Monday, November 10, 2014

Ishq kar beithe un se qayamat hui!

Bahut aarzoo thi humein zindagi ki
Ishq kar beithe un se qayamat hui
Yeh aalam hai ab huwe khilwat gazidah
Nazar ko milaane se shaamat Hui
Bahut aarzoo thi humein zindagi ki
Ishq kar beithe un se qayamat hui!

Woh zulfon ki jhurmut woh pehlu mein girna
Woh sheereen si talkhi, tabassum se chidna
Woh daste Mubarak, woh lamse nosheena
Nigaahon mein lipte nazaaron mein phirna
Bahut se kiye the yahan ahad o paimaan
Magar aaj dil ko malamat Hui
Ishq kar beithe un se qayamat hui!

Bahut woh jahaan mein haan mash-hoor honge
Husn o ada pe woh maghroor honge
Magar aah dil ki woh seh na sakenge
Mohabbat ko royenge, majboor honge
Humein hai yaqeen woh Yeh aa ke kahenge
Ke hum ko kiye pe nadamat Hui
Ishq kar beithe un se qayamat hui
Bahut aarzoo thi humein zindagi ki
Ishq kar beithe un se qayamat hui
Yeh aalam hai ab huwe khilwat gazidah
Nazar ko milaane se shaamat Hui
Bahut aarzoo thi humein zindagi ki
Ishq kar beithe un se qayamat hui!

Khan M. Asim... 08/11/2014... 08:47 PM..!

Friday, November 07, 2014

Ishq daldal hai..!



Ek halchal hai
Ishq daldal hai
Jab se dekha nahin
Dil Yeh bekal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai..!
Kis ne samjha hai
Kaun jaana hai
Tirchi nazron ka
Kya fasanaa hai
Ik muamma hai
Na koi Hal hai
Ishq daldal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai
Jab se dekha nahin
Dil Yeh bekal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai..!
Iss lagavat se
Woh kare baatein
Na hi din katta
Na katein raatein
Usko Milne ko
Milta bas kal hai
Ishq daldal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai
Jab se dekha nahin
Dil Yeh bekal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai..!
Zabt kab tak ho
Dard ka sehra
Abar barsa ke
Rang de nikhra
Kyun barasta nahin
Kaisa baadal hai
Ishq daldal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai
Jab se dekha nahin
Dil Yeh bekal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai..!
Dil ko pyaara bas
Uska aanchal hai
Zindagi apni...
Uska kaajal hai
Kuch samajhta nahin
Kaisa paagal hai
Ishq daldal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai
Jab se dekha nahin
Dil Yeh bekal hai
Ek halchal hai
Ishq daldal hai..!
- Khan M. Asim... 06/11/2014... 12:31 AM..!

Ussi ka jalwah hai chaya har sun!



Ussi ka jalwah hai chaya har sun
Wahi saher hai wahi shafaq hai
Woh saat rangon ki ik dhanak hai
Wahi Maher hai wahi ramaq hai hai
Ussi ka jalwah hai chaya har sun
Wahi saher hai wahi shafaq hai..! 
- Khan M. Asim... 02/11/2014... 06:45 PM!

Mazhab ka rang gaadha..!



Mazhab ka rang gaadha
Ishq ka hai pheeka
Kaise mitayein doston
Kismat ka hum likha
Jab unse nazar milayi
Socha na tha kabhi
Ke dil ko sarhadon se
Kabhi waasta bhi hoga
Hum sochte hain kab se
Qafas mazhabon ka todein
Kya bandishon se aage
Koi raasta bhi hoga
Arey ishq hai diwana
Mazhab hai ik fasana
Kahan bezarar ne jaana
Kyun isko aazmaana
Kabhi zaat paat chodo
Kahin rang o nasal phenko
Siyah pattiyon ko kholo
Chaman mein bahaar dekho
Bahut aaye tum se pehle
Muhabbat ka khoon karne
Nahin nafratein panapti
Zara turbaton ko dekho
Dil ki hai bas guzarish
Hogi bahut nawazish
Mera ishq mujhko dedo
Chodo na aazmaish..!
- Khan M. Asim... 01/11/2014... 01:08 AM!

Sab kuch karna ishq na karna..!



Sab kuch karna ishq na karna
Warna padega aahein bharna
Kaise batayein kya hota hai
Jeete ji har lamha marna
Sab kuch karna ishq na karna..!
Saanson se ab darr lagta hai
Soona soona ghar lagta hai
Har koney mein aks hai uska
Woh na milegi par lagta hai
Humko kyun anjaam hai lagta
Seher o shab mein aise darna
Sab kuch karna ishq na karna..!
Uski balayein lelein saari
Qurbaan uspe umar hamari
Mar jaayenge chahte chahte
Uski tamanna zeest hamari
Dushwaar huwa hai aise jeena
Khud se khud ki baatein karna
Sab kuch karna ishq na karna
Warna padega aahein bharna
Kaise batayein kya hota hai
Jeete ji har lamha marna
Sab kuch karna ishq na karna..!
- Khan M. Asim... 28/10/2014... 11:17 PM..!

Tere ishq se meri jaane jaan Yeh zindagi ik suraab hai..!



Faqat jaagna Yeh nishachari Miley toh aakhir nijaat kaise
Tere ishq se meri jaane jaan Yeh zindagi ik suraab hai
Na khayaale ghair hi aa sakey na kisi ki dil ko talab rahey
Teri yaad mein dil muqeed hai Tera hijr hum pe azaab hai
Koi Teri jaanib nazar karey toh hota dil ko sabar nahin
Mera dil Yeh pagal manchala tujhe chahta behisaab hai
Koi gar che humko ghum nahin kyun muntazire ajal phir
Teri deed gar che Marg hai meri zindagi ka sawaab hai
Huwa haal kya tere ishq mein hai tujhe bhi koi khabar kahin
Ik khumaar hum pe javedaan aur raqs Tera khwaab hai
Nahin aata humko qaraar hai tu banke ab ke naseeb mil
Na chalega koi bahana ab Yeh na kehna naseeb kharaab hai
Mili dil ko Asim masarratein ke aayi har sun bahaar hai
Khuli ishq ki hain partein ab hai utar raha jo hijaab hai!
- Khan M. Asim... 28/10/2014... 07:28 AM..!

Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge..!

Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge
Chaahat ka... Iqraar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge..!
Aankhon mein tumhari.. Kho jaayenge
Baahon mein tumhari.. So jaayenge
Koi na parwaah.. Yaar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge..!
Pyaar mein shartein.. ab na hongi
Haya ki partein.. Ab na hongi
Jee bhar ke.. Izhaar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge..!
Rok sakega.. Koi na hum ko
Arre tok sakega.. Koi na hum ko
Iss duniya se.. Hum na darenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge
Chaahat ka... Iqraar karenge
Ab ke jab milenge.. Pyaar karenge..!
- Khan M. Asim... 26/10/2014... 09:08 PM..!
U

Tere bina..!



Mushkil huwa hai ab jeena
Tere bina, tere bina, tere bina
Kaali hai saari kehkashaan
Tere bina, tere bina, tere bina..!
Ghum ke samandar mein dooba hai dil
Dard ka daur bas chalta hai ik
Mushkil huwa hai ab sehna
Tere bina, tere bina, tere bina..!
Sab kuch hokar bhi kuch nahin
Pagal dil sunta kuch nahin
Khoya bas raahon mein rehna
Tere bina, tere bina, tere bina..!
Saanson ko dede taazgi
Aa ke tu mil ja ab kahin
Mushkil huwa hai ab rehna
Tere bina, tere bina, tere bina
Mushkil huwa hai ab jeena
Tere bina, tere bina, tere bina..!
- Khan M. Asim... 25/10/2014... 09:48 AM..!

Ranj o ghum ka silsila rukta nahin..!



Ranj o ghum ka silsila rukta nahin
Khamoshiyon ka silsila rukta nahin
Tareekiyon ka ik tasalsul, qafila
Nadaaniyon ka silsila rukta nahin
Aansuon ka ek jhad thamta nahin
Bekhudi ka silsila rukta nahin
Jaan pe ban aayi hai nadaan ki
Dillagi ka silsila rukta nahin
Aur ab kis se shikayat kijiye
Zaalimon ka silsila rukta nahin
Kehne ko hai kehkashani ik shaoor
Himakaton ka silsila rukta nahin
Shabgazeedah nein bas jalte rahe
Bebasi ka silsila rukta nahin
Guftugu parwaaz ki karte hain woh
Bandishon ka silsila rukta nahin
Baat na ASIM ki hum se kijiye
Ulluon ka silsila rukta nahin!
- Khan M. Asim... 25/10/2014... 02:36 AM..!

Ab tum bin kya jeena..!



Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena
Chaahat pe aan padi hai
Iss dil mein aag lagi hai
Uthta hai bas dhuaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..!
Mehfil se huwey beigaane
Gaate hain tumhare gaane
Jo kal tak the apney
Woh aaj huwey anjaane
Saanson ne ki hai shararat
Hain lamhey bas ravaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..!
Dil ek shikasta kashti
Toofaan mein phansi hai hasti
Hai kaali ghataon ki bas
Jeevan mein baala dasti
Har simt andhera gehra
Khoya hai carvaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..!
Jo tumse door huwe hain
Lamhey maghroor huwe hain
Ghum se ranjoor huwe hain
Hum chakna choor huwe hain
Bas ek khila hai chaaya
Saanson ke darmiyaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..!
Hum saari balayein lelein
Hum har mushkil ko jhelein
Hum karein na koi shikayat
Hum toofaanon se khelein
Gar tum ho paas hamare
Toh sab kuch hai aasaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..
Chaahat pe aan padi hai
Iss dil mein aag lagi hai
Uthta hai bas dhuaan
Ab tum se kya kehna
Ab tum bin kya jeena..!
- Khan M. Asim... 23/10/2014... 01:54 PM..!

Patta patta shajar-e-dil ka..!

Patta patta shajar-e-dil ka
Ujad raha hai bikhar raha hai
Saahil ko bhi beir hua hai
Dariya sookha utar raha hai
Halki halki maut ki aahat
Tanha yeh dil mar raha hai
Khamoshi ke qaatil lamhey
Qafas mein tair darr raha hai
Mushkil se parwaaz mili thi
Phir se par koi qatar raha hai
Zehni junbish, qalbi ranjish
Ishq se aalam mukar raha hai
Nafs pe qaabu kis ko ASIM
Aarzooeyein dil kar raha hai!
- Khan M. Asim... 20/10/2014... 08:13 PM..!
U

Betaabi Aur Mein..!

Yeh lamhe
Thakey thakey se
Bojhal zahen
Nigahein
Gard aalood
Har ibarat
Ik muamma
Har shakhs
Ik munafiq
Qaidey ki duniya
Beqaiday ijsaam
Ik kuhar
Ek dhund
Lawaris khwaab
Dil shikni
Betaabi
Aur
Mein..!
- khan M. Asim... 08/10/2014... 02:27 AM..!

Zahen ranjoor hai siyasat se..!



Neend ka ik shaiba tak nahin
Zahen ranjoor hai siyasat se
Tareeki apne shabaab pe hai
Shab ki aakhir paher dhalne ko
Magar Yeh dil beichain hai
Ek ajeeb si jung hai seeney mein
Yeh mein kis aalam mein hun
Yahan Kuch sujhai nahin deta
Kabhi sab kuch haseen lagta hai
Aur pal mein sab kuch badnuma
Apne waqar ki jirah apne wujood ki zid
Mujhe reh reh kar jhanjhod rahi hai
Aakhir Yeh duniya chahti kya hai
Kya khwaab dekhna gunaah hai
Kya manzilein sirf khayalon mein hoti hain
Aakhir mein karun toh karun kya
Ji karta hai noch lun khud ko
Cheer daalun, phaad daalun
Ab toh dil ukta gaya hai
Roz marrah ke tere nakhron se
Zindagi tera bojh ab nahin uthta
Aaina cheekhta hai ab mujh pe
Haan nafrat hogayi hai ab khud se..!
- Khan M. Asim... 20/09/2014... 03:24 AM..!

Betaabi..!

Saansein...
Qafas mein betaab hain
Nigahein...
Sanglakh hain hogai
Benishaan hogayin 
Saari pagdandiyaan
Raaste kho gaye
Manzilein ab kahan
Jo dil ne tarashe the
Khwaab toote wahi
Jinko dil se lagaya
Hum se roothe wahi
Nazaare toh hain
Lekin bekaar hain
Ishaare toh hain
Lekin bezaar hain
Kahin hoga bhala
Koi hum sa nakaam
Bikhar sa gaya
Jo tha istehkaam
Tukde tukde jo thi
Woh anaa hogayi
Rooh bechain ho ke
Fanaa hogayi
Dekh lo saathiyo
Yeh tamasha tum bhi ab
Kaisa lagta hai tab
Jab ke hota hai yeh...
Ek sir..
Juda hota hua dhad se
Ek bargad...
Ukhadta hua jad se..!
- Khan M. Asim... 19/05/2014... 03:33 PM!

Mein shayer hun, aashiq mizaaj rakhta hun!



Nigaah jo ghair ki uththe ehtijaaj rakhta hun
Tumhari zulf ke har khum ka indiraaj rakhta hun
Labon pe gul dil mein siraaj rakhta hun
Mein shayer hun, aashiq mizaaj rakhta hun!
- Khan M. Asim... 17/09/2014... 02:45 PM... Train..!

Abhi hai waqt..!

Abhi hai waqt
Shaandaar chamkega
Abhi hai waqt
Dukaandaar bechega
Abhi hai waqt
Nazarandaaz karne do
Abhi hai waqt
Zubandaraaz karne do
Magar yeh fitrat
Zaroor badlegi
Aur yeh qudrat
Hisaab bhi legi
Jo faujdaar hain
Unki bhi fauj haaregi
Jo taajdaar hain
Unke bhi taj tutenge
Nahin baazuon mein dum
Magar..
Mere houslon mein jaan hai
Mere labon pe naam hai Allah
Mere dil mein basta quran hai
Isse yaad rakhna doston
Mera naam Asim Khan hai
Mera naam Asim Khan hai..!
- Khan M. Asim... 16/09/2014... 08:40 PM..!
U

Life..!

Another sleepless night... This anxiety will take me away someday... The mind never stops, it continues to click... The day today situations, bloodshed and defaming of my belief hits me hard... There is something in me that i want to return, to the people, to the society... I hate it the most when someone looks at me or many others like me suspiciously just because of our Identity... Though there is no identity crisis within me but the ambiance doesn't let me breath...

The world is a dark room, where hopes are hidden like matchboxes somewhere in a drover... I can sense and feel even in the darkness, I know there is a street lamp next to my balcony, i just need to open the window and my soul will be enlightened... But how to walk up to it? There are serpents around, ready to bite... I don't know how to bridge this fear... The grievances are still unheard and this agony is rising and rising more... Unable to write poems, there is no charm no romance although there is love, there is beauty, there is smile that gave momentum to my dreams, which is my richest fortune... Then why do I feel so, If I can't write then there is no place or position for me in this world, Its the best I can do..! 

Just contemplating my future moves, that may happen and may not... The dreams that can be fulfilled or may get shattered at anytime... There is no one to guide, but many to misguide... The globe revolves around the selfish butchers, they may sell me or eat themselves... But the day is coming when David will show his miracles to Goliaths' of time.. his power, his miracles... But how, there is no Midas' touch in me, Whatever i do somewhere perishes... I am no blacksmith or a jeweler, neither a Prophet nor a King there is nothing within me... No Muscles to tackle and no sense to understand... These shadows in the darkness are more horrifying, they are taking me away with them... I am crying, shouting... But no rescue... But I know these murky beings can't break me... They can't kill me, There is my Lord to hold me, Who give honour, who takes it away, Who has absolute control... I know, its dawn, the sun will rise and overcome the gloom... And with it I will rise for another day for another journey..! Khan M. Asim... 14/09/2014... 04:54 AM..!
UU
Unl

Thursday, November 06, 2014

Log bewajah itna jalte kyun hain..!



Meri muskaan se itna darte kyun hain
Log bewajah itna jalte kyun hain
Itna darr hai toh sanbhalen ghar ko apne
Mere peeche woh aakhir nikalte kyun hain
Yeh bhi ik daur hai guzrega Yeh bhi Asim
Kisne jaana hai hum itna chalte kyun hain!
- Khan M. Asim... 08/09/2014... 01:04 AM..!

Happy Teachers Day!!!

Mitti ka ik dher tha
Na koi roop na singaar
Na koi naqsh na nigaar
Sanbhala jis ko aap ne
Dhaala jis ko aap ne
Khayalaat ko goondha
Kirdaar ko sanwara
Alfaaz ko tarasha
Aap ho...
Woh samay ka pahiya
Jispe meine yeh safar kia
Jis ne di zindagi ko raftaar
Jis ne ilm dia beshumaar
Yeh mera roop...
Khayalon ka naqsh o nigaar
Aap hi ka aks hai
Aap ka mamnoon hun
Aap jo mohsin baney
Mitti ke ik dher ko
Bartan banaya aap ne
Zindagi Allah ne di
Insaan banaya aap ne..!
- Khan M. Asim... 05/09/2014... 01:32 PM... Happy Teachers Day 

Malaria again..!



Uff!!! yeh naazuk badan
Yeh larazti nigaahein
Yeh kaanpte hont
Ladkhadate qadam
Khumaar ishq ka hai
Rumani mausam hai
Lab gulab choomna chahte hain
Magar yeh tursh luaab
Yeh talkh halaat
Barshgaal aur istehsaal
Munasib kuch bhi nahin
Ishq karne ki chahat toh hai
Magar...
Dum nahin..!!!
- Khan M. Asim... 01/09/2014... 12:40 PM..!

Taskeen..!



Tanhaa hun, khamoshi hai
Par rooh ko taskeen nahin
Tu bhi hai mahtaab bhi hai
Lekin raat haseen nahin
Usko wahem hai kitna aala
Ke ussa koi zaheen nahin
Ishq hai fitna awwal awwal
Isse gunah sangeen nahin
Lamse gul se ji ghabraaye
Koi hum sa ghamgeen nahin
dil hai ek beghar, miskeen
dil ki koi zameen nahin
Asim duniya gar hai achchi
kyun yeh dil mutmaeen nahin..!
- Khan M. Asim... 30/08/2014... 10:30 PM..!

Yeh duniya aisi kyun hai...?

Paon chookar fariyaad karti hai 
Waqt padne pe yaad karti hai
Aasmaanon ki baat karti hai
Begharaz na mulaqaat karti hai 
Zindagi roti kyun hai.. 
Yeh duniya aisi kyun hai...? 

Khan M. Asim 29/08/2014..!

Khud se guftugu!!!



Badi mushkil se
Khud se guftugu hoti hai ab
Ab toh har lamha
Kisi ki dein hai warna
Jigar kharaash hoti hain
Dil-e-murdaar ki cheekhein
Yeh aksar thaan leta hai
Apni raah chalne ki
Magar,
Zamana saaz zahen
Baghavat kar hi deta hai
Yeh dhoka, chalavah...
Woh bhi,
Khud se..!
- Khan M. Asim... 17/08/2014.. 6:25 PM... Juhu Beach..!

Ladkiyaan behisaab milti hain!!!



Haath mein lekar gulaab milti hain
Ladkiyaan behisaab milti hain
Tum ko unpe agar ijara hai
Jaana ehsaan yeh hamara hai
Maana mehfil mein jaan hai tum se
Maana gul mein muskaan hai tum se
Par aasmaan mein patang hamari hai
Chahaar su mein tarang hamari hai
Gar tum mehfil ki jaan ho jaana
Hum bhi mehfil ki shaan hain jaana
Ishq mein dono gadagar hain
Ek dooje ke hum barabar hain
Dil laga lo aur dil lagaane do
Muskura lo aur muskuraane do
Dono mil kar jashan manayenge
Ek pyaara sa ghar basayenge..!
- Khan M. Asim... 08/08/2014... 09:26 PM..!

Saans apni tezz hai..!

Yeh zamin zarkhez hai
Jaam-e-dil labrez hai
Chalak na jaaye dekh lo
Saans apni tezz hai..!
Jab se hai dekha tumko
Deewaaana dil hua hai
Tumko hi poochta hai
Tumko hi chahta hai
Ishq Yeh naukhez hai
Saans apni tezz hai
Yeh zamin zarkhez hai
Jaam-e-dil labrez hai
Chalak na jaaye dekh lo
Saans apni tezz hai..!
Baat Yeh dil ki sun le haseena
Tere bina hai ab nahin jeena
Nazrein miila ke dekhdegi gar tu
Hojaye kuch toh phir nahin kehna
Dekh dil rangrez hai
Saans apni tezz hai
Yeh zamin zarkhez hai
Jaam-e-dil labrez hai
Chalak na jaaye dekh lo
Saans apni tezz hai..!
- Khan M. Asim... 07/08/2014... 01:08 PM..!
U

Gulon ki tashbih dein toh kaise!!!



Hazaar gul aur ek tum ho
Gulon ki tashbih dein toh kaise
Nazar se majrooh ho rahe hain
Yeh dard aakhir sahein toh kaise
Tumhi mein saare khumaar jazbaan
Ke door tum se rahein toh kaise
Tumhi batao Yeh baat jaana
Ke baat dil ki kahein toh kaise
Tumhi se Asim ka hai tasavvur
tanha Tanha chalein toh kaise..!
- Khan M. Asim.. 07/08/2014... 01:51 AM..!

Sunday, August 03, 2014

Pasti..!

Zara si pasti dekh kar daman kinara kar lia
Haath chudakar usne ab gheron ka Sahara kar Lia

Itna bharosa bhi nahin qasam hain khaate pyaar ki
Jhukna badi alamat hai achche shikaar ki

Duniya nazar hai aa gayi kunwe ki gehrai mein
Socho kya hota Asim gar girte andhi khai mein!

- Khan M. Asim... 01/08/2014... 05:47 AM..!

Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Tumko hamari deed ki fursat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Beja kisi kyun aur ko dushnaam kijiye
Mehfil mein naam lijiye badnaam kijiye
Dil-e-naatwan mein dard ki quwwat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Ke dil lagi se ab tum bezaar hogaye
Hum pyaar pyaar karte bekaar hogaye
Izhaare ishq ki bhi himmat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Tum toh sukoon se khoye ho khwaab mein
Hum ko saza mili hum hain azaab mein
Kya ab mohabbaton mein qurbat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi
Tumko hamari deed ki fursat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

- Khan M. Asim... 24/07/2014... 11:40 PM..!

Shayeri hum pe nuzool hoti hai..!

Aap ke nazdeek fuzool hoti hai
Shayeri hum pe nuzool hoti hai
Yeh toh daulat hai ilm walon ki
Bas dua hamari qubool hoti hai! 
- Khan M. Asim... 24/07/2014..!

Yeh ranj o alam ke afsaane..!

Yeh ranj o alam ke afsaane
Yeh tishna tishna deewaane


Koi dekh le ek nazar humko
Aatish mein paley hum parwaane


Ghaflat Yeh taghaful theek nahin
Hum koi tere hain begaane


Ehsaan hai Yeh Tera hum par
Ke tu humko hai pehchaane


Makhmoor hain Teri baaton se
Kehne ko bahut hain mekhaane


Tujhe milna hai toh aaj hi mil
Kal kya hoga koi kya jaane


Yeh dard ke lamhe hain taskeen
Asim na bano tum anjaane..!


- Khan M. Asim... 23/07/2014... 12:48 PM..!

Saiyyaad se shikwah kya karna..!

Beithe hain qafas mein khud aa kar
Saiyyaad se shikwah kya karna


Jo beiche khudi ko daulat mein
Uss shakhs ka kya jeena marna


Himmat hi nahin ke lalkaarein
Dushman se phir kaisa ladhna


Hum haath kata kar beithe hain
Phir tegh o sipar ka kya karna


Manzil ko kabhi hum nikle the
Woh teir ke dariya sar karna


Dushman ki safon ko rondh dia
Woh marde momin ka ladhna


Hum aaj ke nadaan hain insaan
Kya hum ko maazi se karna 


Hum sotey peir phela ke hain
Kya hum ko chaadar se karna


Jab aankh khulegi tab Asim
Beith ke aankhon ko malna..! 


- Khan M. Asim... 22/07/2014... 12:34 PM..!

Utho Filasteen ke liye..!

Jab zaalim ke haath dastoor lag jata hai
Tab shuru hoti hai tabahi ki asli dastaan
Mulk, tehzeeb o tamaddun tadfeen hota hai
Jabar, zulm, qatal ki inteha ho jaati hai
Aur jab koi MOZI takht nasheen hota hai
Toh mulk o millat pe azaab hota hai
Hamari na-ahli pe khuda ka qaher hi samjho
Jo usne zaalim ko hum pe musallat kia hai
Marne do, iraqiyon, afghan o filasteeni ko
Marne do Paki, Burmi o Cheeni ko
Marne do iran, shaam o misr ke bashindon ko
Marne do maasoomon ko, lutne do aabruon ko
Kaun hote hain tumhare, tum chain se ho
Ghar mein beith ke jashan manaate raho
Aur jab woh zaalim tumhe zibah karega
Pukaar lena tum bhi apne khuda ko
Magar yaad rahe, woh munsif bhi hai
Uski adalat na bikti hai na jhukti hai
Woh izzat dena bhi jaanta hai aur zillat bhi
Agar Abu Jahel ne zaleel khwaar kia
Tumhare rabb ne usse saza bhi di
Aur jab Turkon ne apni shaan kho di
Toh Maalik ne khilafat hi cheen li
Aakhir kab tak yeh nizaam dahelta rahega
Kab tak dil-e-muslim zulm sehta rahega
Dekho, samjho aur socho
Kaisi pasti mein aa padey ho tum
Aaj koi pursaan-e-haal nahin
Koi sunta koi sawaal nahin
Aisa haakim hua musallat hai
Jisko bilkul koi khayaal nahin
Toh utho apne imaan ke liye
Utho apne deen ke liye
Utho apni zameen ke liye
Utho Filasteen ke liye..!

- Khan M. Asim.. 19/07/2014... 01:20 AM..!

Hijr..!

Tumhari yaad
Bewajah nahin aati
Yeh dhadkanein
Yun hi nahi dahelti
Hijr se khauf aata hai
Yeh atraaf ke gidh
Aur meelon ka safar
Tum, tan-e-tanha
Darr lagta hai
Khuda kare
Tum salamat raho
Tumhe ek bhi gazind
Meri jaan lelegi
Mein intezaar karunga
Tumhari aamad ka
Aankhein num
Aur dil bhara hai
Tum se mohabbat jo hai
Sirf tum se..!
- Khan M. Asim... 17/07/2014... 03:44 AM..!

Wednesday, July 16, 2014

Neend palkon tak aake laut jaati hai..!

Ajab safar hai yeh khilaon ka
Ek jumood hai khayaalon ka
Zeest se toote, ruh se bezaar
Lamha lamha hai koi aazaar
Jis simt bhi soch jaati hai
Baazgashton se ghabra jaati hai
Uff yeh khoonrez tasadum
Uff yeh toofaan o talatum
Bahut aasebi utaaq ke koney
Khauf zadah firaaq ke roney
Ajeeb dastoor hai ajeeb hai manshoor
Kaisi hai duniya kya batayein huzoor
Uski zulfon ke geet gaati hai
Apne mann ki faqat chalati hai
Bemurravat o be sibaat hoti hai
Jab uske aanchal ki baat hoti hai
Huqooq-e-niswaan ki baat karte hain
Khud hi pa-maal bhi toh karte hain
Nazar karti hai ta-kub kawakib ka
Pet bharta nahin dil-e-raaghib ka
Usne bahut pyaar se kaha tha abhi
Raat kaafi hai tum bhi so jao abhi
Dil-e-nadaan ko kaun samajhaye
Shabgazeedah yeh kaise so jaaye
 
Abhi khwaabon ki taabeer baaqi hai
Abhi imarat ki taameer baaqi hai
Ek zanjeer baandhe rakhti hai
Ek uljhan si rokey rakhti hai
Zeest andheron mein chot khaati hai
Neend palkon tak aake laut jaati hai..!

- Khan M. Asim... 16/07/2014... 01:17 AM..!

Friday, July 11, 2014

Palestine..!

Aye Arz-e-Filasteen
Humko teri azmat ki kasam
Tere aanchal pe bahey
Har ik khoon ke qatrey ka badla lenge
Khoon se latpat...
Tere masoom itfaal ka badla lenge
Maa, behno ki asmat ki kasam
Unke jalte huwe rukhsaar ka badla lenge
Khoon behna hi agar taqdeer hai toh phir
Sirf Gaza hi nahaye kyunkar
Tel Aviv ki shahraon ko aag laga denge hum
Khoon sookha nahin, Jism murda nahin
Abhi duniya mein Muhammed ke deewane bhi hain
Kashtiyaan apni jalane ko Tarique se jiyale bhi hain
Teri taqdeer bulati hai ek Saladin phir se
Toh na darr kuffaar ke lashkar se haram
Hum bachayenge tujhe Baitul Muqaddas ki qasam
Aaj woh hain toh uchalne de unhein taqat pe
Kal woh royenge apni isi aadat pe
Kab bhala zulm ko qudrat ne puchkara hai
Yeh jo takleef hai haqeeqat mein kuffara hai
Ghuroor tootega bahut jald adu ka tere
Poori ummat hai khadi saath ruku mein tere
Yeh jo pasti hai asal mein hai fateh ka zamin
Aah bharta hai tere dard pe har ik momin
Dekh Allah ne bakhshi hai tujhe kitni azmat
Bait-e-Ibrahim tu, qiblae oola tu hai
Haan nahin paas tere
Phir bhi hain saath tere
Hum bhala kaise tujhe yunhi bhula sakte hain
Door reh kar bhi teri aan pe jaan luta sakte hain
Neest o nabood bahut jald Israel o haami honge
Dekh mit jayenge jug se yeh jitne bhi haraami honge
Hum bhi roye hain namazon mein tere haal ko dekh
Woh chaalbaaz hai, toh Rabb ki chaal ko dekh
Aasmaano se Gibrael ki sada aayi hai
Yeh jo Gaza mein marta hai tera bhai hai
Kya kehta hai woh masoom farishta sun lo
Khoon se badhkar hai imaan ka rishta sun lo
Hum ladenge, toh jeetenge yeh faham aayi hai
Haan duaon mein teri hifazat ki qasam khayi hai..!

- Khan M. Asim... 11/07/2014... 11:40 PM..!

Thursday, July 10, 2014

Mujhko tujh se pyaar hai aye mere parvardigaar..!

Aasmaano ki bulandi aur mein thehra khaaksaar
Mujhko tujh se pyaar hai aye mere parvardigaar


Ik diye ko noor de kar aalam Kia tu ne bedaar
Meher o maah saqib kawakib sab hain tere shahkaar


Dhadkanein tujhse jawaan aur lahoo tujhse rawaan
Tu wajah taskeene dil ki tujhse chaman mein hai bahaar


Tujhse shagufta gul huwe sab muskai tujhse shabnamein
Har kali naghma Sara Teri qataar andar qataar


Mujhko aala zarf kar de mujhko iqra harf kar de
Bakhsh mujhko sab inayat hun mein tera taabedaar


Pastiyaan nabood kar de aur kaamraani humsafar
Mushkil kusha bas ek tu hai bas ek tu ba-ikhtiyaar


Ek adna sa mein shayer aur bhala Asim hai kya
Hai mera ik dost bas tu ik tu hi mera raazdaar..!


- Khan M. Asim... 08/07/2014... 06:20 PM.. Train..!

Tu pardey khol le pyaare..!

O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare
Aqal ke, shakal ke...
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Na samjha hai na samjhega
Ke tu nadaan hai pyaare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Yeh duniya hai tu samjha kar
Wagarna khaiyega thokar
Khadi aksar imarat hain
Yahan par dekh laashon par
Nigaah o chashm ke pyaare
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Lagakar aankh mein surma
Churati dil hain mohtarma
Zara sun toh sahi pyaare
Ke kya kehti hain mohtarma
Nazar na pheir tu pyaare
Nigahein chaar kar pyaare
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

- Khan M. Asim... 06/07/2014... 11:12 PM..!

Friday, July 04, 2014

Zindagi insaan ko yeh daur bhi dikhati hai..!

Zindagi insaan ko yeh daur bhi dikhati hai
Bade logon ki mehfil mein barhana nachati hai

Khwahishon pe gar iski jaan kar dein nazrana
Phir bhi bewafa dekho kaise hichkichati hai

Umar bhar ka yaarana, dardmand kehlana
Aur palon mein dekho toh ajnabi batati hai

Mehfilon mein iski sab masnui chehre hain
Yun toh hai kahani kuch aur kuch dikhati hai

Kya kahein isey Asim zindagi chalava hai
Bewajah hansati hai, bewajah rulati hai..!

- Khan M. Asim... 03/07/2014... 06:40 PM.. Train..!

Monday, June 30, 2014

Ishq ghaddaar hai..!

Tez raftaar hai
Barq raftaar hai
Dil giraftaar hai
Dil yeh bezaar hai
Ishq ghaddaar hai
Ishq ghaddaar hai
Ishq ghaddaar hai
Dil yeh bezaar hai
Ishq ghaddaar hai..!

Bada sukoon tha saansein bhi saath deti thin
Na tha ishq toh duniya bhi saath deti thi
Huwa jo ishq toh apne bhi ab paraye hain
Kya batayein ke ab kis raaste pe aaye hain
Dil yeh bezaar hai
Ishq ghaddaar hai
Ishq ghaddaar hai
Ishq ghaddaar hai
Dil yeh bezaar hai
Ishq ghaddaar hai..!
- Khan M. Asim... 30/06/2014... 05:19 AM..!

Na jaane kyun yeh zindagi..!

Na jaane kyun yeh zindagi
Nahin mujhe bhali lagi
Yeh dard hai yeh rog hai
Asal mein hai darindagi
Na jaane kyun yeh zindagi..!

Charind ho parind ho
Sabhi pe ik utaab hai
Jo sach kahun toh dosto
Yeh zindagi azaab hai
Faqat jahaan mein dekhiye
Hai khwahishon ki bandagi
Na jaane kyun yeh zindagi
Nahin mujhe bhali lagi
Yeh dard hai yeh rog hai
Asal mein hai darindagi
Na jaane kyun yeh zindagi..!

Yaas o beem bas yahaan
Raah mein taareekiyaan
Manzilein Hui nihaan
Mili faqat nakaamiyaan
Jahaan bhi haath rakh dia
Wahan mili sharmindagi
Na jaane kyun yeh zindagi
Nahin mujhe bhali lagi
Yeh dard hai yeh rog hai
Asal mein hai darindagi
Na jaane kyun yeh zindagi..!

- Khan M. Asim... 29/06/2014... 02:03 AM..!

Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!

Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se
Chaand hai khoya hamari raaton se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!
Muflisi ka haal ab na poochiye
Ungliyaan dikhne lagin juraabon se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!

Mohsino'n ka muskura ke dekhna
Aur apna dil jala ke dekhna
Baat kya samjhenge woh ishaaron se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!

Ek toofaan ko jigar mein thaamna
Ainey se jab hai hota saamna
Lutf kuch aata nahin nazaaron se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!

Kaam kyun Banta nahin wafaon se
Farq kyun padta nahin duaon se
Kab talak behlayein dil ko baaton se
Ab toh ghabraate hain hum bhi khwaabon se..!

- Khan M. Asim... 27/06/2014... 10:12 AM..!

Hazaar sheron mein ek tum ho..!

Hazaar baatein Judi hain tum se, Hazaar sheron mein ek tum ho
Hazaar tum ko farishtey chaahein, Hazaar chehron mein ek tum ho!

Jo sung ho tum zinda hain hum, bin tumhare kya zindagi hai
Hazaar dil mein chaman khiley hain, Hazaar shehron mein ek tum ho!

Woh sheerin baatein shahed tabassum, jo mar na jaayein toh kya karein hum
Hazaar nehrein bahisht mein hain, Hazaar nehron mein ek tum ho!

Tum hi se rangeen hai dil ka aalam, Hazaar jazbon mein ek tum ho
Hazaar zarron mein tod do dil, Hazaar zarron mein ek tum ho!

Mere khayaalon pe tum ho haavi, sawaal ka har jawaab tum ho
Bana hai Asim jo ek toofaan, Hazaar lehron mein ek tum ho!

- Khan M. Asim... 18/06/2014... 05: 00 AM..!

Zindagi hai ganji..!

Zindagi hai ganji yeh maange tel maalish
Hai rang iska kaala yeh maange joota paalish..!

Khurduri hain raahein, sookhi iski baahein
Utri utri dekho, bheegi hain nigahein
Hai rang sehraon ka tezz iski taabish
Zindagi hai ganji yeh maange tel maalish
Hai rang iska kaala yeh maange joota paalish..!

Ujdi ujdi hai bas har ek iski basti
Khoi khoi dekho har ek iski hasti
Kaise ubhrein isse sab kar rahe hain kaawish
Zindagi hai ganji yeh maange tel maalish
Hai rang iska kaala yeh maange joota paalish..!

- Khan M. Asim... 15/06/2014... 02:04 PM..!

Maut aakhir tu kyun nahin aati..?

Silsila dard ka yeh jaan chodey
Lamha lamha hai umr ghabrati
kab se muntazir hain ke tu aaye
Maut aakhir tu kyun nahin aati? Asim

Insaa'n ko rulana theek hain..!

Aafaaq ho tum kohsaar ho tum
Par itna bal khana theek nahin
Khudgharz faqat lamhon ke liye
Insaa'n ko rulana theek hain.!

Iss jug mein jo bhi aaya hai
Uss ko toh ik din jaana hai
Iss baat ko tum bhi sun lo ab
Kya kehta yeh deewana hai..
Jab waqt padega sooraj yeh
Jalte jalte dhal jaana hai
Apne ghar ki tameeron par
Deewaar girana theek nahin
Khudgarz faqat lamhon ke liye
Insaa'n ko rulana theek hain.!

Yeh waqt hai hum pe mushkil ka
Haan haal bura hai iss dil ka
Jab tak hai dum saanson mein
Har zulm sahenge mehfil ka
Jab taareeki ko cheer ke yeh
Taara chamkega manzil ka
Yeh dars tumhein sikhlayenge
Ke itna itraana theek nahin
Khudgarz faqat lamhon ke liye
Insaa'n ko rulana theek hain..
Aafaaq ho tum kohsaar ho tum
Par itna bal khana theek nahin
Khudgharz faqat lamhon ke liye
Insaa'n ko rulana theek hain..!

- Khan M. Asim... 09/06/2014... 08:44 PM..!

Ishq karna hai..!

Kahin paani hai
Kahin paseena hai
Kahin jawaani hai
Kahin haseena hai
Issi mein jeena hai
Issi mein marna hai
Ishq karna hai...
Ishq karna hai..!

Do jahaano mein
Sab se aala hai
Ishq ko jis ne,
Dil mein paala hai
Ishq shabnam hai
Ishq juwala hai
Aabgeena hai
Yeh nageena hai
Issi mein jeena hai
Issi mein marna hai
Ishq karna hai...
Ishq karna hai..!

Ishq hai daulat
Ishq hai jannat
Ishq hai taskeen
Ishq hai raahat
Ishq hai qudrat
Ishq hai fitrat
Zindagani ka,
Yeh qareena hai
Kaamiyaabi ka
Yeh safeena hai
Issi mein jeena hai
Issi mein marna hai
Ishq karna hai...
Ishq karna hai..!

- Khan M. Asim... 06/06/2014... 01:17 PM..!

Jab khud ko uss ke hawaale kia tha..!

Jab khud ko uss ke hawaale kia tha
Yeh socha tha apna nigehbaan hoga
Magar itne arsey mein ab aake jaana
Ke jaana hua kitna anjaan hoga..!

Woh vaadon ki jhadiyaan
Woh kasmon ki ladiyaan
Woh baaham mashowrey
Iraadon ki kadiyaan...
Imaan sabhi par kia hum ne kaise
Kahin koi hum sa bhi nadaan hoga?
Jab khud ko uss ke hawaale kia tha
Yeh socha tha apna nigehbaan hoga
Magar itne arsey mein ab aake jaana
Ke jaana hua kitna anjaan hoga..!

Kabhi yun bhadanka
Kabhi khud se ladna
Kabhi chupke rona
Kabhi khud se darna
Zara yeh batao kya insaan hoga
Koi hum se ziyadah pareshaan hoga!
Jab khud ko uss ke hawaale kia tha
Yeh socha tha apna nigehbaan hoga
Magar itne arsey mein ab aake jaana
Ke jaana hua kitna anjaan hoga..!

- Khan M. Asim... 05/06/2014... 01:58 PM!

Tujhe pyaar karunga..!

Mere naam ko,
Badnaam kar
Jee chaahe toh,

Dushnaam kar
Tujhe pyaar karunga
Sar-e-aam karunga
Haan pyaar karunga
Tujhe pyaar karunga..!

Yeh kaam karunga
Woh kaam karunga
Jo tu bolegi...
Woh kaam karunga
Sar-e-aam karunga
Subah shaam karunga
Pyaar karunga
Tujhe pyaar karunga..!

Udti zulfein,
Shaan yeh Teri,
Labon ki junbish,
Haiiii....
Jaan yeh meri,
Neinon se tere mein
Jaam piyunga
Sar-e-aam pyunga
Subah shaam piyunga
Haan pyaar karunga
Tujhe pyaar karunga
Sar-e-aam karunga
Sar-e-aam karunga
Tujhe pyaar karunga
Tujhe pyaar karunga..!

- Khan M. Asim... 31/05/2014... 9:20 PM... Churchgate, Mumbai..!