Wednesday, March 16, 2011

Aqal hairaan hai, dil pareshaan hai


Aqal hairaan hai, dil pareshaan hai

Dil ki doli pe ishq bhi maherbaan hai

Har sitam ishq mein seh gaye hum sanam

Dil ki baaton se bas tu hi anjaan hai

Bewafa hum na the na tu ne jaana humein

Kehte hain hum sanam tu meri jaan hai

Koshishein ki bahut tujh se mil na sake

Aaja milne ka tujhse hi armaan hai

Jaane jaan o dilruba tu chupi hai kahan?

Teri khaatir yeh duniya bhi qurbaan hai

Yeh bekhudi hai bewajah ab yeh zid chod de

Yeh sitam aur zulam na teri shaan hai

Hum se ho na khafa, na khabar humko thi

Yun toh kehne ko tere bhi zubaan hai

Gar yun ho ge khafa aur karoge jafa

Gar zamin pe nahin arsh pe ek mizaan hai

Ishq ki har adaa jaan le tu sanam

Yeh samaan ishq ka behad rumaan hai

Dil ki baaton ko tu hai samajhti nahin

Na-samajh tu abhi na-daan hai

Ik nazar se huwe teri hum hain shikaar

Maanon janmo se apni haan pehchaan hai

Ab sharabe ishq bhi daal de tu sanam

Kab se khaali mera yeh liwaan hai

Apni har baat pe hai ASIM naadim sanam

Muaaf karne ko dil hai ya bejaan hai?

- Khan M. Asim...25/08/2003...2:30Am... not writing much these days so thought to post some of my old poems.

No comments: