Saturday, December 02, 2017

Dil ki lagi mein milta kise qaraar yahan..!

Dil ki lagi mein milta kise qaraar yahan
Gumshada hai kahin raah-e-farar yahan
Muhabbaton ke lamhe bichad gaye hum se
Na dardmand yahan na dast-e-yaar yahan
Pukarna unko toh khud kalami kabhi
Panap raha hai faqat inteshaar yahan
Hua yeh aalam ke lut gaye Hain hum
Kise mila hai kismat pe ikhtiyaar yahan
Unhin ko milti hai aksar burai yahan
Talash karte hain Asim jo pyaar yahan!
- Khan M. Asim... 26/04/2016... 10:38 AM.. Train..!

Yaad unki aa rahi hai aaj phir!

Diwangi sar chadh rahi hai aaj phir
Bekhudi si chaa rahi hai aaj phir
Mein kahin hun woh kahin hai dekhiye
Zindagi ghabraa rahi hai aaj phir
Shaam se tanha hai taara chand bin
Aur ghata bal khaa rahi hai aaj phir
Tishna lab hai ik parinda dekhiye
Aur nadi itraa rahi hai aaj phir
Aansuon ka ek dariya ban chukaa
Kya paher dikhlaa rahi hai aaj phir
Do qadam do chaar lamhe hum chale
Aur thakan tadpa rahi hai aaj phir
Saans phir ukhdi hain ASIM kya karein
Yaad unki aa rahi hai aaj phir!
- Khan M. Asim...23/04/2011... 9:45PM!

Sab kuch bhula dia hai goya ke pyaar mein..!

Sab kuch bhula dia hai goya ke pyaar mein
Hum bhi deewana-waar hain ku-e-yaar mein
Karte hain yunhi uska mehfil mein tazkarah
Khoya hai har khayaal uske khumaar mein
Aksar o beshtar hain taghaful ka hum shikaar
Beshak wasih hai faasla uske mayaar mein
Aatish o ik sharaar hain nigaahein adu ki
Milti kahan hai zindagi raah-e-faraar mein
Chu-ne ko machalte hain magar chu nahin sakte
Kaisi hai yeh judai Asim bahaar mein!
-Khan M. Asim... 14/04/2016... 01:43 PM..!

Shab-gazidah..!

Raat jawaan hai
Chaand abhi paida hua hai
Magar sitaarey budhey hain
Wahi purani tees hai
Jo andar se khol rahi hai...
Wahi ubaal hai wahi shor hai
Wahi shiddat wahi zor hai
Aur wahi kamzor siskiyaan bhi
Jawaan raat, naya chaand
Sabhi tamashayi hain
Ek tanhayi hai jo jhoom rahi hai
Akelapan hai ke gunguna raha hai
Ek khilwat hai jo naach rahi hai
Yahan saaqi bhi, paimana bhi,
Sharaab bhi, meikhana bhi,
Sab mein hi hun...
Lamhey meri paazeb hain
Aur mein hi koi dulhan hun
Khud hi se apna yaraana
Khud hi se apna ishq hai
Yeh raat bhi beet jayegi
Aur din ka ujala
Phir ussi dard ka mutlaashi hoga
Jo shab ko naagin bana deta hai
Aur mujhe,
Shab-gazidah..!

- Khan M. Asim.. 09/04/2016... 02:09 AM..!

Kahin bhaag jaon..!

Mann karta hai
Kahin bhaag jaon
Meelon tak bhaagta rahun
Na rukun, na mudun
Na thamun, na saans lun...
Ek tareek viraane mein
Kisi bayabaan mein
Kisi Sehra mein
Kisi dariya ke gehrayi mein
Jahan sirf khila ho
Zulmaat ke aangan mein
Koi suraj na ugta ho
Jahan na aadam ho
Na aadamzaad
Na hawa ka guzar ho
Aur na roshni ka
Jahan na ho yeh duniya
Aur na yeh duniya ke log
Aisi siyaahi mein duba lun khudko
Ke mein khud hi siyaah hojaon
Tareeki hi lahed ho
Siyahi kutba ho
Aur andhera maqbara ho mera..!

- Khan M. Asim... 03/04/2016.. 12:00 Noon..!

Quwwate parvaaz nahin..!

