200
Kahin charag kahin dil jata hai
Sooraj yunhi roz dhalta hai
Ik tapish hai ajeeb seene mein
Saara mausam yunhi nikalta hai
Roz takte hain uski aahat ko
Jis ki aamad se dum nikalta hai
Taras rahe hain usi ke jalwe ko
Jisko lamha bhi saath khalta hai
Ek udaasi wafa nibhati hai
Hum bhi kehte hain saath chalta hai
Badalon mein chupa hai har aansu
Saara manzar yun hi pighalta hai
Kaise Asim kahin qaraar mile
Ek aata hai ek talta hai!
- Khan M. Asim...08/12/2010...09:50PM...Train!
Well friends this is my 200th poem on this blog. And here i dedicate it to Syed Salman Bhai, who encouraged me to finish it ASAP! and to those who love me!
10 comments:
Congratulations Asim..
This is something to be surely taken pride of. ;)
All the best... keep writing...
Cheers
Tnx Arpi :)
Amazing. Although the language cripples my ability to understand. But surprisingly I did understand some of it. The linkage from a oil light to Sun to the seasons....amazing. You surely have a gift. And its awesome that your building on it. Keep it up.
One question. When are you going to compile it all and release a book???
congratulations buddy.. hope your future poems are written with the same excitement & conviction as these 200
200 veeN nazm Blogspot.com pe aane par Asim khan sahab ko dil ki gehraaiyoN se mumbarakbad.iss Navjawaan Shair ne Bahot Mukhtasar si Muddat mein Ahl-e-ilm-o-fun ki nazar mein apni aik shanaakht qayem karli hai.Meri duaa hai ki Asim Khan sahab ka ye shayarana safar isee josh-o-khrosh ke saath jaari rahe.aameen.
OBAIDAZAMAZMI
@Hoze ..tnx, lets see, i hv a long way to go yet...
Ebu.. tnx i ll gv my best...
Obaid bhai - bas aap buzurgon ki sarparasti hai... mein jaanta hun aap abhi jawaan ho magar, aap ki shairy bahut taweel safar teh kar chuki hai... bas aap se seekhna chahta hun :)
Hal se apne Begane Hain, Mustaqbil ki fikr Nahin, Logon ye Bachpan ka Zamana Kitna acha lagta hai......its like u Jaaani
Duaen Tere sath hain...
Danish Reyaz
Shukria Danish bhai :)
Syed Salman:
Badalon mein chhupa hai har aansu,
Saara manzar yunhi pighalta hai.......
Bahot khoobsoorat ehsas....
Mubarakbaad qubul karo apni ghazlon ki double century poori karne ko....
Silsila thamne na paaye...
Lage raho asim bhai....
Aur han,tah e dil se shukriya apne is shahkaar ko mujhe nazr karne ka..
Allah tumhari har mushkil aasan kare....
:-) :-) :-)
Post a Comment