Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji..!
Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji
Baahon mein bulane ki tumse iltija hai ji
Ab nahin salah denge, na koi gila denge
Baatein bhool jaane ki tumse istida hai ji
Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji
Baahon mein bulane ki tumse iltija hai ji..!
Pyaar tumse karte hain pyaar hi nibhayenge
Mushkilon mein ab yaara khud ko aazmayenge
Dopaher, saher, shaamein koi sa bhi lamha ho
Chaahaton ke bas yaara geet gungunayenge
Maslihat nibhani hai aur yeh ibtida hai ji
Baatein bhool jaane ki tumse istida hai ji..
Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji
Baahon mein bulane ki tumse iltija hai ji..!
Kaun kitna achcha aur kaun kitna sachcha hai
Bhoolna hai yeh humko, muamla hi kachcha hai
Aag hum lagayein kyun, aab hai na daana hai
Hai shajar mohabbat ka aur dil yeh bachcha hai
Haan samar giraane ki poori intiha hai ji...
Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji
Baahon mein bulane ki tumse iltija hai ji..!
Aao dil milayein hum, aasmaan ko dikhlayein
Pyaar ki haan azmat ko iss jahaan ko dikhlayein
Jo bhi jhoota kehta hai, dil ki daastaanon ko
Pyaar ka sabaq hum unn kaafiraan ko sikhalyein
Saath hum rahein yunhi, bas yahi dua hai ji...
Roonth kar manana hi aap ki adaa hai ji
Baahon mein bulane ki tumse iltija hai ji..!
- Khan M. Asim...07/03/2011...8:47PM!
2 comments:
Nice poem hai ji. :)
Thank you Missi.... But its a song :P
Post a Comment