Ek mehwar pe zamin
Atki hai azal se
Bhaagna chahti hai
Magar quwwate parvaaz nahin
Uski tadpan ko samajhta hun...
Magar karun kya mein
Ishq mehwar hai mera
Magar karun kya mein
Ek aatish hai, tapish hai
Khalish bhi hai, kashish bhi
Usko maloom hai sab
Magar karun kya mein
Ek pur-azm sipahi hai
Jo ladhta hai sabhi se
Ek aashiq hai, shayer hai
Jo darta hai sabhi se
Mujh mein baste hain kayi log
Magar karun kya mein
Uski tareef mein
Ghazlon ko siya hai meine
Uski furqat mein
Ashkon ko piya hai meine
Jism chalni hai mera
Rooh bhi majrooh hai bahut
Woh bhi shahid hai muhabbat ki
Magar karun kya mein
Aaj khilwat mein
Khayaal uska hai zahen pe qabiz
Fahem o idraaq
Mafroor hain, samajh hai naqis
Dil bhi kehta hai
Chalo usse hi karein kuch baatein
Haath mein tasveer hai uski
Magar karun kya mein
Yun toh zaalim hai
Magar mazloom bhi hai
Ishq fitna bhi hai
Ishq sukoon bhi hai
Yun toh usne bhi kayi baar
Izhaar kia hai mujhse
Uski aankhon mein bhi hai pyaar
Magar karun kya mein..!

- Khan M. Asim... 27/03/2016... 02:30 PM..!

Chaahna bhi zaroori hai..!

Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!


Hain tumse keh rahe dilbar
Hai shola dil ke ik andar
Jab se aankh kholi hai
Tumhara naam honton par
Sisakna bhi zaroori hai
Tadapna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!


Khayalon mein tujhe socha
Khwaabon mein tujhe dekha
Teri tasveer ko chuma
Duaon mein tujhe maanga
Nigaahon se nigaahon ko
Takna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Milna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai
Ladhna bhi zaroori hai
Muhabbat aazmaane ko
Bichadna bhi zaroori hai
Chaahna bhi zaroori hai..!
- Khan M. Asim... 18/03/2016... 07:50 AM..!

Aur khuda tamashayi..!

Raat aur taareeki
Tanhayi aur ghum
Chubhte lamhe
Musalsal koft
Dil soz aatish...
Bikhre huwe khwaab
Aur mein...
Judna chahta hun
Magar taar taar
Bheetar tak majrooh
Moride ilzaam kaun
Kis ko mujrim kahun
Kis ki sifarish karun
Dum todti ummeed
Magar pukhta imaan
Aas roz-e-roshan ki
Lekin...
Yeh zarb hoti zarbein
udhed bun, beem
Justuju khud ko paane ki
Koshish usko samjhaane ki
Abhi tak faqat nakaami
Magar
Wujood hai toh yaqeen hai
Mehnat raaigaan na jayegi
Milegi mujhko,
Usse milna hi hoga
Chaahe zameen doz hi ho
Zeest se gila kaisa
Agar khuda ki marzi hai
Phir sab bekaar hai
Drama hai
Ishq bhi tamasha hai
Husn bhi tamasha hai
Aur khuda tamashayi..!

- Khan M. Asim... 16/03/2016... 02:01 AM..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena.. Edited!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena
Kitna mushkil hai koi naam kisi ko dena


Aaj aankhon se hai aankhon ki mulaaqaat ka din
Reh ke khaamosh hai Paighaam kisi ko dena



Khwaab adhoore hain agar is ka sabab bhi hum hain
Kyon ye tuhmat dil e naakaam kisi ko dena


Hum ko baandhe hai ye jazbaat ki kaisi zanjeer
Khud sulagna magar aaraam kisi ko dena


Dard sehte hain magar ye naheen lagta behtar
Taanah e gardish e ayyaam kisi ko dena


 Tumko haalaat ne Asim di sar e aam saza
 Tum saza yoon na sar e aam kisi ko dena!
- Khan M. Asim... 28/02/2016... 10:51 PM.. Edited by Obaid Azam Azmi..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena..!

Kitna aasaan hai ilzaam kisi ko dena
Kitna mushkil hai naam pe tohmat sehna


Unse aankhon mein mila ke aankhein
Baat bhi kehni hai aur hai chup bhi rehna
...
Muntashir hain ke khwaab adhoore nikle
Aur hai mushkil ke khwaab hai unse kehna


Humko baandhe hai jazbaat ki kaisi zanjeer
Raat bhar qaid mein tanha sulagte rehna


Dard sehne mein maharat bhi hui hai Asim
Warna mushkil tha halaat mein zindah rehna!
- Khan M. Asim... 28/02/2016... 10:51 PM..!

Jism ek ghar hai..!

Jism ek ghar hai
Jis mein rooh basti hai
Faqat woh ishq karti hai
Faqat tumpe woh marti hai
Muhabbat ke charaghon se...
Hazaaron armaan khilte Hain
Hazaaron khwaab jagte Hain
Isse takleef na do tum
Zara si ik thasak se bas
Yeh armaan na bikhar jaayein
Kahin na Khwaab mar jaayein
Woh Rooh beghar na hojaye
Mujhe ulfat se dekho bas
Mein har lamha tumhara hun!
- Khan M. Asim.. 26/02/2016... 02:08 AM..!

Khokhlapan..!

Aadmi ko tod deta hai
Jaan ke hote huwe
Bejaan hone ka ehsaas
Sharyano o vareed ka
Daudta ubaal...
Sab kuch hote huwe bhi
Kuch na hone ka khokhlapan..!

- Khan M. Asim.. 22/02/2016..!

Bekhwabi..!

Shab ki aakhri paher
Kaanpta dil
Aur
Maut ki aahat..
Anjaan tarangein...
Zahen ko bedaar karti hain
Bad-hawasi o bekhwabi
Jism ko nichod rahi hain
Ajeeb uzr hai
Zehen maflooj hai
Neend ka shaiba tak nahin
Shor hi shor
Khoon kharaba
Awaazon ka hujoom..
Koi jung chidi ho jaise...
Bas ek bahes hai
Khud se, muhabbat se
Woh muhabbat
Jo ab chidhaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jo ab jalaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jis se dil bezaar hai
Woh muhabbat
Jo bilkul bekaar hai
Ajeeb aalam hai khudkalami ka
Bekhudi bhi ab
Tukdo mein bat chuki hai
Tamam manzar siyaah ho chuke
Doob rahi hai har umeed
Subah ka tara bhi ghata mein hai
Chaand poonam ka hai
Ya amavas hai
Kuch sujhai nahin deta
Yeh taareekiyon ka safar
Bada taweel hai
Aur safar hi goya manzil bhi
Yeh tareekiyan hi noor banengi
Aur yeh jism usi mein dhal jaayega
Tab talak,
Kashmakash jo jaari hai
Isko saansein mazeed dete hain
Aadmi aadmi ka dushman hai
Aadmiyat badi bhayanak hai
Kaun jaane ke kaunsa kona
Uski turbat, makaan ban jaaye
Itni islaah magar zaroori ha
Ke aadmi deshbhakti mein
Kum az kum insaan banjaaye..!

- Khan M. Asim... 22/02/2016... 03:10 AM..!

Adalat ke darwaazon tak..!


Zindagi,
Rangeen se
Safed-kaali hogayi
Ek aur karvant
Safar-e-hayaat mein...
Zulm aur aahon se
Insaaf ki panaahon tak
Sahafat ke galiyaaron se
Adalat ke darwaazon tak
Ghoomti ghaamti
Dar ba dar
Faaqon se tilmilaati zeeest
Ek tawaif
Daulat ki pujaran,
Zindagi
Kheir..
Jo bhi hoga
Dekhenge..!

- Khan M. Asim... 11/02/2016... 03:15 PM... Advocates' room, City Civil and Sessions Court, Bombay..!

Yeh saalgirah mukhtalif hai..!

Pichli bahaaron se
Yeh saalgirah mukhtalif hai
Ab woh kashmakash nahin baaqi
Ab woh justuju zara kum hai
Magar aarzuon ke kohsaar...
Qayam Hain
Tamannaon ke jazeerey
Tishna Hain
Nigaahon ki betaabi
Ab bhi taab rakhti hai
Khayalon pe
Tumhari hi hukumat hai
Ehsasaat pe tumhara raaj
Dil-e-naatwaan tumhara aseer
Abhi bahut si basant aayengi
Magar tab sukoon hoga
Chunke,
Intezaar ke lamhey khatam hone ko Hain
Yeh saal, yeh saalgirah
Sang-e-meel honge
Bahut jald
Musafir ko manzil milegi
Bahut jald
Aye dilnasheen
Yeh khanabadoshi khatam hogi
Hum ek honge
Aur hamara apna jahaan
Yeh saal bahut Mubarak hai
Yeh bahaar azeem hai
Mubarak Mubarak
Zindagi ka yeh haasil..!
Happy Birthday Arpi  
- Khan M. Asim... 02/01/2016... 11:39 PM..! Happy Birth Day Arpita Aparna Sarkar