Saturday, December 02, 2017

Bekhwabi..!

Shab ki aakhri paher
Kaanpta dil
Aur
Maut ki aahat..
Anjaan tarangein...
Zahen ko bedaar karti hain
Bad-hawasi o bekhwabi
Jism ko nichod rahi hain
Ajeeb uzr hai
Zehen maflooj hai
Neend ka shaiba tak nahin
Shor hi shor
Khoon kharaba
Awaazon ka hujoom..
Koi jung chidi ho jaise...
Bas ek bahes hai
Khud se, muhabbat se
Woh muhabbat
Jo ab chidhaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jo ab jalaane lagi hai
Woh Muhabbat
Jis se dil bezaar hai
Woh muhabbat
Jo bilkul bekaar hai
Ajeeb aalam hai khudkalami ka
Bekhudi bhi ab
Tukdo mein bat chuki hai
Tamam manzar siyaah ho chuke
Doob rahi hai har umeed
Subah ka tara bhi ghata mein hai
Chaand poonam ka hai
Ya amavas hai
Kuch sujhai nahin deta
Yeh taareekiyon ka safar
Bada taweel hai
Aur safar hi goya manzil bhi
Yeh tareekiyan hi noor banengi
Aur yeh jism usi mein dhal jaayega
Tab talak,
Kashmakash jo jaari hai
Isko saansein mazeed dete hain
Aadmi aadmi ka dushman hai
Aadmiyat badi bhayanak hai
Kaun jaane ke kaunsa kona
Uski turbat, makaan ban jaaye
Itni islaah magar zaroori ha
Ke aadmi deshbhakti mein
Kum az kum insaan banjaaye..!

- Khan M. Asim... 22/02/2016... 03:10 AM..!

No comments: