Thursday, March 03, 2011

A reply!

Hi guys,

I wrote these thoughts in reply to a friend long back, felt like sharing here!

So whole reply is here:

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi

Yeh khaaki apni fitrat hai na noori hai na nari hai

- Iqbal
Ghaliban aap samajh gayi hungi mein kya kehna chahta hun...Khuda ne Malaika ko noor se banaya, aur Iblees ko naar se...magar insaan ko mitti se khalaq kiya...Farishte masoom hote hain....iblees khuda ka nafarmaan hai...magar insaan ko Allah ne uski nafs bakhshi hai...jo usse sahi ghalat ki taraf le jaati hai...Insaan ki zindagi ka daromadar uske aamaal pe hota hai...Farishte ghalat nahin kar sakte aur iblees sahi nahin kar sakta magar insaan ek aisa jaandaar hai jisko khuda ne sahi ghalat ki tameez bakhshi hai...Achchi bhali har tarah ki kismat khuda ki jaanib se hai...magar Allah ne insaan ko aazaadi di hai...uska zahen uske nafs ke saath chalta hai...Hota sab Allah ki marzi se hi hai magar...agar hum sirf yeh sochke chalen toh phir jannat jahannum kyun? kaise sawaab aur kaise gunaah...har aadmi itaat kar raha hai...yahan tak ke iblees bhi...magar gara aisa tha toh khuda ne yeh kainaat kyun khalq ki..kyun aadam ko khaak se jaandaar mein badal diya...wajah...ek zimni hukumat...ek khilafat...ek nizaam...ek sabaq malaika o iblees ke liye...

Quran mein hai..jab Allah ne farmaya ke, ke zameen pe apna nayab muqarrar karne waala hun, malaik ne kaha, ae Allah yeh tu kisko khalaq karne waala hai jo zameen pe fasaad barpa karega...magar Allah taala ne farmaya...jo mein jaanta hun woh tum nahin jaante...beshak Allah har cheez pe qadir hai!

Aur phir Allah ne farishton o iblees ko adam ke saamne jhukne ko kaha...malaik ba sujood hue magar iblees munkir hua...yahan ek baat saabit hoti hai ke aadam ki tarah iblees bhi nafs rakhta hai...aur achcha bura samajhta hai...kya woh sajda khuda ki marzi se nahin tha? beshak tha! magar humein Allah ke siwa kisi ke saamne nahin jhukna chahiye...phir aadam ke saamne kyun? Kyunke takhleeq e kainaat ka maqsad hai pabandiye hukum...

Agar bhala bura sab Allah ki jaanib se hai toh phir Aadam khuld se zameen pe kyun agaye kyun insaan ghar badar hua...sirf isi nafs ki wajah se jise Allah ne insaan ke liye aazaad choda hai...Allama Iqbal ka yeh shair...jiski tashreeh shayad hazaaron safhaat se bhi kahin ziada mein aaye...isi baat ki dalalat karta hai ki...insaan ki nafs aazaad hai...aur isiliye woh jo karta hai khud apni marzi se karta hai...Beshak Allah sab dekh raha hai...aur saza o jaza roze mehshar sabko dega...yahi hai qayamat ka raaz yahi hai falsfayae hayaat...

Ghaliban aap soch rahi hungi mein kya bol raha hun aur kyun...khair...kuch nahanjaar yun bhi kehte hain...nafse insaani aur ghulamiye nafs ko dekhkar...

Takhleeq e kainaat ke dilchasp jurm per
Rota toh hoga aap bhi yaszdaan kabhi kabhi...
(beshak iss sher se baghavat ki boo aati hai...magar baat wahi hai..)

Nasle insaani aur uska wajood, uske aamal, uske ifkaar sabhi uski nafs ke mohtaaj o ghulam hain...woh wahi karta hai jiss janib nafs ishara karti hai...phir chahe woh dua e aabidi ho ya naghmaye kaafirana...

Waqt guzaari ke liye muazrat khwah hun...aapki duaon ka taalib..muntazir e jawaab...
Khwaastgaar...!

No comments: