Saturday, December 02, 2017

Shab-gazidah..!

Raat jawaan hai
Chaand abhi paida hua hai
Magar sitaarey budhey hain
Wahi purani tees hai
Jo andar se khol rahi hai...
Wahi ubaal hai wahi shor hai
Wahi shiddat wahi zor hai
Aur wahi kamzor siskiyaan bhi
Jawaan raat, naya chaand
Sabhi tamashayi hain
Ek tanhayi hai jo jhoom rahi hai
Akelapan hai ke gunguna raha hai
Ek khilwat hai jo naach rahi hai
Yahan saaqi bhi, paimana bhi,
Sharaab bhi, meikhana bhi,
Sab mein hi hun...
Lamhey meri paazeb hain
Aur mein hi koi dulhan hun
Khud hi se apna yaraana
Khud hi se apna ishq hai
Yeh raat bhi beet jayegi
Aur din ka ujala
Phir ussi dard ka mutlaashi hoga
Jo shab ko naagin bana deta hai
Aur mujhe,
Shab-gazidah..!

- Khan M. Asim.. 09/04/2016... 02:09 AM..!

No comments: