeh intezaar
Apni baahon mein bhar le
Mujhe khud mein sama jaane de
Mein Tera hun
Mujhe apna bana le
Maut tu umeed hai
Maut tu hi zindagi hai
Maut tu mehbooba hai
Maut tu hi ishq hai...
Aaja...
Aur mukammal karde
Khud ko bhi..
Aur mujhko bhi..!
- Khan M. Asim... 08/01/2015... 12:28 AM..!

No comments: