Kehte ho insaan nahin hun!
Kehte ho insaan nahin hun
Sach hai bas darbaan nahin hun
Muaaf kare jo har ghalti ko
Insaan hun bhagwaan nahin hun
Nisaar karun jo duniya tum pe
Haan itna maherbaan nahin hun
Raqss karo bas unki mehfil
Kya mein qadardaan nahin hun
Baat kahun jo sachchi sachchi
Mein rabb ka farmaan nahin hun
Kyun kehte ho mushrik, kaafir
Kya mein musalmaan nahin hun
Haath laga ke chod dun yunhi
Itna bhi anjaan nahin hun
Har kone mein ghaat lagaon
Haan koi shaitaan nahin hun
Mil jaon jo tum ko rabb se
Mein koi vardaan nahin hun
Saat samandar paar hai kashti
Mallah hun Rehmaan nahin hun
Khel rahi hain aag ki laptein
Bachcha mein naadaan nahin hun
Kyun dete ho mujh ko phaansi?
Mein qaatil, haiwaan nahin hun
Bol rahi hai door se manzil
Rasta mein aasaan nahin hun
Sher na dhundo mujh mein achche
Ghalib ka diwaan nahin hun
Jin-o-ins pe raaj kare jo
Dawoodi sultaan nahin hun
Lutne dun jo apni daulat
Turkon ki mein shaan nahin hun
Bina wazoo har koi chu le
Maanavi Quraan nahin hun
Kyun ruthega Allah mujh se
Firaon o haamaan nahin hun
Kaise bataon mann ki khwahish
Khud apni pehchaan nahin hn
Shaher Shaher kyun qatal o ghaarat
Mein basti viraan nahin hun
Tum kehte ho pyaar nahin hai
Phir bhi mein hairaan nahin hun
Bila wajah hi sar chadh jaaye
Mein jhoota armaan nahin hun
Udd jaaye jo tum ko lekar
Mein koi toofaan nahin hun
Zara tapish se yun dhal jaaye
Shab ka mein heejaan nahin hun
Dard, asar hai dil mein hota
Paththar mein bejaan nahin hun
Roop badalte der hai lagti
Asim hun, Salmaan nahin hun!
- Khan M. Asim...Began at 7:30PM on 11/01/2011...with many intervals, at 2:23 AM, 12/01/2011...finsihsed 4:46AM...12/01/2011!
4 comments:
Hey asim... I loved it! simply loved it.. Its awesome.. flawless.. this is one of your gem... right from heart... wonderful... :)
and I wont ask you to write more like this often... Your fans love seldom blasttttt appearances like this... :)
Cheers
take care
ohhh...........aur ab mein kya kahun, alfaaz ka mohtaaj jo hun! bas tahe dil se shukria!
aapki nawazish hai sarkar ji!
its one of ur bests..awesumme it is...enthralling..appealing..m unable to get out of it..i've never read such an entertaining gazal or shayri..its amazin..and i'll stick to "one of your bests"...!!! kudos to u to have written such a multidimensional art piece...vaah..!!!
kya baat hai khushboo ji... aapki baaton se bhi khushboo aati hai.. shukria :)
Post a Comment