Thursday, January 31, 2013

Aaludah zahen hain..!

Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain
Aaludah fahem hain aaludah fahem hain
Yeh aaj ke rehbar ghaddar-e-aman hain
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain..!

Achche ko bura kehte hain sachche ko kahein jhoota
Sab logon ne mil kar ke mere desh ko hai loota 
Har shakhs ki fitrat mein basa dhoka yahan hai
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain..!

Khanjar ko chala dete hain muskaan dikha ke
Hindu ko musalmaan ko aapas mein ladha ke
Yeh saare anasir hain insaan nahin hain
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain..!

Hai jitna bada afsar utni hai badi rishwat
Mazdoor ko milti nahin mehnat ki magar ujrat
Har shakhs yahan apni daulat mein laga hai
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain..!

Pardeh mein chipi shey ko mehfil mein nacha ke
Yeh khush hain bahut hote hurmat ko mita ke
Mushkil mein bahut aaj haan desh pada hai
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain..!

Kaala hai hua sona, hai joonjh rahi maishat
Mushkil mein mohabbat hai, hai jeet rahi nafrat
Siyasat ke pujari ne kholi hain dukanein
Aaludah zahen hain aaludah zahein hain
Yahan sab logon ke aaludah zahen hain..!

- Khan M. Asim... 30/01/2013... 02:50 PM... Train..!

Saturday, January 26, 2013

**Happy Republic Day India**


Hind ek imarat hai buland, Hind pyara hai chaman 

Hind ki khaak se milte hain Gandhi o Zafar ke partu

Ghair se ladhte rahey, khoon se seencha watan ko

Kisko maloom tha jamhuriyat mein milenge daaku! 

- Khan M. Asim... 26/01/2013...12:10 AM! 
    

**Happy Republic Day India**

Thursday, January 24, 2013

Musafir ki Manzil..500..!

Chalte raho musafir
Tum chalte raho
Yahi hai manzil tumhari
Tum chalte raho..!

Dil tumhara hai aashna
Hai raasta tum pe fida
Chalte raho musafir
Tum chalte raho..!

Dil se hum ko tum se
Kuch bhi na kehna
Achcha lagun ya bura
Muasfir chalte hi rehna

Chalte raho musafir
Tum chalte raho..!

Dil toh hai aisa musafir
Kaanch ke jaisa
Paththar phenk do ik tum
Hojayenge tukde yahan

Chalte raho musafir
Tum chalte raho..!

Aaj tum ko kaatna hai
Yeh raasta tanha
Paas hai manzil tumhare
Musafir chalte hi rehna

Chalte raho musafir
Tum chalte raho..!

- Khan M. Asim... 22/07/1997... Poem number 500 on Blog..!


Dear friends,


I am very excited to post my 500th poem here on this blog. As I have done it earlier, again this time am posting one of my old poem. This poem is of a time when i was learning how to hold a pen. The childhood poem still have its relevance in my life as am still struggling. The poem is the interaction between the traveler and his path while walking towards the destination.  I welcome your comments here.

Thank You :)




Wednesday, January 23, 2013

Zara sa noor dedo tum..!


Abhi uljhan hai saanson mein
Abhi hai dard aankhon mein
Zara sa noor dedo tum
Abhi hai dhund raahon mein 
Zara sa saath dedo tum
Zara kuch der thehro tum
Zara si baat kehne do
Zara si baat sunlo tum
Abhi toh baat karni hai
Mohabbat pe, siyasat pe
Tumhare zaaviye dekhun
Qayadat pe, adalat pe
Tum hi mushfik tum hi naaseh
Tum hi ghaflat tum hi waiz
Bahut majrooh dil hai yeh
Tum hi nashtar tum hi jarrah
Magar yeh baat bhi hai such
Tumhara naam hai leta dil
Nahin bhatka hun raahon mein
Tumhe jab se jaana manzil
Bahut ranjoor bhi hun mein
Bahut mashhoor bhi hun mein
Bahut majboor gar hun mein
Bahut mashkoor bhi hun mein
Kahein kya aur jaaneman
Humein ik sang hai behna
Na hi nala, na hi shikwah
Tumhare saath hai rehna..!

- Khana M. Asim... 23/01/2013... 01:48 AM!

Monday, January 21, 2013

Teri yaadein toh ik bahana tha..!


Saher ki angdaiyan jaga beithin
Teri yaadein toh ik bahana tha

Khwaab takra rahe hain duniya se
Hum ko Milne kahin toh aana tha

Raat jugnu phirey diwaana sa
Sang taaron ke ik fasana tha

Dil sawali raha dum bhi nikla nahin
Hum ko aankhon mein doob jaana tha

Mujh ko qaatil se bas itna shikwa raha
Qatal karte mujhe muskurana tha

Hum se ghaflat rakhi aur kya na kaha
Usko ASIM faqat dil jalana tha..!

- Khan M. Asim... 21/01/2013... 07:10 AM... And "Maqta" 12:13 PM!

Friday, January 18, 2013

Public Announcement


Public Announcement: I would like to inform everyone that a boy called Saad Ansari was my classmate during my BMM Course, I knew about his academic activities till 2007. Since then am not in touch with him and have no knowledge of his whereabouts. Around 5-6 months back he all of a sudden deleted me from his Facebook friend list. Since last few months I am regularly getting calls from different Banks and Courier services regarding his details and requests to receive his parcels as he has given my name and number in reference (without my knowledge). Regarding it I had spoken to his father a month back. Recently, when I formatted my mobile I lost his contact details. Although I had warned him and requested to his father but the harassment is still continued and am regularly getting calls for his details. 

It seems he deliberately deleted me from Facebook so then people can't find his details and has planned something wrong and intends to implicate me in that. For his reference I feel his father would be the best candidate. 

I hereby declare that, I am distancing my self from Saad Ansari to whom I haven't met since more than 2 years. And if I further received these calls I would file a police complaint. People who are in touch with Saad Ansari please inform him. 

Thursday, January 17, 2013

Kyun har sapna bikhar raha hai..!


Kyun har sapna bikhar raha hai
Kyun har lamha akhar raha hai
Saansein uljhi uljhi kyun hain
Kyun manzar phir utar raha hai..! 

Mann ki sheli, prem ki shala
Hum ne tum ko dil de dala
Dharam adharm na dekha hum ne
Phir kyun jeevan mein ghotala
Kyun yeh aansu mukar raha hai
Kyun har sapna bikhar raha hai..!

Sooraj tum ko, chanda jaana
Aur nainon ko ik maikhana
Bas tum mein makhmoor rahe hum
Bhool gaye sab khana vaana
Kyun yeh darr phir ubhar raha hai
Kyun har sapna bikhar raha hai..!

Jab na boojhi koi paheli
Tum ko jaana sakhi saheli
Tum Asim ki geet haveli
Phir kyun duniya hui akeli
Kyun har taara marr raha hai
Kyun har sapna bikhar raha hai..!
- Khan M. Asim... 17/01/2013... 01:50 PM!

Monday, January 14, 2013

Khauf ke Lashkar..!


Jab khud se jeetne lagta hun
Mein tum se haar jaata hun
Muqaddar ki paheli boojhun kya
Mein khud hi naas peeta hun...
Jab lamhey istawaar hone lagte hain
Hatheli ki lakeerein gudgudati hain
Kahin sehra se aakar meri duniya mein
Tumhare khauf ke lashkar
Fasal ko rondh dete hain 
Tumhe iss tilsm se khadsha hua hai
Magar ik aaina hai danishmandi ka
Zara ik nazar usse nihaaron tum
Mujhe maloom hai ghaib ko phir tum
Gul o gulzaar paogi
Yeh khauf, wehshat meri jaana
Tum sab kuch bhool jaogi...
Meri kashti ki patwaar ho tum
Humein iss bhanwar se aage nikalna hai
Hamari kaamraani muntazir hai
Tumhe bas muskurana hai
Aur mere saath chalna hai..! 
- Khan M. Asim... 14/01/2013... 11:02 AM!

naas peeta - ruined person, boojhna - guess, understanding, Istawaar - determined, secured, sehra - desert, khauf - fear, lashkar - army, fasal - crop, rondhna - sabotage, to crush, Tilsm - talisman, Khadsha - worry, fear, apprehension, Aaina - mirror, Danishmandi - wisdom, nihaarna - mingling, ghaib - unseen, future, wehshat - horror, kashti - boat, patwaar - rudder, helm, bhanwar - whirlpool, kaamraani - success, muntazir - awaiting!

Saturday, January 12, 2013

Shikha..!


Thoda natkhat mizaaj rakhti hai
Baat dil ki magar woh karti hai

Baat sunta nahin mein jab uski
Baat karte huwe bhadakti hai

Raat din guftugu se jaana hai
Ladki tanahaiyon se darti hai

Saath uske rahe jo har lamha
Aise saathi ki raah takti hai

Hum ko uss Shikha se milna hai
Door se hum pe jo garajti hai

Hukum ASIM pe woh chalati hai
Kher, haq hai so akadti hai..!

- Khan M. Asim... 10/01/2013... 12:09 PM... Happy Birthday Shikha, May Allah Bless you with the best and fulfill all your dreams and desires :)

Wednesday, January 09, 2013

Musafir tu hi hai manzil..!


Tere jalweh ko tarse dil
Musafir tu hi hai manzil
Hamarey paas tu hai gar
Humein sab kuch hi hai haasil..!

Nigaah takti hain raahon ko
Hata do inn ghataon ko
Mere din raat bas janam
Tadapte teri baahon ko
Mere naley fughahon mein
Faqat ik tu hi hai shaamil
Tere jalweh ko tarse dil
Musafir tu hi hai manzil!

Zara tujh se jo bichde hum
Kasak lagti hai aahista
Tera mera yeh bandhan hai
Janam janmaan ka rishta
Hamara aaj, kal jaana'n
Faqat tujh se hi hai kaamil
Tere jalweh ko tarse dil
Musafir tu hi hai manzil
Hamarey paas tu hai gar
Humein sab kuch hi hai haasil
Tere jalweh ko tarse dil
Musafir tu hi hai manzil! 
- Khan M. Asim... 09/01/2013... 1:35 PM!

Sunday, January 06, 2013

Sard Raatein..!


Yeh sard sard raatein
Yeh musalsal Teri baatein
Yeh jism pur hararat
Yeh sisak sisakti aahein
Yeh dard dil se uthta
Yeh hont kapkapate
Hai nigah muntazir bas
Tujhe dhundte hain lamhe
Tera aks aks choomey
Meri chahaton ke badal
Tujhe kab khabar Hui hai
Yahan hum huwe hain pagal
Tujhe dekhta rahun bas
Tamanna yeh ke Chu lun
Teri rooh mein utarkar
Mein noor saara pee lun
Abhi waqt hai Tu aaja
Mere jism mein sama ja
Mere saath gunguna le 
Tu chahaton ke naghme 
Haan yeh haseen sa'at
Pukarti hai hum ko
Aao ke milke isko
Gulzaar hum banayein
Hum se nazare chehkein
Aur phool khilkhilayein
Aao ke mil ke hum tum
Lamhon ko aazmaayein
Geisun ke peich o khum mein
Har ghum ko bhool jayein
Masgan tale jiyein hum
Palkon mein doob jayein
Saghar mera bano tum
Mujh ko bana lo jaam
Duniya ke bhool jao
Janam hazaar kaam
Lazzat hai vasal mein bas
Faqat dard hijr dega
Jo aaj yaan hai Asim
Shayad na kal milega..!
- Khan M. Asim... 06/01/2013... 01:36 AM..!

Saturday, January 05, 2013

Uski mohabbat farze kifaya..!


Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya
Jab jee chaha bhool gayi woh
Jab jee chaha dil se lagaya..!

Raat jalun mein jun parwana
Toot raha har taana baana
Khud se hui hai humko ranjish
Aks se apne hi ghabrana...
Kya bolein ab yaaron uss se
Jisne chahat ko hai dabaya
Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya..!

Dard ka ik hai lamba sehra
Ek musafir bas mein thehra
Chaaron aur hai phaila kohra
Dhundla dhundla uska chehra
Kis se ab hum raah ko poochein
Rehbar ne hum ko bhatkaya
Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya..!

Saare jungle shor macha hai
Ek shikaari aa pahuncha hai
Bheid diye hain jis ne ta'ir 
Jis ne qudrat ko nocha hai
Kis se karna uski shikayat
Jis ne jungle ko hai jalaya
Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya..!

Jis ko bakhshi sab aasaish
Uss ne ki hai hum se numaish
Phir bhi usse bair nahin hai
Hum rakhte hain neik khuwahish
Usko hum ne muaf kia hai
Jis ne ASIM ko tadpaya
Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya...
Jab jee chaha bhool gayi woh
Jab jee chaha dil se lagaya
Meri mohabbat farze ai'n, 
Uski mohabbat farze kifaya..! 

- Khan M. Asim... 05/01/2013... 12:11 AM..!

Thursday, January 03, 2013

Happy Birthday Arpi :)


Tujh se sundar nahin kahin koi
Chaand tujh se nazar churata hai
Teri aankhon se roshni paa kar 
Roz sooraj nikal ke aata hai..!

Phool tujh se khile hain gulshan mein
Rang tujh se jawaan hote hain
Baat khushboo ki gar karein yaara
Mushq tujh se mahek churata hai
Teri aankhon se roshni paa kar 
Roz sooraj nikal ke aata hai..!

Tu hi ghazlon ki aarzoo meri
Sach kahun tu hai shairy meri
Meri baaton mein tera hi charcha
Baher soorat nikal ke aata hai
Teri aankhon se roshni paa kar 
Roz sooraj nikal ke aata hai..!

Aaj din hai teri vilaadat ka
Saare ghum ko visaal hojaye
Yunhi chahke umr bhar yaara
Rabba itna kamaal hojaye...
Ek Asim phirey diwaana sa
Tere naghme faqat woh gaata hai
Teri aankhon se roshni paa kar 
Roz sooraj nikal ke aata hai..!

Tujh se sundar nahin kahin koi
Chaand tujh se nazar churata hai
Teri aankhon se roshni paa kar 
Roz sooraj nikal ke aata hai..!

- Khan M. Asim... 03/01/2013.. 12:05 AM.. Happy Birthday Arpi :)