Sunday, March 27, 2011

Dhoka, jafa hai pyaar mein ab kuch rakha nahin


Masti hai, jaam hai na wafa hai na aarzoo

Dhoka, jafa hai pyaar mein ab kuch rakha nahin

Dilbar ho dost ho ya rabbe nawaaz mera

Aise hai kaun jiss se humko gila nahin

Nashtar chubhe hain dil mein nasoor zakhm hai

Aye aasmaan bata dun mein itna bura nahin

Ik baat pooch li toh qayamat si aagayi

Humein anjuman mein teri haq itna mila nahin

Jis ki har ik ada pe dil apna rakh diya

Kaise bhala mein keh dun woh bewafa nahin

Aayengi kab baharein pooche chaman hai saara

Kaise inhein bataon mein mein raha nahin

Zulfon o neinon masgaan ke naghme jawan rahe

Aaya yun waqt hum pe kuch bhi bacha nahin

Dekhein jo haal apna bijli hai kondhti

Ke aaina bhi hum se ab aashna nahin

Unn pe yaqin raha na aitmaad khud pe

Qadar o nazar inayat kuch bhi raha nahin

Dekha tujhe o samjha amin apna raazdaan

ASIM jo chahta kuch hai kya tujhko pata nahin?

- Khan M. Asim...27/03/2010...8:54PM!

No comments: