Saturday, December 02, 2017

Quwwate parvaaz nahin..!

Ek mehwar pe zamin
Atki hai azal se
Bhaagna chahti hai
Magar quwwate parvaaz nahin
Uski tadpan ko samajhta hun...
Magar karun kya mein
Ishq mehwar hai mera
Magar karun kya mein
Ek aatish hai, tapish hai
Khalish bhi hai, kashish bhi
Usko maloom hai sab
Magar karun kya mein
Ek pur-azm sipahi hai
Jo ladhta hai sabhi se
Ek aashiq hai, shayer hai
Jo darta hai sabhi se
Mujh mein baste hain kayi log
Magar karun kya mein
Uski tareef mein
Ghazlon ko siya hai meine
Uski furqat mein
Ashkon ko piya hai meine
Jism chalni hai mera
Rooh bhi majrooh hai bahut
Woh bhi shahid hai muhabbat ki
Magar karun kya mein
Aaj khilwat mein
Khayaal uska hai zahen pe qabiz
Fahem o idraaq
Mafroor hain, samajh hai naqis
Dil bhi kehta hai
Chalo usse hi karein kuch baatein
Haath mein tasveer hai uski
Magar karun kya mein
Yun toh zaalim hai
Magar mazloom bhi hai
Ishq fitna bhi hai
Ishq sukoon bhi hai
Yun toh usne bhi kayi baar
Izhaar kia hai mujhse
Uski aankhon mein bhi hai pyaar
Magar karun kya mein..!

- Khan M. Asim... 27/03/2016... 02:30 PM..!

No comments: